Dosto, paakeezgi nisf Emaan hai, ye sabaq bachpan say hi ghar ke buzarg zahen nasheen karaaya karte hain..aur hum isey ta-umr nibhaate hain.ke ye vo moqadas gunj hai jiski bazgasht rooh ki taazgi barqarar rakhti hai.
Jis tarah paakezgi-e-Nafs ek niyamat hai usi tarah paakeezgi-e-Jism bhi ek niyamat hai. Insaan per Allah ki niyamat usi waqt mukammal hosakti hai jub ke nafs-o-jism dono ki taharat-o-paakeezgi ke liye puri hidayet usey mil jaaye.
Yaane ye niyamat ke zindgi ki shaah raah-e-mustaqeem tumhaare liye roshan kardi aur duniya ki hidayet-o-rahnumai ke mansab per tumhen sarfaraz kiya.
Kisi say uski buraiyaan door kar dene ke do matalab hain.Ek ye ke Raah-e-raast ko ekhtiyaar karne aur khuda ki hidayet ke mutabiq fikr-o-amal ke sahi tareekhe per chalne ka laazmi natija ye hoga ke insaan ka nafs bahut si kharabion say paak hota chala jaayega. Dusre ye ke is islaah ke bawajud agar koi shaks bahasiyet majmuii kamaal ke martabe ko na pahunch sake aur kuch na kuch buraiyaan uske andar baaqi rah jaayen tou Allah Taala apne fazal say un per muakhiza na fermaayega aur unko is hisaab say saaqt kar dega. Kyon ke jis ne asaasi hidaayet aur buniyaadi islaah qabul karli ho uski juzaii aur zamni buraaiyon ka hisaab lene may Allah Taala sakhtgir nahi hai.
No comments:
Post a Comment