Monday, December 30, 2024

aye dil zara hosh kar...

 


kaafir ki ye pehchaan ke afaaq may gum hai

momin ke ye pehchaan ke gum usme hain afaaq

--------------------------------------------------------------------

Salam masnoon Dosto..

Haal hi may jo naya shagufa in insaniyet ke dushmanon ne choda hai usi ne mujhe kuch likhne ki tahreek di hai...zameen ka malik mokhtar to khaliq hai..aur uske faisle karne ka ekhtiyar bhi sirf usi ko hai..ek khilaf-e-qanun-e-qudrat inkishaaf ko manna tou door uske baare may ghaur karna bhi insaniyet ki tauhin hai..akhir ye farsuda khayal itni sadiyon se kisi ko kyon nahi aaya...ye achanak kis maha-atma ko akash-wani huii hai...ke falaan jagah uski thi ...yehan ka panahgazeen falaan tha..

sach poochiye tou khuda kub zameen ka mohtaj hai..uske liye tou saara alam kum pad jaayega...agar samana chahega tou ek chote se mohabbat bhare dil may sama jaayega...

Ghareeb nawaz ki khankha sadiyon se mohabbat-o-ithad ka amali namuna ban kar baghair kisi tafreeq ke sab ke liye rahat-o-sakun ka baayes bani hui hai..aaj in ki tafreeq  aman pasand logon may phut daalne ki nakaam si koshish  hai..

Ab bhi waqt hai aye jahal, zara sanbhal...khuda ke ghaiz-o-ghazab ko awaz na de..ye khankha nasheen us malik-e-do-jahan ki rahmat ka asra hain..waseela-e-faiz hain...jinke sadaq ka gawah hain ye joq-dar-joq aane waale  zayereen..,ye sadiq ashiqeen...in khuda ke waliyon ne apni zindagi ko duniya walon ke liye paigham bana diya..jo rehti duniya tak nashar hota rahega..

jo kaam koi zinda alambarda na kar saka kabhi , ye in perda nashin buzargaan-e-deen ne kar dikhaya hai...itihad ki anokhi misaal qayem ki...her dil may khulus-o-mohabbat ka pauda perwan chadaya..jahan bhi unhein dilon ki zarkhizi nazar aai apni mohabbat ka beej boya...yon ye silsila farogh paata raha..banjar dilon ki abiyari inhi ka karnama hai...

khud quran kehta hai ke aye mohammed keh do..yaane ke khuda ne apne mehbub ki tawasat ko azmat bakhshi.warna vo yon bhi kehta jaisa ke vo hakim hai..usne insan ko apni sifaton ka aaina banaya..yon apne jamal ko mulahiza fermaya.

 ye ghaur-o-fikir ka lamha hai Dosto..aapka dil gawah hai ke aapko kya mila hai..raah mili, rahbar mile, khuda mila...gumrahon ko iman mila...bhatke huon ko raah-e-haq ka nishan mila...khuda bande ki bemisaal mohabbat ki gawahi deta hua ye darbaar khud gawah hai ke ye zamin jahan khuda ka jalwa her taraf roshan hai ....khuda ne zamin ki khilafat unhi ko bakhshi jo uske ahal hain...jin per khud khuda ko naaz hai...

Sunday, June 23, 2024

Hazrath Ibrahim Alihisalam

 



vo akeley insan bajaaye khud ek ummat they, jub duniya may koi musalman na tha tou ek taraf vo akeley islaam ke alambardar they aur dusri taraf saari duniya kufar ki alambardar thi.

Us akeley banda-e-khuda ney vo kaam kiya jo ek ummat ke karney ka tha.

Vo ek shaks na they bulkey ek " Pura Irada " they.

Hazrath Ibrahim Alihisalam iraq may "urr" ke moqam per paida huye.apne bhatijey hazrath luuth Alihisalam ko bahira-e-luuth ke mashriq may maamur kiya..

