Monday, April 18, 2011

Gul-E-Aqeedat





Islaam etedaal aur tawazan ki raah par chalne ki talqeen karta hai aur wo ibaadaat-o-moamulaat me ifraat-o-tafreet ki rawish ikhtiyaar karne ko ba-nazariye istehsan nahi deta.Huzur-e-Akram Sallallalahu Alaihi wa Sallam ne apne Sahaba Razi Allahu taala anhum ko usi raah par Amal paira hone ki taaleem farmai hai,

Riwayet may hai ke ek dafa chund sahaba Razi Allahu taala anhum jin may Hazrat Abdullah bin Umr Razi Allahu taala anhu bhi they, saelul-dahel aur qaaemul-lail rahne par muttafiq ho gaye. Aap Sallallahu Alaihi wa Sallam ko khabar hui to Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Anhu ko talab farmaya,jo mukaalma hua unhi sahabi se marvi hadees-e-paak me mulaheza farmaiye:


Rasool Allah Sallallahu Alayehi wa sallam ne mujhe talab kiya aur farmaya,"Aye Abdullah mujhe pata chala hai ke tum Din ko roza rakhte ho aur Raat ko qiyaam karte ho",Main ne arz kiya haan ya Rasool Allah Sallallahu Alyhiwa Sallam (aysa hi hai), Aap Sallallahu Alayhiwa sallam ne farmaya aysa na kiya karo, roza bhi rakho aur iftaar bhi karo,(raat ko) qiyaam bhi karo so-o bhi isliye ke tumhare badan ka bhi tum par haq hai, tumhari aankhon ka bhi tum par haq hai,tumhari biwi ka bhi tumpar haq hai, aur tumhare mahmano ka bhi tum par haq hai, jis ne hamesha ka roza rakha us ne (koi) roza nahi rakha, har maah ke teen (3) roze hamesha ke rozaon ka sawab rakhte hain,isliye behtar hai ke tum har maah me teen (3) roze rakho". (MUSLIM SHAREEF)
Ek aur hadees-e-mubaraka jise hazrat Ibn-e-Gaysi (Raziallahu taala anhu) ne apne walid-e-majid se riwayat kiya usi mazmoon par dalalat karti hai, wo farmate hain ke Rasool Allah Sallallahu Alyhiwa Sallam ne hame ayaame baiz yani chaand ki tyrhwi (13th), chaodhwin (14th) aur pandravi (15th) ke roze rakhne ki talqeen farmai aur farmaya,"Jis ne har maah teen roze rakhe, aisa hi hai jaise wo zindagi bhar roze rakhne wala ho, (TIRMIZI SHAREEF)

Aan Hazrat Sallallahu Alayhiwa Sallam ke ye hikmat aamoz irshadaat me miyana roi aur e'tedaal ko malhooz rakhne ki taaleem dete hain,un ka lab labaab ye hai ke sab se behtar aur afzal amal wo hai, jo qhwah miqdaar me thoda hi ho, laikin use pabadi-e-waqt aur muhafizat aur madaomaat ke sath jaari rakha jaasake.

Huzoor-e-Akram Sallallahu Alayhiwa Sallam ne irshad farmaya, "Allah taala ki baargah me sab se achcha amal wo hai jo hamesha kiya jaae, agarche wo qhaleel (thoda) ho". (MUSLIM SHAREEF)

Islaam deen-e-fitrat hone ke naate zindagi ke har moamle me nazm-o-zabt (Discipline), paabandi-e-waqt (Punctuality) aur baaqayedgi (Regularity) par zor deta hai, laikin humne apni kotah nazri se un tasawwuraat ko maghrib se aai hui chiz samajh rakha hai, halanke wo islami taalimat ka jazwe laayanfaq hai, zaroorat is amr ki hai ke hum apne dunyawi aur deeni moamlaat ko unhi tasawwuraat ke saanche me dhalen aur ifraat-o-tafreet se najaat hasi kar ke dunyawi aur ukhravi kamiyabiyon aur kaamranyon se bahrawar hon.



Ramazaan Mubarak
-------------------------
ROZEDAAR KE LIYE KHAAS NEMAT

Hazrat Sahel RaziAllahu Taala Anhu se marvi hai ke Huzur Nabi Kareem Sallallahu alayhiwa sallam ne farmaya ke Jannat me ek darwaza hai jiska naam Rayyan hai, roz-e-qiyamat is me Roze daar daakhil honge un ke alawa koi dusra isme se dakhil nahi hoga, kaha jaaega roza daar kahan hain? pas wo khade ho jaaenge unke alawa koi dusra is darwaze me se dakhil nahi hoga aur jab wo dakhil hojaaenge darwaza band kardiya jaaege, pas is se roze daaron ke alawa koi dakhil na hoga .


Hazrat Abdullah RaziAllahu Taala Anhu se riwayat hai ke Huzur Nabi Akram Sallallahu Alayhiwa Sallam ne farmaya,"Gunahon se taoba karne waala is tarha hai jis ka koi gunah na ho" (Ibn-e-Maajah)

Hazrat Ibn-e-Umar RaziAllahu Tala Anhu se marvi hai ke Huzur-e-Paak Sallallahu Alayhiwa Sallam ne farmaya,"Jisne meri Sunnat se muhabbat ki usne mujh se mohabbat ki" (Tirmizi Shareef)


Hazrat Sahel Bin Saadi RaziAllahutaala Anhu se marvi hai Huzur Nabi Akram Sallallahu Alayhiwa Sallam ne farmaya ke,"Jannat me ek darwaza hai jis ka naam Riyan hai roz-e-qiyamat isme rozedaar dakhil honge unke alawa isme se koi dakhil nahi hoga" (Sahih Bukhari)


Hazrat Osman Bin Abil-Aas Raziallahutaala Anhu se marvi hai ke Rasool Allah Sallallahu Alayhi Was Sallam ne farmaya ke," Roza Jahannum ki aag se dhaal hai, jaise tumme se kisi shakhs ke paas ladai ki dhal ho" (Nisaai shareef)


Hazrat Mujadid alfisani Rahmatullah Alaih farmate hain,
"Dunya me aaraam ka khwahesmand bewaqoof aur kam aqhl hai"

Hazrat Ghouse-ul-aazam Abdul Qadar Jeelani Raziallahutaala Anhu farmate hain,"Jahan tak ho seke lokhme ki islah kar ke amal-e-saleh ki bunyaad yahi hai"


Hazrat Khwaja Ghouse-ul-aazam Abdul Qadar Jeelani Raziallahutaala Anhu farmate hain,"Shuru karna tera kaam hai aur takmeel karna khuda ka kaam"

Hazrat Khwaja Ghouse-ul-aazam Abdul Qadar Jeelani Raziallahutaala Anhu farmate hain,
"Nafs ki tamanna puri na kar warna barbaad ho jaega"

Hazrat Khwaja Ghouse-ul-aazam Abdul Qadar Jeelani Radiallahutaala Anhu farmate hain,"Khaliq ka mukarrab banna chahta hai to makhlooq par shafaqqat kar"

Hazrat Khwaja Siraj Uddin Rahmatullah Alaih farmate hain,"Dusraon ke aeb =(burai) poshida =(chupahua) rakh taake khuda tere aeb bhi poshida rakhe"


Hazrat Mujadid alfisani Rahmatullah Alaih farmate hain,"Dunya ki musibataon ko bardasht karo kyon ke ye tumhari taraqhi ka sabab bane gi"


Hazrat Abu Amama Raziallahutaala Anhu se marvi hai ke Huzur-e-paak Sallallahu Alaihiwa sallam ne farmaya,"Jis shakhs ne Allah taala ke liye muhabbat ki, Allah tala ke liye adawat rakhi, Allah taala ke liye diya aur Allah taala ke liye hath rok liya pas usne apna imaan mukammil karlia hai"

Hazrat Ayesha Siddiqha Raziallahutaala Anhu se marvi hai ke Huzur pur-noor Sallallahu Alaihiwa Sallam ne farmaya,"Momin me se kamil tareen momin wo hai jo behtarin aqhlaaq ka malik hai aur apne ahl-o-ayal ke sath intehai narm hai"

Habeeb-e-Khuda Sallallahu Alaihiwa Sallam ne farmaya,"Imaan dil se pahchanne, Zuban se iqrar karne aur Arkan par amal karne ka naam hai"

Huzur-e-Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,"Mere baad koi aisa fitna nahi hai jo logaon par Aurat se zyada nuqsan da ho" (Bukhari Shareef)

Hazrat Abu Huraira Raziallahutaala Anhu se marvi hai ke Huzur Nabi Kareem Sallallahu Alaihiwa Sallam ne farmaya,"Dunya momin ka qhaid khana hai aur kafir ki jannat hai"

Huzur-e-Akram Sallallahu Alaihiwa Sallam ne farmaya, "Maot Ghanimat hai aur Allah ki Na-farmani Musibat hai aur Mohtaji Faqr-o-faaqa me Rahat hai Maaldaar hona Azab hai aur Aql Allah tala ki taraf se Tohfa hai aur Jahalat Nadani Gumrahi hai aur Zulm Sharmindgi hai aur Allah ki Ita-at ankhaon ki Thandak hai aur Allah ke Khaof se rona Najat ka zarya hai aur Hasna insan ki Halakat ka ba-as hai Gunaho se sachchi tawba karnewala istarha hai ke goya isne gunah kiye hi nahi,"


Huzur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, "Walidain ki na-farmani se bacho isliye ke jannat ki khushbu 1000 baras ki raah tak aati hai aur na-farman wo khushbu na paaege"


Hazrat Abu Huraira Radiallahutaala Anhu se marvi hai ke Huzur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,"Meri saari ummat jannat me dakhil hogi siwae uske jisne inkaar kiya", sahaba ne arz kiya,"Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kisne inkaar kiya?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,"jisne meri itaa-at ki wo jannat me dakhil hua aur jisne meri na-farmani ki usne inkaar kiya"

Sayyadul Kaunain Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihiwa Sallam ne farmaya,
"Jisne FAJR ki namaz ko zaya kiya us ke chahre se noor khatm kardiya jaata hai,
Jisne ZOHAR ki namaaz ko zaya kiya us ki rozi se barkat khatm kardi jaati hai,
Jisne ASAR ki namaz ko zaya kiya uske badan se taaqat khatm kardi jaati hai,
Jisne MAGHRIB ki namza ko zaya kiya usko awlad se koi faida nahi hoga,
Jisne ISHA ki namaz ko zaya kiya uski neend se rahat khatm kardi jaati hai."

Huzoor-e-paak Sallallahu Alaihiwa Sallam ne farmaya,"Jisne jaanboojh kar namaz tark ki =(chod di) bil-yaqheen usne kufr kiya"

Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihiwa Sallam ne farmaya,
"Benamazi ki umr me barkat na hogi"

Huzur-e-paak Sallallahu Alaihiwa Sallam ne farmaya,"Saleeheen =(nekaon) ki alaamat be namazi ke chahre se hata di jaaegi"

Huzur Aqdas Sallallahu Alaihiwa Sallam ne farmaya,"Walidain ka farmabardaar jahannumi na hoga aur unka nafarmaan kuch bhi amal kare giraftaar-e-azab hoga"

Hazrat Ibn-e-Masood Raziallahutaala Anhu se marvi hai ke Sarkaare do aalam Sallallahu Alaihiwa Sallam ne farmaya,"Quraan-e-paak khub padho isse pahle ke Quraan-e-paak uthaliya jaae kyon ke qiyamat qayam na hogi jabtak ke Quraan-e-paak na uthaliya jaae"

"Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke Qawl =(baat), Feyl =(kaam), Taqreer aur Sifaate mubaraka ko Hadees Shareef kahte hain"

Hazrat Ibn-e-Masood Raziallahutaala Anhu se marvi hai ke Huzur paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,"Allah tala us bande ko taro taaza rakhe jisne mere kalaam ko suna usko samjha, yaad rakha aur dusraon tak pohnchaya"

Hazrat Khwaja Ghous-ul-aazam Abdul Qadar Jeelani Radiallahutaala Anhu farmate hain,"Allah wale to itaa-at karte hain aur is par bhi unke dil khawfzada rahte hain, tum gunah karte ho phir bhi be-khaof ho yahi to sarih dhoka hai,bacho bacho ke kahin aisi haalat me tumhari giraft na ho jaae"

Hazrat Khwaja Siraj Uddin Rahmatullah Alaih farmate hain,
"Ilm tumhari aise hifazat karta hai jaise maa bachche ki"
Hazrat Abul Hasan Kharqani Rahmatullah Alaih farmate hain,
"Bekaari aur susti insaan ko halaak kardeti hai"


Hazrat Nizaam Uddin Awlia Rahmatullah Alaih farmate hain, "Ghusse ke peejane se behtar hai ke moaf kardo kyon ke jo shakhs ghussa peejaae aur moaf na kare to mumkin hai ke us ke dil me kina jad pakad jaae"


