Mere dosto,salam masnoon...haal hi may salaat k unwan per ek khubsurat aur roohperwar tahreer mili, vo aap sab ke gosh guzarish kar rahi hun...khud mustafeed hokar aap sab ku bhi mustafeed hone ki dua ke saath...inshallah..
Salaat arabi zuban ka lafz hai.ye lafz dua-o-rahmat,tawajoh-o-ruju ,sana-o-tareef aur wabasta hojaane ke maani may mustamal raha hai..
Istalah shara may islam ki makhsus aur jaama ibadat ku salaat kehte hain..jisko urdu aur farsi may namaz kaha jaata hai..
Namaz Huzur akram salla allahu alaihi wassalam ki ada-e-bandagi ka naam hai..jo Allah jalla majdahu ke janab may maqbul tareen ada-e-bandagi hai..isi liye Huzur sallam ne fermaaya " namaz us tarha padho jis tarha mai namaz padhta hun."
Namaz sar taasar bandagi hai, bandagi ka aghaz bhi hai bandagi ki takmil bhi..Namaz ibadat ke jumla aqsaam-o-anwa ki jaama hai..isliye isko afzal-ul-ibadaat kehte hain..
Huzur salla allahu alaihi wassalam ne Salaat...yaane ke namaz ku deen ka satoon "amad-ud-deen" qarar diya..
Azaan waqt-e-baryabi ka elaan aur Allah ke ghar falah-o-kamrani ki dawat hai..
Zindagi ki vo rawish jo akhrwi jawabdahi aur mukafat-e-amal ki buniyad per qayam ho usko deen kehte hain..aisi zindagi baghair namaz k haasil nahi hoti..isi liye Huzur ne namaz ku musalman ka turra-e-imtiyaz qarar diya..
Musalman aur ghair musalman may farq-o-tameez namaz ke zariye hi hoti hai..
Namaz islam ka shuaar hai..Emaan ki alamat hai..Emaan dil ki kaifiyet ka naam hai..iska izhar namaz se hota hai..
Is may bandagi ke tamam pehlu jama hain..ye mukamal suprudgi ka muzahera aur itsaal taam-o-qurb tamaam ka zariya hai..
Huzur akram salla allahu alaihi wassalam ka nuskha-e-kimiya namaz hai aur yehi ada-e-bandagi, bandagi ke rang may insani zindagi ku rang deti hai..
"Salaat Huzur sallam ki meraaj ka tohfa aur mominon ki meraaj hai.".
Hazrath Imam ghazali rahmatullah aliha fermaate hain ke anbiya akram bamanzila tabib roohani, roohani amraz aur asqaam ke ilaaj ke liye bataur nuskha ibadaat ki taleem dete hain, taake insaani zindagi mukaram akhlakh se arasta hojaaye, taqwa ka mazhar banein,insaani amaal sifaat-e-mehmooda se jagmaga uthein aur insaan esaar-o-qurbaani, mohabbat-o-akhuwat, adal-o-masawaat, hamdardi-o-mawasaat aur khidmat-e-khalkh ke khugar hojaaye....
Gharz namaz ko farz karne may Allah ko bande ki bhalaii maqsud hai...jub tak namaz ki gharz se banda agah na ho iske farz hone ki noviyet ko jaan nahi paayega..khushu-o-khuzu ka raaz khuda bande ki mulaqat ki raah hai..jis per chal kar baryabi haasil hosakti hai...
Jub ke isaani rishte uns-o-mohabbat se phalte aur phulte hain..tou phir ghaur kijiye khuda bande ka rishta kya chahta hai..khuda ki inaayaat may poshida uske dast-e-karam aur uski rahmat huma waqt bande ki bhalaii ke liye karferma hai ,phir banda apni ibadatguzari aur itaat-o-wafa shuaari ka muzahera sarnigun hokar kare. husn-e-ibadat yehi hai ke khuda ki raza may banda raazi rahe aur her haal may uska shukur ada kiya kare...aur apni namazon ku durust kare..aur khuda ke paighaam ku apne amaal se mushtahar kare...
Emaan ka taqaza yehi hai ke banda ka yaqeen kaamil ho, aur her surat-e-haal may khuda ki hikmat may apni falah ko samjhe...
No comments:
Post a Comment