Thursday, November 19, 2015

Hajj-e-Akbar



tark-e-lazzat bhi nahi lazzat say kum
kuch maza iska bhi chakhna chahiye

Tamaam jumla faraayez ka gar ghaur se tajziya kiya jaaye to khuda ke ahkaam ki haqeeqat samajh may aajaayegi..basharte ke banda khud se azad ho...khud se azaadi ka matlab nafs ka qaidi na hona...apni tamaam tar mushkilon ka wahed sabab khud vo hai is ka jaan lena..."Mai " ki giraft se azad hona...mai uski marzi ke baghair kuch bhi nahi ye jaan lena....meri her ek herkat uski junbish pe munhasar hai ye pehchan lena....loag apne hone per ghurur karne lagte hai...aur mushahida-e-haq se mehroom hojaate hain...isi liye kaha gaya hai,"ek saa-at ki soch saikadon baras ki ibadat se behter hai."

Haj ki adayegi jumla farayez may sab se afzal is liye hai ke bande ko khudavand-e-kaaba ka mushahida haasil ho aur uski tazeem may sar khum ho....aur vo shaks jis ke liye tamaam kaainaat qurb-e-haq ke waade ka moqam nahi, aur jo saarey aalam ko khilwat-gah-e-mohabbat nahi samajhta ( yaani khuda ko kisi makhsus moqam tak mehdud samajhta hai) vo yaqeenan dosti ke mafhum se bhi abhi ashna na ho saka.
usey kya khabar ke" jisey mushahida-e-haq haasil hojaaye, uske liye saari duniya , yaane duniya ka her moqam, harm hi hai".

agar ek pathar ki ziyarat jis per saal may ek baar nazar padhti hai, farz hai to dil jis per rozana 360 baar nazar padhti hai , uski ziyarath to aur bhi laazmi aur zaruri hai.haan ye zarur hai ke ahal-e-tahqeeq ke liye raah-e-makke may uthaaya hua ek ek qadam ek nishaan-e-khaas aur dalil-e-khususi ki haisiyet rakhta hai. aur jub vo harm kaaba may daakhil hote hain to un may say her nishaan ke badle unhein ek khaas inaam se nawaza jaata hai...

Hazrath abu yazeed rahmatullahi alaihi fermaate hain " Mai ne pehli martaba hujj kiya to siwaye khaaana-e-kaaba ke mujhe kuch aur na dikhaii diya, dusri martaba hujj kiya to ghar bhi dekha aur ghar waala bhi dekha, aur teesri martaba sirf ghar waale ko dekha, uske siwa kuch dikhaii hi na diya , yehaan tak ke ghar ka wajud bhi nazar na aaya ".

Pas qeemat hai to mushahida-o-raza-e-haq ki hai.Deedar-e-kaaba to rasaii ka waseela ya sabab hai jo Allah taala ne bana diya hai, warna asal qadar-o-qeemat kaaba ki nahi khudavand-e-kaaba ke moqam ki hai. chunanche sabab ke saath jo taalluq hai vo musabab ki khaatir hona chahiye, yaani musabab ke liye sabab se is liye taalluq qaayem kiya jaata hai ke ye maalum hota rahe ke inaayet-e-ilaahi kon si kameen-gaah se ronuma hoti hai aur kon say moqam se zahur may aati hai. aur taalib ki muraad ka husul aakhir kahan jalwa gar hota hai...

Mohammed bin fazal rahmatullahi alihe kehte hain, mujhe to is baat per taajub hota hai ke loag duniya may uske ghar yaani khaane kaaba ke talabgaar raha karte hain, aakhir kya baat hai ke dil ke andar us mushahide ke talabgar nahi hote jo hazrath ibrahim alahisalam ki khaas baat thi, haalanke duniawi ghar ka kya hai, mile mile, na mile mile,laikin mushahida-e-haq to bahar haal muyasar aajane waali cheez hai sirf talab shert hai.

