Wednesday, July 29, 2026

Wahi ( Divine reveletion )

 



"Wahi" ke laghwi maayne hain khufiya aur lateef ishara ke, jisey ishara karne waale aur ishaara paane waaley ke siwa koi mehsus na kar sake.

Alqa--dil may baat daal dena

ilham-makhfi taaleem aur talqeen

Allah Taala ki taaleem inhi lateef tareeqon se di jaati hai.

Malayeka per bhi Wahi hoti hai jinke mutabiq vo kaam karte hain,

Lafz "Wahi "Anbiya ke liye makhsus hai.

ilham -Awliya aur bandgan-e-khuda ke liye khaas hai .

Alqa- aam hai.

Alzalzal--malayeka per bhi Wahi hoti hai,jiske mutabiq vo kaam karte hain.

Al-anfal---shahad ki makhi ko uska pura kaam "wahi " ke zariye ( fitri taaleem ) ke zariye sikhaya jaata hai.

Machli ko tayerna, parindey ko udna aur navu zaida ( new born ) bache ko dudh peena bhi "Wahi " khudavandi hi sikhaya karti hai.

Ek insan ko ghaur-o-fikir, tahqeeq-o-tajasus ke baghair jo sahi tadbeer ya saayeb-e-raaye ya fikir-o-amal ki raah sujhaii jaati hai vo bhi "Wahi" hai.Is "Wahi" say koi bhi insan mehroom nahi hai.

Duniya may jitni bhi mufeed Ejaadein huii hain us may isi 'Wahi" ki kaar fermaaii hai.

Bulkey aam insanon may aaye din jo tajrubaath hote rahte hain, ke kabhi baithe baithe dil may ek baat aai ya koi tadbeer sujh gaii , ya khwab may kuch dekh liya aur baad may tajrube say patta chala ke vo ek sahi rahnumaai thi,a jo ghaib say unhein haasil huii thi.

Shahad ka ghiza hona tou zaahir hai albatha us ke andar shafa hona nisbatan ek makhfi baat hai , is liye us per mutanba kar diya gaya.

Shahad tou awal baaz amraaz may bajaaye khud mufeed hai, kyon ke us ke andar phalon ka aur phulon ka aur unka gulucose apni behtereen shakal may hota hai.

Phir shahad ka ye khaasa ke vo khud bhi nahi sadtha aur dusri cheezon ko bhi apne andar ek muddath tak mehfuz rakhta hai aur usey is qabil bana deta hai ke dawaayen banaaney may us se madad li jaaye.

Mazeed baraan shahad ki makhi agar kisi aisey ilaqey may kaam karti hai jahan koi khaas jadi buti kasrath say paai jaati ho tou us ilaqey ka shahad bhi , shahad hi nahi bulki us jadi buti ka behtereen johar hota hai aur us marz ke liye mufeed hota hai jis ki dawa us jadi buti may khuda ne paida ki hai.

Khudavanda qudus ki karam fermaaii la mehdud hai aur bandey ki rasaii us tak tab hi mumkin hai jub apna mushahida tez karey..aur apni roz marra ki zindagi, apne jism ki sakht, nizam aur uski karkardagi per ghaur kare...ke kub kahan aur kaise khuda ki rahnumaii ne samjhaya ke us ki zindagi ka daromadar usi ke karam per hai..khudavand qudus ki hikmat-e-amli bande ke qyaas se bahar hai...magar haan ekhtiyar jisne bakhshe hain sab usi ke ekhtiyaar may hai..

So bande tera karam tera amal hai aur rab ka karam teri baqa hai..uske baghair najaath mumkin hi nahi...ke tu Us ke baghair kuch bhi nahi hai..

ye faham-o-adrak ke raaste tamaam hain usi ke waastey

unhi waaston se mila karte hain bandon ko uske raastey

No comments: