Tafseer-ul-Quran per kal majlis-e-ashiqaan may jub bahas chidi ,tou sab apni soch ka izhaar kar rahe they..aur ye soch apne apne aqaayed ka rang thi..tafseer may apne aqaayed aur apni mohabbat ko hi dhundna aur un ke ilawa baaqi sab ko be-maani samjhna behter nahi hai.mohabbat sirf chund dilon ki hoti tou phir Quraan sab ke liye nahi hota...ye daras tou aam hai...phaila hua..sabko khud may samet lene waala...sabko raah-e-haqeeqi pe chalaane waala...yehaan tera mera ki gunjaish hi nahi....
Sadion seTafseer likhne waale buzargon ne apne ilm ka behtereen izhaar kiya..unki pahunch jahaan tak thi, unhen jitna ilm bakhsha gaya.. unhon ne awam-un-naas ki falaah usi may dhundi..ye silsila-e-maurusi duniya ki falaah ki khatir jaari-o-saari raha..aur ab hum duniya waale isme behter aur khoobter ki talaash may lage huye hain...halaanke hum iske ahal hain hi nahi..hamaara kaam tou apne buzargon ki tafseer ki gehraii may utarna hai..unke ilm se etefada haasil karke apne amal-o-kirdar ko behter banane ki koshish karna hai...na ke is bahas may padh kar apni aaqibat kharab karna hai...aur jahaan tak tafseer ka sawaal hai her buzarg ne Quraan shareef ke paighaam ki gehraiion tak pahunch kar,logon ke liye asaan tafseer pesh ki..taaki aam zubaan logon ki madadgaar sabit hosakey..aur her kisi ki samjh may asake...
Tafseer jonsi bhi ho, jin ki bhi ho baat samjhne ki hai..her Ayet quran ki khud keh uthegi mera payam ye hai..ek dil hai insaan ka jo vo kon-o-makaan hai jahaan khud khuda ki awaz uthegi..sahi ghalath ka farq samjha jaayegi..ek musalmaan sirf apne dil pe nazar rakhta hai jo kaamil imaan ka asli ghar hai..phir ye mubahise kitne dilon ko barma denge,kitne dilon ko garma denge...basa auqath mohabbaton may darar ka sabab bhi ban jaate hain..jo mehafilen ulfaton ki shamma jaalati hain wahaan tafreeq ki hawa na chale wahi behter..
Mujhe kaafi arse pehle meri waleda ki taraf se ek Quran shareef tohfe may mila tha..muaf kijiye mai un buzarg ka naam bhul rahi hun jo us Quran shareef ke mutarjem they..yaqeen jaaniye jub bhi may pareshaan rahi aur maine quran shareef khola mujhe apni her pareshaani ka jawab us tafseer may nazar aaya. aur maine qaraar paaya..Quraan shareef ki her vo tafseer jo humen ghum-e-zindgi se door karde, aur sabar ki raahaton ki sair kara de sab se behter hai..Khuda ne her baar yehi kaha hai. "ghum na kar unka jo teri baat na samjhe..kyonki ye kaam tera nahi hai..maine unke dilon per mohar laga rakhi hai..jo kaii baar ke samjhaane per bhi na samjhe unki yehi saza hai...tera kaam sirf mera paighaam pahunchana hai .".
Behtreen Tafseer vo hai jo bande ko khuda se mila de..apni haqeeqat samjha de..
Mere Murshad ne ek dafa saari mehafil may meri taraf dekh kar jub ye kaha" Aala hazrath ka tarjuma-e-quran padho." mujhe ehsaas tha ke us puri mehafil may vo paighaam sirf mere liye tha..aur hua bhi ye ke mai jaise hi ghar aai Alahazrath ki talaash may nikal padi.aur mujhe vo mil gaye..phir maine unhen bade ghaur se padha,samjhne ki puri koshish ki kyonki ye ishaara khaas tha..aur be sabab nahi tha..Alahazrath ne bahut si bidaton ka munh tod jawab bhi diya tha...Quran shareef ke zariye ye paighaam nashar kiya..ke buzargaan-e-deen ka zikr abidain-o-salihain ki raahon per chalne ki dua ke zariye kiya gaya...khuda ki jaanib waseela dhundne ki baat ki gaii...uska yehi matlab tha ke gumrah dilon ki rahnumaii ke liye rahnuma ka hona kis qadar zaruri tha..khuda ki haqeeqat Anbiya ke zariye samjhaii gaii...unke baad bhi ye silsila jaari raha..unhi ki nasal se nikli huii shaakhen aaj tak hum per saaya fagan hain..inse koi inkaari nahi..ek baat kehti chalun..mere murshad ne ye nahi kaha ke kisi aur ka tarjuma ya tafseer na padho...us se kya hoga..gumrahi her surat may aapke rubaru hogi..ye aapki aqal-e-saleem ki faham-o-adrak ka mamla hai ke vo apne saath kya mamla chahti hai...jahaan bhi achi cheez mile jo aapke amal ko sanwar de,us se estafada haasil karne may koi buraii nahi..achi achi cheezen apne paas rakho..jo buri hain unhen chod do...
Maine haal hi may hazrath Abu Ala Syed al-Maududi saheb ka tafheem-e-Quran padhne ka mauqa mila...jo purasar tha.maine unki tafseer may bahut kuch paaya..unhon ne barha is baat ka ishara kiya ke log mohtaram mukhoton may nafaq bhi hote hain ..unse bachne ki takid ki gaii..ye koi ghalath nahi...jaisey ke Huzur saw ki ek hadees hai.
"sab se zyada jinse mujhe meri ummat ka dar hai vo alimulisan-o-faseehul-bayaan munafiq hain. jo lachedar khatib-o-muqarer honge, aqeeda-e-khaas ki pabandi na karenge,aur taqreer ke zariye musalmanon ko gumrah kardenge. mujhe apni ummat per un munafiqon ka khatra hai jinka kalaam hakimana aur amal zalimana hoga.."
Behtreen dalilon-o-misalon ke zariye aam faham rakhne waale hum insaanon ko Deen ki barekiyaan samjhaii gayeen..insaan ko uski kamzorion se,usper ghalib aane waale khatron se waqif karaya gaya...humen chahiye ke jahaan bhi koi baat aapki soch ka zaviya durust karde us per zarur ghaur-o-fikr karna chahiye...aur apne amal per nazar saani karna chahiye...tamaam umr ek dusre ki mitti palid karne se ye bahut behter hai...