Friday, November 13, 2009

Qaul Sher-e-khuda ke


Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or
Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat Hai.

HAZRAT ALI (Radi allaho anho)

Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hai.
HAZRAT ALI (Radi allaho anho)


Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta
hay.

HAZRAT ALI (Radi allaho anho)


Yeh zindagi 2 din ki hai
1 din tumharay haq mai aur
1 din tumharay mukhaalif
Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
HAZRAT ALI (Radi allaho anho)


tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai
bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay
HAZRAT ALI (Radi allaho anho)


Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko
Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.HAZRAT ALI (Radi allaho anho)


Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay
Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.
HAZRAT ALI (Radi allaho anho)

1 comment:

FUZEN AI said...

Subhan ALLAH.. JAZAK ALLAH KHAIR FID DAARIYEN