Allah taala razaq hain..
Allama Alusi rahma tullahi alaihi ne ye waqiya bayan kiya hai..” Hazrath Moosa Alaihisalam ke dil May ye khayal aaya tha ke Allah taala saari duniya ki makhlukh ko rizaq kis tarha deta hai…ye shak-o-shubah nahi tha,kyon ke Anbia ko shak-o-shubah nahi aata..unka emaan kaamil hota hai..bas tafseel jaanne ke liye ek khayal tha ke Allah taala kaise rizaq dete hain..
Allah taala ne Hazrath moosa ko us waqt hukum diya ke is chattan per laathi maaro …jub teen chataanein ud gayeen tou dekha ke uske andar ek Keeda hara ( green) patta kha raha hai..aur vo Keeda ek wazeefa bhi padh raha hai..zara uska wazeefa bhi sun lijiye..vo Allah ku yaad kar raha tha, teesre pathar ki chattan ke neeche chupa hua kya keh raha tha,…
Paak hai vo Allah jo mujhe dekh raha hai,
Aur jo meri baat ko sunta hai,
Aur jo meri rehne ki jagah ku jaanta hai,
Jo hamesha mujh ko yaad rakhta hai,
Aur kabhi mujh ko nahi bhulta ( ke kisi waqt mujh ko rozi na miley ).
No comments:
Post a Comment