Phir wahi mubarak mahina aaya hai..jub watan-e-azeez may hua karte tab bhi duaon ka hi sahara tha..ab pardes may bhi duaon per hi guzara hai..dua jub bhi mehbub ke dil se niklegi muhib ko sairab kardegi..wada bhi tou yehi hai" muhib jub dilse yaad karlega mehbub ki haaziri hogi..mehbub jub chahe, muhib ko bulalega apni huzuri may..kitna khubsurat wada ..nibhaya bhi..hamesha...kuch aise ke muhib ke ehsaas se guzare bhi aur hosh ko khabar bhi na hone di..
khuda ke nek bandon ka zarf hai ye..ehsaan karke jatlaaya nahi karte....nazron may reh kar bhi nazar aaya nahi karte...
Ghareeb nawaz ka dast-e-karam sadion se shahid-e-haq raha hai..kal bhi aaj bhi..jinhen mili unki nazar, usper huii ye duniya be-asar...kisi shaye ka usme na hosaka guzar..vo ek aise safar per nikal padhte hain jahaan khuda bande ki mulaqaton ka ehtmaam hota hai..jub darmyaan duaon ki dori ho kadey raaston ka patta bhi nahi chalta..Aashiq apne ishq ke paron per bulandiyan taye karete hain..basharte ke ishq kaamil ho...deewana ho...jahaan deewane ne apne dil pe nazar rakhi..uska kaam tamaam hua...ghum-e-ishq hi haath aaya..jub donon jahaan haarey tab usne manzil paai..
Maah-e-rajab ne ashiqan-e-khwaja ko unka ahad yad dilaya hai...kaamil imaan ka gawah khud ko banaya hai. ishq-e-Mustafa saw ko mehkaya hai..Rab ki wihdaniyet ka jalwa khud ko banaya hai...Khwaja ne apne dar per deewanon ko phir bulaya hai...deewanon ko apne faiz ka chasma dikhaya hai...ye daman keh rahe hain humen intizaar hai aapke daman may mehkti duaon ka...aapke saaye ki moqadas hawaon ka...imsaal appka faiz phir aam hojaaye...aapki is deewani ka bhi kaam hojaaye...is deewani ke murshad ka phir naam hojaaye...
No comments:
Post a Comment