Hazrat Nizaam Uddin Awlia Rahmatullah Alaih farmate hain, "Dunya aisi cheez nahi hai jisko dost rakha jaae ya use yaad kiya jaae"


Hazrat Khwaja Usmaan-e-Harooni Rahmatullah Alaih farmate hain,"Apni khwaheshaate nafs ko jitna door rakhoge, raahe khuda utni jaldi mayyassar =(hasil) hoga"

Hazrat Khwaja Moin Uddin Chishti Rahmatullah Alaih (Ghareeb Nawaaz) farmate hain,"Gunah tumhe itna nuqsaan nahi pohnchata jitna musalmaan bhai ko zaleel aur beizzat karna"


Hazrat Khwaja Moin Uddin Chishti Rahmatullah Alaih (Ghareeb Nawaaz) farmate hain,"Hasi aur qahqaha kabira gunah hai aur qabrastaan me hargiz nahi hasna chahie kyon ke qabrastaan ibrat ki jaga hai hasi ka muqaam nahi"

Hazrat Khwaja Siraj Uddin Rahmatullah Alaih farmate hain,
"Ilm ki qadar ahle ilm-o-fazl hi jaante hain"

Hazrat Abul Hasan Kharqani Rahmatullah Alaih farmate hain,"Jabtak tum dunya ke taalib rahoge wo tumpar ghalib rahegi jab usse mu pherloge wo tumhare maa-tahet ho jaaegi"

Hazrat Ghousul aazam Abdul Qadar Jeelani Rahmatullah Alaih farmate hain,
"Behtareen amal dusraon ko kuch dena hai"

Hazrat Khwaja Ghous-ul-aazam Abdul Qadar Jeelani Raziallahutaala Anhu farmate hain,"Tanha shakhs mahfooz hai aur har gunah ki takmeel do se hoti hai"

Hazrat Abu Abdullah Raziallahu taala Alaih farmate hain,"Insaan ko dunya aazmaesh ki dawat deti hai aur shaitan insaan ko burai ka hukm deta hai"

Hazrat Khwaja Ghous-ul-aazam Abdul Qadar Jeelani Rahmatullah Alaih farmate hain,"Badgumani =(ghalat khayal aur shak) tamaam faidaon ko band kardeti hai"


Hazrat Nizaam Uddin Awlia Rahmatullah Alaih ne farmaya,"Jo shaks raahe muhabbat me aur moaarfat me kamil hai usse aalame batin aur zaahir me koi chiz poshida nahi aur na poshida rahti hai"

Hazrat Nizaam Uddin Awlia Rahmatullah Alaih farmate hain,"Dua ke waqt kisi gunah ya itaa-at ka khayaal dil me lane ke bajaae khuda ki rahmat par nazar rakhni chahiye"

Peeran-e-Peer Hazrat Khwaja Ghous-ul-aazam Dastagir Raziallahutaala Anhu farmate hain,"Tu koshish kar ke guftugu ki ibteda teri taraf se na hwa kare, aur tera kalaam jawab bana kare"

Hazrat Data Gunjbakhsh Rahmatullah Alaih farmate hain, "Dil ki aankh ibaadat se khulti hai, iski rasai laa-makaan tak hai, aur kaenaat ka koi raaz is se pinha nahi"

Hazrat Khwaja Ghous-ul-aazam Raziallahutaala Anhu farmate hain,"Rizq ki wo farakhi jispar shukr na kiya jaae aur moaash ki wo tangi jispar sabr na kiya jaae fitna banjaati hai"

Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Ajmeri Rahmatullah Alaih farmate hain,"Musibat aur sakhti ka aana sehat aur imaan ki alamat hai"

Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Ajmeri Rahmatullah Alaih farmate hain,
"Khud pasandi kabirah gunah hai"

Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Ajmeri Rahmatulla Alaih farmate hain,"Hasad =(jalan) bohot buri shai hai use dil me hargiz jaga na do"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-shakar Rahmatullah Alaih farmate hain,"Dusraon se achchaai karte hue socho ke tum apni zaat se achchai kar rahe ho"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-shakar Rahmatullah Alaih farmate hain,"Jab koi momin bimar hota hai to use maloom hona chahiye ke ye bimari us ke liye rahmat hai jo gunahaon se usko paak karti hai"



Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Rahmatullah Alaih farmate hain, "Asal mutawakkal =(sirf Allah par bharosa karne wala) wo shakhs hai jo logaon se shikayat na karta phire"

