kaafir ki ye pehchaan ke afaaq may gum hai
momin ke ye pehchaan ke gum usme hain afaaq
--------------------------------------------------------------------
Salam masnoon Dosto..
Haal hi may jo naya shagufa in insaniyet ke dushmanon ne choda hai usi ne mujhe kuch likhne ki tahreek di hai...zameen ka malik mokhtar to khaliq hai..aur uske faisle karne ka ekhtiyar bhi sirf usi ko hai..ek khilaf-e-qanun-e-qudrat inkishaaf ko manna tou door uske baare may ghaur karna bhi insaniyet ki tauhin hai..akhir ye farsuda khayal itni sadiyon se kisi ko kyon nahi aaya...ye achanak kis maha-atma ko akash-wani huii hai...ke falaan jagah uski thi ...yehan ka panahgazeen falaan tha..
sach poochiye tou khuda kub zameen ka mohtaj hai..uske liye tou saara alam kum pad jaayega...agar samana chahega tou ek chote se mohabbat bhare dil may sama jaayega...
Ghareeb nawaz ki khankha sadiyon se mohabbat-o-ithad ka amali namuna ban kar baghair kisi tafreeq ke sab ke liye rahat-o-sakun ka baayes bani hui hai..aaj in ki tafreeq aman pasand logon may phut daalne ki nakaam si koshish hai..
Ab bhi waqt hai aye jahal, zara sanbhal...khuda ke ghaiz-o-ghazab ko awaz na de..ye khankha nasheen us malik-e-do-jahan ki rahmat ka asra hain..waseela-e-faiz hain...jinke sadaq ka gawah hain ye joq-dar-joq aane waale zayereen..,ye sadiq ashiqeen...in khuda ke waliyon ne apni zindagi ko duniya walon ke liye paigham bana diya..jo rehti duniya tak nashar hota rahega..
jo kaam koi zinda alambarda na kar saka kabhi , ye in perda nashin buzargaan-e-deen ne kar dikhaya hai...itihad ki anokhi misaal qayem ki...her dil may khulus-o-mohabbat ka pauda perwan chadaya..jahan bhi unhein dilon ki zarkhizi nazar aai apni mohabbat ka beej boya...yon ye silsila farogh paata raha..banjar dilon ki abiyari inhi ka karnama hai...
khud quran kehta hai ke aye mohammed keh do..yaane ke khuda ne apne mehbub ki tawasat ko azmat bakhshi.warna vo yon bhi kehta jaisa ke vo hakim hai..usne insan ko apni sifaton ka aaina banaya..yon apne jamal ko mulahiza fermaya.
ye ghaur-o-fikir ka lamha hai Dosto..aapka dil gawah hai ke aapko kya mila hai..raah mili, rahbar mile, khuda mila...gumrahon ko iman mila...bhatke huon ko raah-e-haq ka nishan mila...khuda bande ki bemisaal mohabbat ki gawahi deta hua ye darbaar khud gawah hai ke ye zamin jahan khuda ka jalwa her taraf roshan hai ....khuda ne zamin ki khilafat unhi ko bakhshi jo uske ahal hain...jin per khud khuda ko naaz hai...