Jo shaks haazir bahaq ho, vo agar apne ghar may bhi ho to bhi aise hi hai goya makke may khaan-e-kaaba ke andar haazir hai.kyon ki darbaar-e-ilaahi ki haaziri may jagah ki koi takhsees nahi hoti. ek haazri jo makke may haasil hai, vo us dusri haazri se behter nahi jo apne ghar may haasil hojaaye. pas hujj ek mujahida hai, jo kashf-e-mushahida ki khatir kiya jaata hai. pas mukhtasar ye ke hujj se maqsud ye nahi hota ke bas khaana-e-kaaba ka deedaar kar liya jaaye, bulki asal maqsud to ye hota hai ke mushahida-e-haq ka kashaf hojaaye.

Aaj farayez ki adayegi ko bhi naam-o-namud may shumaar kar liya gaya hai...loag basad-e-shauq hujj ki tayaari to karte hain per dil ki tayaari bhul jaate hain...apne zehen-o-dil ko duniya se khaali karna bhul jaate hain...aur khud per nazar-e-saani karna bhul jaate hain...khuda se mulaqat ka ehtmaam karna bhul jaate hain. aur raza-e-khudavand, khushnudi-e-rab ki jo sunnatein humein haasil huii theen unka itbaa bhul jaate hain...mohabbat ka dum bharne waale mehbub ki raah bhul jaate hain..."hujj abad aur ahad ki ek jaai ki ama jagah hai."..jahan mohabbat khud muhib ka tawaf karti hai...awal wahi aakhir wahi, uske siwa apna na koi....her lamha usi ko haazir naazir jaan kar saluk ki raahen taye karna khuda ki sohbat ke mutradif hai...aur yehi paighaam-e-hujj hai ke dekho mere mehbub bandon ke zariye maine jo paighaam bheja hai vo her aane waali nasal ko uski haqeeqat se milata rahega, basharte ke ain-ul-haq ka mushahide ke liye apne dil ko tayaar kar liya jaaye...duniyavi kasafaton se mubara kar ke.....apne dil ko uska ghar kar liya jaaye....ye lamha ek mauqa hai...phir kyon na is mauqe ko sanwar liya jaaye...

apni haqeeqat jisne bisraii, usne kabhi haq ki raah na paai.........................

Wednesday, September 2, 2015

Karo hifazat apne sharf ki....



 Har zarra chamakta hai anwar-e-ilaahi se.....
Har saans ye kehti hai hum hain to khuda bhi hai...


Azeez samayeen....baad salaam ke ye wazah hoye kay may aaj ek aise mauzu ku lekar is mehefil may is liye haazir huii hun ke is se behter insaaf gaah mujhe koi nazar nahi aati...mai shah-e-chisht ku gawah bana kar khuda ko haazir naazir jaan kar ye mauzu ched rahi hun...arsey say mujhe is mauzu per likhne ki zarurat mehsus horahi thi...khahish nahi hai ye zarurat hai ...aur aksar zaruratan hi kuch waqiye pesh aate hain....iradatan nahi.....so aaj ka ye mauzu ahadis ka hawaala dekar apne nafs ki taskeen ka samaan karne waalon ki fitrat ke muttalaq hai...

Aaj unhi Ahaadees may say ek ka sahara lekar aurat ne aurat ku zik pehunchaai hai...us zamaane may auraton per jo muzaalim tode jaate they usey rokne ke liye jo Ahadees pesh ki gayeen aaj usi Ahadees ki dhaal may mazlumon ku shikaar banaaya jaa raha hai...koi hadees buzargon ki tazleel ki raah nahi dikha sakti...na ek aurat ku dusri aurat ke ataab ka shikaar banaane ka mashwara de sakti hai...

Baat ek gharelu masle se muttalaq hai...Ek miyaan biwi kay masley may beech bachau karne waale shaks ne danke ki chot per jub ek tarfa faisla sadar karte huye ye kaha ke "kisi bahu per saas susar ki khidmat ferz nahi hai."aur bahuon ka haal to aisa hua jaise ke billi ke bhaagon cheeka tuta...aaj ka daur ajeeb-o-ghareeb fitratein laaya hai...jahaan apnon ke paas apno ke liye waqt tak nahi hai vo khidmaton ke liye waqt kahaan de paayenge..."ek pyaala thama kar ehsanmad karne waale dilon may vo gudaaz kahaan jo umr raseeda logon ki mushkilon per numaayan hojaaya karta hai."...

Halaanke masla ye nahi tha...soch ki gumrahi aksar khoobsurat rishton per badnuma daagh ban jaati hai..aur aksar-o-beshter zan-o-shauhar isi zeheni kasmakash may puri zindagi guzar dete hain...jub ke shaadi ka matlab hi khushi hai...aur ye nadan apni khushiyon ko apni ana aur zid ki nazar kar dete hain...mohabbaton may kya kaam hai bartari ka...fauqiyet ka...miyaan biwi ku gaadi ke do pahiye isliye kaha gaya ke zindagi ki raahon per eksaath qadam rakhte huye usey hamwaar karli jaaye...aur aaj ke ye couple apne darmyaan zeheni hum ahangi ki talaash may sahi aur ghalath se bhi door hojaate hain..jis dil may ek dusre ke liye mohabbat hoti hai us dil may her qisam ke halaath se jujhne ki tayaari hoti hai...ek dusre ku darguzar karne ka maada hota hai...ek dusre ki khushi pesh-e-nazar hoti hai..agar ye nahi tou phir zindagi, zindagi hi nahi...aur intihaai afsos ki baat ye hai ke aaj ki nasal nasihaton se bezaar bhi hai..kisi ka acha mashwra bhi zehen-o-dil per giraan guzarta hai..inki madad siwa khudavand qudus ke koi kar hi nahi sakta...ke usi ka ye fermaan hai, " maine unki niyeton ke badle unke dilon per mohar daal rakhi hai hidaayet dene waala wahed mai hi hun."..

"Log tou duniya ko hi khuda samajh baithey hain...unke aur khuda ke darmyaan ye Duniya pulsirat hai ye bhul jaate hain.". Aur zubaan ke tou kya kehne, vo zubaan jo khuda ne apni hamd-o-sana ke liye bandon ku bakhshi thi uski tou mitti paleed kar chuke...khuda ki hamd-o-sana tou sheereen guftaar may bhi posheeda hai...ahal-e-mohabbat ka ye shewa hai...aur unhi ka qaul hai...zubaan sheereen to muluk geeri...

Azeezaan-e-mehefil..Ahadees ka sahaara lene waalon se mujhe sirf itna poochna hai ke kya unhon ne un ahadees ke peeche maujud surat-e-haal ka kabhi tajziya kiya hai...kis mauqe per aur kis liye vo pesh huii....Huzur Sallam ne hamesha mauqe ki nazaakat ku madd-e-nazar rakhte huye insaanon ki bhalaai jisme thi vo faisle kiye...kisi per koi hukum sadar nahi kiya ....aur koi un saaheb se pooche ,bahu ke faraayez aakhir hain kya.....aakhir bahu beti kyon nahi hosakti...vo apne sasuraal may maika kyon nahi dhundti...usey patta hona chahiye ke jahaan vo apne khooni rishton ku alwida kar aati hai, khuda ke banaaye huye un atut rishton ki khaatir....tou phir un atut rishton ku apna kyon nahi leti...aakhir mohabbat karne may aur mohabbat paane may kitni mehnaat lagti hai....gar mohabbat jagah le le tou phir her rishta qaabil-e-ehtraam nazar aane lagta hai...aur jub ehtraam adab ka chola pehen le tou phir buzargon ka zara sa khayaal rakh lene may kya aar hosakta hai....gunjaaish to dilon may hua karti hai...heele bahaane tou asudgi ke mutlaashi kiya karte hain...aur log ye bhul gaye ke....

derd-e-dil ke waaste paida kiya insaan ko
warna itta-at ke liye kuch kum na they karr-o-bayaan

ye to pardes may ghar ghar ki kahaani hai...jahaan ek ghareelu mulazim ke siwa her asaaish dastiyaab hai..aur aaj ki nasal itni asaaishon ke hote huye mazeed ki talabgaar hai...uski mushkilon may izaafa hi izaafa hai...hamesha zindagi se koi na koi naya gila hota hai...aur unki tamaam mushkilon ka ek asaan hal unhen haath lag gaya hai....apne iqtidaar ki dhons jama kar apne saath rehne waale buzargon say unka apna aap chin liya jaaye...unhen apne saath ku zarurat ki surat pesh kar ke unhen ehsanmand karliya jaaye...bas phir kya hai...hogaye asaani se naukar dastyaab...bila chun-o-charaan kiye, bila tankhwa ka mutaliba kiye...usper se turra ye ke jub chaho aap unki tauheen bhi karsakte hain..ke lage haath ye kaar-e-khair bhi karte chalo..unse chaakri ke baabat sawal-o-jawab karte waqt ye bhula diya jaata hai ke jis zameen per ye hukumat qaayem hai vo inhi buzargon ki hai, jo mohabbat ke maare hain, apni aulaad ki aur aulaad ki aulaad ki mohabbat ke sadqe may sab sah jaate hain...aisa nahi ke inke dil per chot na lagti ho..aah na nikalti ho...per vo unhen nikalne se bhi peshter us aah ka gala ghont dete hain ke kahin khuda na sun le...kahin mere bachon se baazpuras na kar li jaaye...khuda ki be-awaz laathi se inhen kon daraaye jo headphone lagaye khud hi ko sunte rahte hain...

So mere azeezo,apne dilon may gudaaz paida karo...sahi aur ghalath ki pehchaan karo...socho ghaur karo kya huzur ka ye irshaad hosakta hai ke maa baap ki jagah lene waale shauhar ke walidain ki khidmat se inkaar karo...faraayez na sahi humdardi ulfat hi sahi...ek aisa rishta jo mohabbat ki buniyaad per panapata hai...us rishte ke baaniyon yaane us shaks ke walidain ka kya haq hosakta hai....kya unhen dudh may ki makhi ki tarha nikaal bahar karna chahiye apne dilon se....kya ye kotah andeshi aane waale kal ko sanwar sakegi....zaalim ka haath pakdna jaayez hai...mazlum per zulm karna naajaayez hai...haq aur nahaq ki pehchan hi junnat ka raasta hai....

Huzur sallam ne hamesha buzurgon ke adab ki talqeen ki hai....unhen rishton may baant kar apni marzi ke faislon ki chuut nahi di gaii hai....jub baat farayez ki hi tehri, tou "kya un umr raseeda logon per in hukum sadar karne waale jawanon ki khidmat ferz hai ?"

Mujhe bas un hitler pesha logon se itna hi kehna hai ke apni bahu betiyon ku agar islaam ki ru say kuch samjhaana chahte hon to ahsan tareeqe se samjhaayen..baat ko tod marod kar unki khushi aur dilbastagi ka samaan na banaayen...ahaadees duniya ke liye tarz-e-amal ka darja rakhti hain...aur khudara apne emaan ko kamzor na hone dein...apni aane waali naslon per itna karam zarur fermaayen ...apni soch ko durust karein aur un ko haq-o-emaan ke saaye may perwaan chadne ka mauqa dein...

Aurat ku buland martabe say isliye nawaza gaya ke khuda ne uski fitrat may nermi, hamdardi, sulah rahmi may pesh-khadmi ,aur mohabbat koot koot ke bhari thi...khuda ne Aurat ke zimme nasal ki perwan aise hi nahi di...awal maktab maa ki godh ku kaha gaya...taaki aane waali naslein wahaan say saari khoob tar siffaten haasil karen...aur namuna-e-islaam ban jaayen...Aksar Ahadees isi baat ka daras deti hain kay aurat taaqat bhi hai himmat bhi hai hausla bhi....ye alag baat hai ke usey kamzor bhi kaha gaya...agar aurat apni kamzoriyaan, kotahiyaan ko pehchaan le phir kya hi baat hai..khuda ki sab se haseen aur zaruri maqluq jo baani-e-nasl-e-bani nu hai uski azmath ko chaar chaand lag jaayenge..is mauzu per phir baat hogi..ke is ke liye ye page kum pad jaayega...

Saara khissa soch ka hai...aur vo soch jis per takabbur ka perda pada hua ho vo bhala apna sahi raasta kaise paayegi....bhatke huye tou raasata paa sakte hain....unke liye ek nazar kaafi hojaati hai...magar jinhen islaam ki aad may apne kamzor nafs ki himaayet darkaar hai vo raah paayen bhi to kaise...raah paane ke liye manzil ka patta hona bhi zaruri hai...aur inki manzil tou inki apni khahishen hain...inki apni sahulaten hain...inka apna araam hai....inki nazar may apni soch ke siwa baaqi sab ghalath hai...inke paas ek aisi zubaan hai jo sahi ko ghalath aur ghalath ko sahi kar sakti hai...Allama iqbaal saheb ne bahut khoob likha tha..

aye meri bulbul-e-hazaar daastaan
aye meri toti-e-shewa bayaan
tu agar sachi zubaan hai to zuban hai
warna zabun hai bulki sarasar zyaan hai
warna thuk dene ke laayq hai.....


Zindagi ek tou mukhtasar....us say waqt ki raftaar tezter...aur hum insaanon ki planning kuch aisi hai jaise humne khud ko is duniya ka abadi hissa maan liya ho...amar laafaani...magar sad afsos aisa nahi hai..humen bhi apni muddat puri karni hai...apne waqt-e-muqarara per laut kar jaana hai..apne aqa se nazar milaana hai...ke aaya humne apni zindagi ko is qaabil jiya hai bhi ke nahi...jahaan aqa ke ahkaam may apni bahbudi dhundni thi...ya humne uski kasoti (duniya) ko hi haqeeqat maan kar usi kasoti se dil laga liya..aur darasal insaan apni kamzoriyon ki giraft may aa hi gaya aur apna sab se behtreen Dost ( rab-e-azeem ) ke saare fermaan bhula baitha..."pal do pal ki khushiyon ka kaif abadi surur ke raaste may aa hi gaya"...is imtihaan ko kathin jaanne waalo, dar-haqeeqat sab se asan paper to khuda bande ki mohabbat ka hai...jahaan gunjaish hi gunjaish hai imtiyaazi number haasil karne ki...khuda kitna meherbaan hai ye vo dil kya jaanein jinke dilon may koi gunjaish hi nahi....

Magar yaad rakhne waali baat ye hai ke..saare hisaab-o-kitaab yehin se shuru hojaate hain....imtihaan ka result bhi yehin nikal aata hai...aur saamne aaina bhi rakh diya jaata hai....niyaaton ke faisle yehin pe shuru hojaate hain....in sab se nazar churaye baithe hain vo log jo insaaniyet ka sauda apne ghurur se apni khahishon se karte hain....khuda ka fermaan tak bhul jaate hain ke, "jo dusron per raham nahi karta us per khuda bhi raham nahi karta."..

Mohabbat ka sauda sirf mohabbat se hi hosakta hai...kaduraton se nahi....dilon ki safaii behtreen mauqa hai haqparasti ka....jisne khud ko pehchan liya usne apne rab ko pehchaan liya....jisne khuda ki khushnudi ki khatir apne amaal durust karliye usey khuda mil gaya...Allah hum sabko amal ki taufeeq atta fermaaye...Amin...

Friday, August 21, 2015

Fakhr-e-do jahan......................







Fakhr-e-do jahan mere khwaja ka aastaan
Shah-o-gada se unko mohabbat hai eksaan

Rang-o-nasal-o-mazhab ka farkh mit gaya yehaan
Dar-e-Nawaz se jaate hain sab bhar kay jholiyaan

hai Darbar-e-khwaja azmat-o-rahmat-o-gulsitaan
Yaan dushman ko bhi mile hai moqam-e-dostaan

Gulabon sa mehakta Ajmer jannat ka hai nishan
Khwaja ki dilnawazi ki sanad hain ashiqhan

Rahabar-e-ishqh-e-haqeeqi hai jaada-e-khwajgaan
Haasil-e-murad-o-surur hain dua-e-khaadimaan

Khissa mukhtasar ho mehboob ki nazar dil ho zubaan
"Chaand"faqat ek be-khudi hai bas deedar-e-meharbaan


maqsud ku maqsad se milana siwa rab ke kis ka ekhtiyar hosakta hai....bas to sarkar ke daman ki hawa hamare hosh ki dawa tehri...Ghareeb ko ghareeb nawaz ki jaaye paanah se behter aur kya asra hosakta hai...ghurbat saza nahi tamgha hai...jo mehbub-e-khuda seene se lagaya karte hain...derd ko dawa karne waale yehi Allah waale hain....deewanon ki her hasrath ko esaar may badal dete hain...unke her fale ko raza joii ki jaanib raaghib kar dete hain...khalikh ki raza....uski mohabbat-o-rahmat-o-qurbat ke yaqeen se unki duniya bulki kul kaainaath roshan kar dete hain...ye ahal-e-deen duniya ko apni rahbari se haqeeqi manzil-e-jaanan ki taraf mod lete hain....ye khayaal hi rooh parwar hai ke khuda se badh kar bandon ko chahne waala koi ho hi nahi sakta...jisey is baat ka yaqeen hojaaye vo apne rahbar ki surat may uska deedar karle...ke waan bhi uski her ada may uski hi siffat jhalke hai...ye tohfa her khaas-o-aam ko milta hai...per uski agahi sirf aur sirf khuda ki inaayet hai....buland martaba buzurgaan-e-deen is baat ka sabut hain .....khuda ne apni pehchan ki fazilath inhi waseelon ko bakhshi...

Mere khwaja ka dar is azmath ka roshan meenaar hai jahaan chaar su jalwa-e- haq se nazar khaira hoti hai....aur waan zubaan ko kya kaam jub ke dil baaten karte hain...aqeedat ke chasme phut kar bah nikalte hain..najaane kitnon ki sairaabi ka baayes hain ye ......taqayamat tak ka ye silsila-e-nawazish her lamha khud ko mutlashiyon ko pesh karta hua unko shahid-e-haq banata hua aage badh raha hai....kitne bhule bhatkon ko raah faraham karta hua khud may shaamil kar raha hai....mohabbaton ki misaal mohbaaton se dekar unhen mohabbaton ke safar per le jaaya jaata hai....her derd ki aram gaah hai ye...yehaan nafs nahi rooh bolti hai....yehaan lamha lamha qudrat apne raaz kholti hai..saare ghum is agahi ke surur se sharaboor hojaate hain...phir koi ghum ghum nahi rehta khushi may badal jaata hai...ke saamne jalwa-e-yaar hai to phir zindagi ko aur kya darkaar hai....

Monday, August 17, 2015

Kardo kardo karam Mere khwaja,






Mere khwaja, 

hai baad qadambosi ke ye arz hamaari....
yaad dilaata hai rahbar her roz tumhaari...
anmol hai aapke taaj ka vo shah nageena
wahin doob ke paaya  hai dil ka safeena
kya maangte hum dekh ke sarkaar ki surat
aap ke dar se hi mili hai is dil ko baseerath
ek amal hamesha ke liye ho gaya qaayem
derd ke badle taaseer-e-dua hogai daayem


Roz ek hi takraar hai dil ki, roz arzoo hai teri mehefil ki, ek chilman hai yaad aur us paar hai meri hasti, chahe duniya kahin le jaaye , ye dil hai aaj bhi aapki hi basti...mai nadim to nahi hun na shermsaar hun sarkaar...ke zindagi ne ki hai bas ek hi takraar...mujhe mera sakun hai darkaar....jo kabhi aapke dar se mila tha, mujhe yaqeen hai aaj bhi vo mujh may maujud hai bas ek khaul chad gaya hai halaath ka jis per, jub hum yehaan nahi to aapke siwa aur kahan honge...ye karam ye nawazishein sab usi nawaz ki, bas uske dair hai ek awaz ki, pukaar dil pukaar phir, apne tod saare khaul, chal unke paas chal, mil phir unse mil...vo huma waqt ki hain sohbatein, vo hameshgi waali hain mohabbatein....ye khafa khafa se log , inhein bhi badal deingi unki inaayetein...aa utha haath aye dil-e-faramosh tu.....maang le apni wahi raahatein....jo kabhi mili theen aapke dar-e-azeez say...phir aaj mujh ko chahiye aap ki duaon ki rahmatein...