Wednesday, August 5, 2026

Charagh-e-Hasti

 


Sura Albaqra

-----------

Assalam-o-walaikum wa rahamatullahi wa barkatahi qaarayeen,

Aksar dilon may sawalon ka zakhira hota hai, agar vo Quran ki ayeton per ghaur-o-fikir kar lein tamaam jawabath wahin per milenge usi may milenge..

bas shert ye hai ke andhi taqleed say bacha jaaye, baat ko sahi tareeqe say samjha jaaye.aur mohabbat ka haq mohabbat se ada kiya jaaye..

--------------------------------------------------------------------------------------

Anbia-o-Awliya akram khuda ki riyazaton ibadaton say khuda ka qurb haasil karne waale ba barkat loug hain jo barah-e-raast khuda say taaluq bana kar tamam gumrahan ke haq may dua-e-khair karte hain.

Un ki mohabbat ko waseela bana kar dua maangne waaley jaante hain ke duayein mohabbaton ki marhun-e-minnet hain aur khuda ko ye mehbub waseeley mehbub hain pasand hain.

Koi banda khuda ki marzi kaise jaan sakta hai ke us ney kub aur kis liye kisi per karam karna hai. 

haan "ummid hi manzil ki ibtida hai."