Hazrat Kwaja Ghareeb Nawaz Ajmeri Rahmatullah Alaih farmate hain, ke,"Jisne nemat paai wo sakhawat =(yani khairat) ke iwaz paai"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-shakar Rahmatullah Alaih ne farmaya, "Jis dil me Allah ka zikr jaari rahta hai wo dil zinda hai aur shytani khwaheshat uspar ghalba nahi paati"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-shakar Rahmatullah Alaih farmate hain ke,"Achchai karne ke liye hamesha kisi bahane ki talash me raho"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-shakar Rahmatullah Alaih farmate hain,"Har kisi ki roti na kha balke har shakhs ko apni roti khila"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-shakar Rahmatullah Alaih farmate hain ke "Allah ko is baat se sharm aati hai ke banda us ke saamne hath phailae aur woh us hath ko khali lauta de"

Hazrat Ibn-e-Masood Radiallahu Taala Anhu se marvi hai ke Huzur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,"Jo Ilm chahe wo Quraan ko laazim karle,is me awlain aur aakhirain ki khabren hain"


Hazrat Haris Bin Maalik Ansari Radiallahu Taala Anhu se marvi hai ke ek martaba Huzur Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke paas se guzre to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhe fermaya,"Ay Haris! to ne kaise subha ki?" unho ne arz kiya, "main ne sachche momin ki tarha (yani haqiqat-e-imaan ke sath )subha ki," Huzur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,"Yaqeenan har ek shai ki koi na koi haqiqat hoti hai, so tumhare imaan ki kya haqiqat hai?" arz kiya,"(Ya Rasool Allah !) mera nafs dunya se beraghbat hogaya hai aur halat ye hai ke goya main apne rab ke arsh ko samne zaher dekh raha hoon aur ahle jannat ko ek dusre se milte hue dekh raha hoon aur dozakhiyaon ko takleef se chillate dekh raha hoon," Huzoor Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,"tu ne (haqiqat-e-imaan ko) pahchan liya, ab (is se) chimat ja".- ye kalima Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen martabah farmaya.

Hazrat Ali Karam Allahu Wajhu se marvi hai ke Huzur Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,"Imaan dil se pahchanne, zubaan se iqraar karne aur Arkaan par amal karne ka naam hai"

Hazrat Anus Bin Maalik Radiallahutaala Anhu se marvi hai ke Sarkaar-e-do aalam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,"Ilm ka hasil karna har musalmaan par farz hai"

Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu se marvi hai ke Huzur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hain, "Dunya se be raghbati dil aur jism ko sukun bakhshti hai."

Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaih Wa Sallam ne farmaya,"Paaki aadha imaan hai"
(Muslim shareef)

Hazrat Jaber Bin Abdullah Radiallahu tala Anhu se marvi hai ke Huzur-e-Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, "Behtareen zikr LAA-ILAHA-IL-LALLAH hai" (Tirmizi shareef)

Huzoor Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya,"Dua Ibaadat ka maghz hai"


Hazrat Umar Ibn-e-Khattab Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke Huzur-e-Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, "Beshak aamaal ka daaromadaar niyyataon par hai" (Bukhari Shareef)

Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, "Jo mujh par ek martaba durood podhta hai Allah taala uspar das martaba rahmat naazil farmata hai"
(Muslim shareef)

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-shakar Rahmatullah Alaih ne farmaya,"Jo log khuda ki raah me kharch nahi karte wo israaf =(fuzool kharch) karte hain"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-Shakar Rahmatullah Alaih ne farmaya,
"Dushman ki dushmani usse mashwara karne se toot jaati hai"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-shakar Rahmatullah Alaih ne farmaya,
"Itminaan-e-khalb chahte ho to hasad se door raho"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-Shakar Rahmatullah Alaih ne farmaya, "Jaisa tu hai waisa hi nazar aa, warna asliyat khud ba khud zaher ho jaegi"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-Shakar Rahmatullah Alaih ne farmaya, "Ye mumkin nahi ke jaisi sohbat me baithe waise na bane"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-shakar Rahmatullah Alaih farmate hain,"Wahi dil hikmat-o-danish ka makhzan =(jama karne ki jaga) bansakta hai jo junya ki mohabbat se khali ho"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-Shakar Rahmatullah Alaih ne farmaya, "Jo tujh se khaof khata hai tu usse har waqt darta rah"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj Shakar Rahmatullah Alaih farmate hain,
"Apne nek aur bad poshida rakho"

Hazrat Shaikh Ali Uddin Rahmatullah Alaih ne farmaya, "Khuda ke naam lewa hamesha khuda ko sath rakhte hain"

Hazrat Mahmood Naseer Uddin Charagh Dahli Rahmatullah Alaih ne farmaya, "Jo apne aap ko gunahaon se bachata hai se ita-at hasil hoti hai"

Hazrat Shaikh Ali Uddin Rahmatullah Alaih ne farmaya, "Khud seekh har achchi baat aur dusaon ko sikha"

Hazrat Shaikh Ali Uddin Rahmatullah Alaih ne farmaya, "Jisne aaraam pasand ki wo jald tabah hua"


Hazrat Shaikh Ali Uddin Rahmatullah Alaih farmate hain, "Jisne dusraon ko tang kiya khuda ne usko aziyat di =(dukh diya)"

Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Ajmeri (Baba Moin Uddin Chishti )Rahmatuallah Alayh farmate hain, "Badtareen wo shakhs hai jo tawba ki ummid par gunah kare"

Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaaz Rahmatullah Alaih farmate hain, "Bebasaon ki madad karna, majbooraon ki zarurat puri karna, bhukaon ko khana khilana azaab-e-dozaq se mahfooz karta hai"

Hazrat Abu Bakr Shibli Rahmatullah Alaih farmate hain,"Jawan mardi ye hai ke dusraon ki bhalai apni tarah balke apne se behtar chaho"

Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-Shakar Rahmatullah Alaih ne farmaya, "Kisi se istarha jhagda na karo ke masalihat ki gunjaesh hi na rahe"


Hazrat Baba Fareed Uddin Gunj-e-Shakar Rahmatullah Alaih farmate hain, "Quraan-e-paak ki tilawat se bahtar aur afzal koi ibaadat nahi"

Hazrat Shaikh Ali Uddin Rahmatullah Alaih farmate hain, "Ghareebi naymat hai, sabr aur shukr se qhubul kar"

Hazrat Mahmood Naseer Uddin Charagh Dahli Rahmatullah Alaih farmate hain,"Rataon ko bedaar raho is liye ke nuzul-e-anwaar aksar raataon me hi hua karte hain"

Hazrat Imaam-e-Hussain Radiallahutala Anhu farmate hain, "Tumhari umr barabar ghat-ti jaarahi hai bas jo kuch tumhare hath me hai usse kisi ki madad kar"

Hazrat Maroof Karkhi Rahmatullah Alaih farmate hain, " Jo kuch ranj-o-musibat tum ko pesh aay use imtehan samajh kar bardasht karo "


Hazrat Abu Bakr Shibli Rahmatullah Alaih farmate hain, " Be gharz aur mahez Allah ki khatir dosti rakhne waala dosti ke qaabil hai"

Hazrat Maroof Karkhi Rahmatullah Alaih farmate hain, " Ameeraon ki sohbat ke nukhsanaat ahata-e-tahreer se baher hain, Bacho, Bacho "


Hazrat Anus Bin Malik Radiallahutala Anhu se marvi hai ke Huzur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, " Ambiya ikraam =(do se ziyada nabi) Alaihissalaam apni apni qabraon me zinda hain aur namaaz padhte hain"

Huzur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, "Tum mese koi momin nahi hosakta jabtak ke main use uske walidain, uski awlaad aur tamaam logaon se mahboob tar na hojaaon"


Hazrat Abu Huraira Radiallahutaala Anhu se marvi hai ke Huzur Sallallahu Alaihi Wa Sallam na farmaya, "Main jamay kalimaat ke sath maboos kiya gaya hoon aur ruab ke saath meri madad ki gai hai aur jab mai soya huwa tha us waqt main ne khud ko dekha ke zamin ke khazanaon ki kunjiyan mere liye lai gaee aur mere haath me thamadi gaee"

"Beshak jo tumhara (yani sarkaar ka) dushman hai wahi har khair (bhalai) se mahroom hai"
(Sura:108, Aayat:3)

Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu se riwayat hai ke Huzur-e-Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, "Koi bhi shakhs mujhpar Salaam bhejta hai to beshak Allah taala ne mujhpar meri rooh lautadi hai yahantak ke mai us ke Salaam ka jawab deta hoon"

Hazrat Abdullah Bin Omer Radiallahu Anhu se marvi hai ke Huzur-e-Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, "Jisne meri wafaat ke baad meri qabr ki ziyarat ki goya usne meri hayaat (zindagi) me meri zyarat ki"

No comments: