Monday, February 7, 2011

Najaath


Tohfa-e-ilm-ul haq Hazrath Imaam Jafar Sadiq Alahisaalam ,unhon ne haqparaston ke liye jo mashaal jalaii hai vo ta qayamat tak dilon ko roshan karti rahegi....unke aqwaal-e-zareen ke chund moti.

Najaath, amal per mauquf hai Nasb per nahi,
Zaaher maqlukh ke liye aur Baatin Khaalikh ke liye,
Daanishmand vo hai jo bhalaii aur buraii may imtiyaaz kar sake,
Jo do bhalaiion may say behter bhalaii ko ekhtiyaar kare aur jo do buraiion may say maslihatan kum buraii per amal kare.

Tareeqa-e-Hidaayet- jub tak dusron say eyaanat ke talabgaar rahe us waqt tak saamne hijaab tha laikin jub Allah say eyaanat ke talib hua tou pehla sa eztaraar khatam hogaya aur qalb roshan hua.

Zikr-e-ilaahi ki taaref ye hai ke jisme maqbuliyet ke baad duniya ki her shaye bhul jaaye. kyon ki Allah taala ki zaat her shaye ka neyam-ul-badal hai.

Allah taala jisko chahe apni rehmat say khaas kar leta hai, yaani tamaam asbaab-o-masaayel khatam kar diye jaate hain taaki ye baat waazeh hojaaye ke ataa-e-ilaahi bila waasta hai na ke bil waasta.

Momin ki taareef ye hai ke nafs ki sarkashi ka moqabla karta rahe aur Aarif ki taareef ye hai ke jo apne maula ki itaayet may huma tan mashghul rahe.

Saaheb-e-karamat vo hai jo apni zaat ke liye nafs ki sarkashi say amada-e-jung rahe kyon ke nafs say jung karna Allah taala tak rasaii ka maujab hota hai.

"Allah Taala apne bande may is say bhi zyada poshida hai jitna ke raat ki taareeki may siyaah pathar per chunti rengti hai.".

Nek bakhti ki alamat ye bhi ke aqal mand dushman say waasta pad jaaye.

Allah taala ne duniya may hi firdos-o-jahannum ka naqsha pesh kar diya hai kyon ki asaaish junnat hai aur taklif jahannum. aur junnat ka haqdaar wahi hai jo apne tamaam amur Allah taala ko sonp de.,aur dozakh usi ka muqaddar hai jo apne amur sarkash nafs ke hawaale kar de.

Ausaaf-e-maqbuliyet may ek wasf ilhaam bhi hai, jo dalaayel say ilhaam ko be-buniyaad qaraar dete hain vo be-deen hain.

4 comments:

CHISTIYAMEHFIL said...

Jo Qaul Hazrat Imaam JAFAR-O-SAADIK Ke Pesh Kiye Hain
Unka MUT-A'AALA Karna Chahta Hoon
Kitaab Ka Naam Chaihiye!
Q-Ki Aapne ILHAAM Ke Ta-A'aalluk Se Ek Qaul Nakl Kiya Hai
Tafsili Malumaat Ke Liye!

Shukriyaaaa.......

ALLAH-AJ-WAJAL Apke ILM-O-AMAL Me Aur Zyadti ATTAA Farmaaye...
AAAMEEEN......

Rehana Chaand said...

Assalam-o-Alaikum janab

Aapke sawaal-o-jawab mere ilm ka ek aur zariya hongey.ji behter.

kitaab ka naam-Tazkarat-ul-Awlia
Musanif- Shaikh Fariduddeen Attar Ra.

ji aksar is kitaab ka mutaliya mujhe roshan karta hai.aur mai wahi roshni aap sab ki nazar karti hun...

ilhaam vo khayal jo khuda ki taraf say atta ho..aur aapko iska patta ho.

Aap say sunna chahungi jo bhi apke ilm may hai..

Duaon ka shukriya.

Rehana Chaand said...

Aur ek baat...tafseeli malumaat ka aapko us kitaab may darj mukhtasar halaath-e-zindgi aur unke qaul hi patta denge..ek ek lafz tawajoh chahta hai aur mushaihda bhi..koozey may samandar ki misaal yehaan saadiq aati hai...

FIROZ KHAN CHISHTI said...
This comment has been removed by a blog administrator.