Tuesday, July 28, 2026

Rooh !

 



Aye bazm-e-khwaja khwajgaan salam ,

Aaj kaafi dino baad apni awaz suni hai, warna ek bazgasht musalsal keh rahi thi ke ye hoshmandi ki nishani nahi hai, so pesh hai haasil-e-zindagi ke chund nukaat...


Rooh 

--------

Insan ke andar jo rooh phunki gaii hai vo dar-asal siffat-e-ilaahi ka aks ya partou ( reflection ) hai.

Hayaath ,ilm, qudrat, irada, ekhtiyaar aur dusri jitni siffaat insan may paai jaati hain unke majmuyey ka naam hi rooh hai.

Ye dar-asal Allah hi ki zaat-o-siffat ka partou hai halka sa.jo is kalbudh-e-khaaki ( human body )per daala gaya hai..

Isi partou ki wajah say insan zameen per khuda ka khalifa aur malayeka sameeth tamaam maujudaath-e-arzi ka masjud qaraar paaya..

Yon tou her vo siffat jo makhlukhaath may paai jaati hai uska mussadar-o-menmba ( source and origin) Allah taala ki koi na koi siffat hai.

Jo cheez insan ko dusri makhlukhaath per fauqiyeth deti hai , vo ye hai ke jis jaamiyeth ke saath Allah ki siffaath ka partou us per daala gaya hai, us say koi dusri makhlukh sarfaraaz nahi ki gaii..

Subhanallah !

No comments: