Vo akela insan bajaye khud ek Ummat tha.
Jub duniya may koi musalman na tha tou vo akela Islam ka alambardar tha.
Aur dusri taraf saari duniya kufar ki alambardar thi.
Us akele banda-e-khuda ne vo kaam kiya jo ek Ummat ke karne ka tha.
Vo ek shaks na tha bulki ek " pura irada " tha.
Islah bande ki falah hai
-----------------------
Dosto baghair kisi jad-o-jahad ke humein jo niyamat mil gaii hai...jo inayet hum per hogaii hai..hum millat-e-Ibrahim kehlate hain .hum Ummmat-e-Mohammedia ke ezaz se nawaze gaye hain.
Kya humne is turra-e-imtiyaz ki shaan buland ki hai..ya khaali kholi naam nihaad musalman hogaye hain...hamari buniyad jis qawi irade per buland huii hai kya uski jadein apna iqtedar kho chuki hain...nahi mere dosto aisa mumkin hi nahi...
Andruni ehsas aur baironi sayee, dono se islah aur tabdili (conversion) mumkin hoti hai.
Koi daakhili tahreek insan ke andar koi bhi cheez jo is ke andar bilquwat maujud na ho,hergiz paida ho nahi sakti.
Tahzib-o-tamadun, akhlaq-o-mamlaath ke tamam shoabon (divisions) may aaj tak jo bhi zahur may aaya hai vo sab dar haqeeqat insan ke andar bilquwat ( potentially) maujud tha.
Hamare tahat-us-shaoor may poshida haqeeqi quwatein khuda ki taraf se widiyet ki gaii hain, jinka zahur hazaar mukhalifaton ke bawajud ho kar rahta hai.
Ke khuda bande ke tawasath se jo is duniya may apna izhar chahta hai,jise rokna kisi ke bas ki baat nahi.
Anbiya akram aur kitabein aur dayaan-e-haq insan ke andar usi cheez ko ubharte hain jo unke andar pehle se maujud thi..
shayed isey hi soii huii qismat ko bedaar karna kehte hain..ghafil ko uske maqsad se rushanas karaane ke hi saare marhale hain...khuda se khuda tak ke hi ye saare silsile hain.