Saturday, March 19, 2011

Dosti Ka Haq

Hazrath Rabiya Basri Rahamatullah Alaihi tamaam ahal Allah ki nazar may motabar aur zi izzat tasavur ki jaati theen aur aapke ahwaal ahal-e-dil hazraath ke liye burhaan qaata ka darja rakhte hain. 

Hazrath Rabiya Basri Rahamatullah Alaihi ko ek martaba bawajah takaan namaaz ada karte huye nind aagaii ,is dauran ek chor aapki chaadar utha kar faraar hone laga,laikin bahar ka raasta Nazar nahi aaya. 

Aur chadar wapes rakhte hi raasta nazar aagaya.
 bawajah hirees phir chadar utha kar farar hona chaha aur phir raasta nazar aana bandh hogaya. gharz ke is ne aisa kaii martaba kiya aur her martaba raasta masdud nazar aaya ,hatta ke us ne mada-e-ghaibi suni ke " tu khud ko kyon afat may mubtila karna chahta hai. isliye ke chadar waali ne barson say khud ko hamaare hawaale kar diya hai aur us waqt say shaitaan tak us ke paas nahi phatka phir kisi dusrey ki kya majaal jo chadar chori karle. 

kyon ke" agarcha ek Dost mahu-e-khwab hai laikin dusra Dost to bedaar hai". Logon ne Rabiya Basri Rahamatullahi Alaihi say sawaal kiya ke'Mohabbat kya shaye hai? Aap ra ne fermaaya ke mohabbat azal say hai abad tak rahegi kyon ki bazm-e-aalam may kisi ne us ka ek ghunt tak nahi chakha jiske natijey may mohabbat Allah Taala may hi zam ho kar reh gaii.

Is liye Allah Taala ka irshaad hai ke " Allah Taala unko mehbub rakhta hai aur vo Allah Taala ko mehbub rakhte hain". Ek martaba kisi ne sawal kiya ke Aap jiski ibadat karti hain vo Aap ko nazar bhi aata hai? Aap ne fermaaya" nazar na aata tou ibadat kyon hoti." 

Logon ne Aap say sawal kiya ke khuda bande say kis waqt khush hota hai? Aap ne fermaaya" jub banda mehnath per is tarha shukur ada karta hai jaisa ke niyamath per ada karta hai. Logon ne ek baar sawal kiya ke aasi ( khatakaar) ki dua qabul hoti hai ke nahi? Aap ne fermaya ke "us waqt tak vo tauba nahi kar sakta jub tak khuda taufiq na de.aur jub taufiq haasil hogaii tou phir qabuliyath may koii shak nahi raha.phir fermaaya" jub tak qalb bedaar na ho us waqt tak kisi azu say bhi khuda ki raah nahi milti aur bedaari-e-qalb ke baad aaza ki haajath khatam hojaati hai kyon ki qalb bedaari wahi hai jo haq ke andar is tarha zam hojaaye ke phir aaza ki haajath hi baaqi na rahe aur yehi fana fillah ki manzil hai" 

Hazrath Saaleha Aamri fermaaya karte they ke " jub musalsal kisi ka darwaza khatkhataya jaata hai tou aakhir kisi na kisi waqt khol hi diya jaata hai. Hazrath Rabiya Basri ne ye sun kar sawaal kiya ke" aakhir vo kub khulega? kyon ki vo tou kabhi bandh hi nahi hua". ye sun kar Hazrath Saaleha Aamri ko Aap ki danishmandi per mussarath huii. jub khuda ki mohabbat dil may ghar karle tou khuda ko sunne lagta hai banda.phir usey samjhne lagta hai..uske ahkaam mohabbat hojaate hain..apna amal wafa kar jaata hai banda...ek aisa rishta jo her talluq say azaad hokar us say talluq ban jaata hai...

Buzurgaan-e-deen ke mushahidon may chupa hai aain-e-mohabbat.,unki zindgi aaina-e-mohabbat...khuda ka kamaal hote hain ye aur vo kar jaate hain kamaal mohabbat..hissass dilon ke liye unsi behter panah gaah koi nahi...ke un dilon ke asli safar ki ibtida hai inki hastiiyaan.unki zindgi hoti hai manzil ka nishaan...ye raah-e-khuda hain aur yehi khuda ki shaan...

2 comments:

CHISTIYAMEHFIL said...

Adaban Gujarish:

Main Aaapse Ek Gujarish Karna Chahata Hoon
Agar Ho Sake Toh Spelling Mistakes Par Thoda Sa Gaur Kare Taaki Padhne Me Aasaani Ho!

Aur Haaan.....

Ek Aur Baat Par Tawaj-Joh Dena Zyada Zaroori Hai...

Ke Jab Bhi Aap Aapke Kisi Bhi Blog Par
Kisi Bhi Buzurg Ka NAAM Likhe Toh Saath Me Short-Forms Ka Istemaal Karne Se Bache
Jaise
RA Ke Jagah RAHMATULLAH-ALAIH Likh Liya Kare....

Shukriya...

Khata Ke Liye Muafi Chahta Hoon...

Rehana Chaand said...

salam janab

Aapki guzarish per amal kiya jachuka hai..aur aap say apni bhi ek guzarish hai..jahaan kahin aapne imla ki ghalathi dekhi ho aap barah-e-meherbaani us lafz ki nishan dahi zarur karen...shukriya...

aapki mehefil kyon sooni padi hai..hum muntazar hain ke dekhiye vo perda kub uth-ta hai..