Moqamaath ki ibtida tauba say hoti hai. iske baad anabath aur phir zahad aur tawakkal ka moqam aata hai. is tarha ek ke baad dusra moqam aata chala jaata hai..
Tauba say murad tark-e-gunaah,
Anabat say ruju-e-Allah,
Zahad say tark-e-duniya,
Aur Tawakkal say murad Allah taala per kaamil bharosa hai.
Haal, ek kaifiyet hai jo Allah taala ki taraf say dil per taari ho jaati hai. Haal say muraad mujahidaath say taaluq ke baghair Allah taala ke fazal-o-lutf ka dil per taari hojaana hai. is liye Moqam munjumla Amaal ke hai aur haal manjumla afzaal hai.
Azal may ahal--dil ne baab-e-rehmath say kya na paaya
dua paai dua ke waaste dast-e-dua paaya
humi kho gaye tujh may na jub tera patta paaya
na paaya muddua humne tou goya muddua paaya
Fil jumla ye jaan lo ke raza moqamaath ki intiha aur ahwaal ki ibtida hai.
No comments:
Post a Comment