Mohammad Salla Allahu walahi wassallam ki pairwi karne waale tarraqi karte karte is martabe par pahunche ke “ Ummat-e-wast"qaraar diye gaye. Tahavil-e-qibla ko jo nadaan mahaz ek simt se dusri simt ki taraf pherna samajh rahe hain ,halaanke darasal Baitul muqadas se Kaabey ki taraf simt-e-qibla ka phirna ye maani rakhta hai ke ke Allah ne Bani Israil ko Duniya ki peshwaii ke mansab se baa-zaabita maazul kiya aur Ummat-e-Mohammadiya ko us per faayez kar diya…
“Ummat-e-wast” ka lafz is qadar wasee maanuiyet rakhta hai apne andar ke kisi dusrey lafz se uske tarjume ka haq ada nahi kiya jaasakta. Is se muraad ek aisa aala aur ashraf groh hai jo adal-o-insaaf aur tawassat ki rawish per qaayem ho, jo Duniya ki qaumon ke darmyaan sadar ki haisiyeth rakhta ho, jiska talluq sab ke saath eksaan haq aur raasti ka ho aur nahaq aur narawa talluq kisi se na ho.
Phir ye fermaaya ke tumhen “ Ummat-e-wast isliye banaya gaya ke “ tum logon per gawaah ho”.is se muraad ye hai ke aakhirath may jub puri nu-e-insaani ka ikhata hisaab liya jaayega, us waqt hamaare Rasul hamaare zimmedar numayende ki haisiyeth se tum per gawahi denge, kyonke sahi aur amal-e-saaliha aur nizaam-e-adal ki jo taalim humne unhen di di thivo usne tum ko be-kam-o-kaast pahuncha di. Aur amalan uske mutabiq kaam kar ke dikha diya.uske baad Rasul ke qaayem moqaam hone ki haisiyeth se tum ko tamaam insaanon per gawah ki haisiyeth se uthna hoga aur ye shadath deni hogi ke Rasul ne jo kuch tumhen pahunchaaya vo tumne unhen pahunchaane may aur jo kuch Rasul ne tumhen dikhaaya tha tumne unhen dikhaane may apni had tak koii kotaahi nahi ki..
Is tarha kisi groh ka is Duniya may khuda ki taraf se gawahi ke mansab per maamoor hona darhaqeeqat uska imaamat aur peshwaii ke moqam per sarfaraz kiya jaana hai. isme jahaan fazilath aur sarfarazi hai wahin zimmedaari ka bahut bada baar bhi hai. iske maani ye hain ke jis tarha Rasul Allah Salla Allahu Walahi Wassalam is Ummat ke liye khuda-tarsi, raast-rawi sadaqat aur haq-parasti ki zinda shahadath baney usi tarha is Ummat ko bhi tamaam Duniya ke liye zinda shahadath banna chahiye..hatta ke iske qaul aura mal aur bartau her cheez ko dekh kar ye maalum ho ke khuda-tarsi isi ka naam hai. Raast-rawi ye hai,sadaqat isko kehte hain aur haq-parasti aisi hoti hai.
Duniya may ek Ummat ki rast-rawi ka ye intihaii samra hai ke vo Allah kea mar tasdiqi se aqwaam-e-aalam ki rahnuma aur peshwa banaii jaaye. Aur nu-e-insaani ko khuda parasti aur neki ke raastey per chalaane ki qidmat iske suprud ki jaaye.. ye mansab jis Ummat ko diya gaya dar-haqeeqat us per Allah ke fazal-o-inaam ki takmil hogaii..
No comments:
Post a Comment