Aag ke alau ( namrud ka waqiya) se bach nikalne ke baad aap watan chod kar pehle hurran ( haaraan) gaye..phir wahan say phalastain ki taraf muntaqal huye aur bait ale, bayet jabrun aur beer sheeba may apni dawat ke markarz qaayem kiye..wahan say aap misar tashreef lay gaye..jo us zamaane may iraq ke baad tahzeeb-o-tamadun ka gahwara tha. 

Uske baad aap nay hijaz ka rukh kiya aur makkey may baitullah taameer kar ke uski khidmat hazrat ismail Alahisalam ke suprud ki. phir phalsatain may (jairun)ko apna miskin banaya.aur yehin aapka intiqal hua..


Aap ke baad aap kay saahebzaade Ishaq Alahisalam us markaz may jaanashin huye.aur un say ye meeraas hazrath Yaqub Alahisalam tak pahunchi.

Tabdili-e-imamath ka elaan hone ke sath hi qudrati taur per tahavil-e-qibla ka elaan bhi zaruri tha.jub tak bani israil ki imamath ka daur tha baitul-muqadas markaz-e-dawat raha..aur wahi qibla-e-ahal-e-haq bhi raha..jub bani israil is munsab say ba-zabita maazul kar diye gaye tou baitul moqadas ki markaziyet bhi aap say aap khatam hogaii..

Hazrath Nuh Alahisalam ke baad hazrath Ibrahim Alihisalam pehle nabi hain jin ko Allah nay alamgir islami dawat phailaane ke liye muqarar kiya tha. Unhon nay pehle khud iraq se misar tak aur shaam-o-phalastain say registaan-e-arab ke mukhtalif goshon tak barson gasht laga kar Allah ki itta-at-o-fermanbardari ( yaani islaam ) ki dawat di.

Phir apni is mission ki eshaa-at ke liye mukhtalif ilaqon may khalifa muqarar kiye..

Sharq-e-Urun may apne bhatijey hazrath Luut Alihisalam ku aur phalastain may apne betey Ishaq Alahisalam ko aur andrun-e-arab may apne badey betey Ismail alaihsalam ko maamur kiya.phir Allah taala ke hukum say makkey may vo ghar taamir kiya jiska naam "Kaaba hai." aur Allah hi ke hukum say vo is mission ka markaz arar paaya..Aal-e-ibrahim Alahisalam ko ye fazilath atta ki gaii ke inmey anbiya-o-salateen ka silsila qayem kiya aur beshter paighambar aap hi ki nasal say huye..hatta ke kainath may sab say afzal "Hazrath Mohammed Rasulallah wa alaihi wassalam "bhi Hazrat ismail Alaihisalam ki nasal se huye..

Hazrath Ibrahim Alahisalam ki nasal say do badi shaakein nikleen..ek Hazrath Ismai Alaihisalam ki aulad jo arab may rahi.quresh aur arab ke baaz dusre qabaayel ka taluq usi shaakh se tha.

Dusrey Hazrath Ishaq Alihisalam ki aulad jin may hazrath yaqub Alihisalam,yusuf Alihisalam,musa Alihisalam Davud Alihisalam

sulaiman Alihisalam ,yehia Alahisalam,Esa Alihisalam aur bahut say anbiya Alaihisalam paida huye..

Hazrath yaqub Alihisalam ka naam chunkey israeel tha isliye ye nasal bani israeel ke naam se mashoor hui..isi shaakh se pehle "yehudiyet" paida huii aur phir "esaaiyet" nay janam liya..

khiyanath

 



Jo shaks dusrey ke sath khiyanath karta hai ,sab say pehley apne nafs ke sath khayanath karta hai, 

kyon ke dil aur dimagh ki jo quwatein uskey paas bataur-e-amanath hain un per bejaa tasaruf kar ke unhein majbur karta hai ke khiyanath may vo uska sath dein aur apne zameer ko jisey Allah ne uska muhafiz banaya tha, is hadh tak daba deta hai ke vo is khayanath-kari may sadh-e-raah banney ke qaabil nahi rehta. 

Jub insan apne andar is zaalimana dastbard ko paay-e-takmil tak pahuncha leta hai tab kahin bahar is say khayanath-o-maasiyet ke afaal saadar hote hain..

 

Hamaarey tahat-us-shavoor may poshida haqeeqi quwatein khuda ki taraf say widiyeth ki gaii hain.jinka zahoor hazar mukhalifaton ke bawajud ho kar rehta hai, ke khuda bandey ke tawasath say hi is duniya may apna izhar chahta hai jisey rokna kisi ke bas ki baat nahi..

Anbiya akraam aur kitaabein aur daayaan-e-haq insan ke andar koi naii cheez paida nahi kartey, bulkey usi cheez ko ubhaarte hain jo unkey andar pehle say maujud thi..


Saturday, May 25, 2024

hikmat

 


" Hikmat " ilm aur uske mutabiq amal karne ka naam hai...

Hikmat ka matlab hai ke danaai ke saath mukhatib ki zehaniyet , istedad,aur halaath ko samajh kar ,neiz mauqa-o-mehal dekh kar baat ki jaaye..

Her tarha ke logon ko ek hi lakdi se na haanka jaaye..

pehle uske marz ki tashkis ki jaaye..phir aisey dalaayel se uska ilaj kiya jaaaye jo uske dil-o-dimagh ki gehraaiyon se uske marz ki jub ko nikal sakte hain..


Admi us waqt tak hakim nahi hota jub tak ilm aur amal ku jama na karle..

ilm dil ki ibadat hai..

Ustad ek phaldar darakht hai..

intizar kar ke kub koi phal tujh per girta hai..

Sunday, February 11, 2024

Millat-e-Hazrath Ibrahim Alaihisalam

 



Vo akela insan bajaye khud ek Ummat tha.

Jub duniya may koi musalman na tha tou vo akela Islam ka alambardar tha.

Aur dusri taraf saari duniya kufar ki alambardar thi.

Us akele banda-e-khuda ne vo kaam kiya jo ek Ummat ke karne ka tha.

Vo ek shaks na tha bulki ek " pura irada " tha.


Islah bande ki falah hai

-----------------------

Dosto baghair kisi jad-o-jahad ke humein jo niyamat mil gaii hai...jo inayet hum per hogaii hai..hum millat-e-Ibrahim kehlate hain .hum Ummmat-e-Mohammedia ke ezaz se nawaze gaye hain.

Kya humne is turra-e-imtiyaz ki shaan buland ki hai..ya khaali kholi naam nihaad musalman hogaye hain...hamari buniyad jis qawi irade per buland huii hai kya uski jadein apna iqtedar kho chuki hain...nahi mere dosto aisa mumkin hi nahi...


Andruni ehsas aur baironi sayee, dono se islah aur tabdili (conversion) mumkin hoti hai.

Koi daakhili tahreek insan ke andar koi bhi cheez jo is ke andar bilquwat maujud na ho,hergiz paida ho nahi sakti.

Tahzib-o-tamadun, akhlaq-o-mamlaath ke tamam shoabon (divisions) may aaj tak jo bhi zahur may aaya hai vo sab dar haqeeqat insan ke andar bilquwat ( potentially) maujud tha.

Hamare tahat-us-shaoor may poshida haqeeqi quwatein khuda ki taraf se widiyet ki gaii hain, jinka zahur hazaar mukhalifaton ke bawajud ho kar rahta hai.

Ke khuda bande ke tawasath se jo is duniya may apna izhar chahta hai,jise rokna kisi ke bas ki baat nahi.

Anbiya akram aur kitabein aur dayaan-e-haq insan ke andar usi cheez ko ubharte hain jo unke andar pehle se maujud thi..

shayed isey hi soii huii qismat ko bedaar karna kehte hain..ghafil ko uske maqsad se rushanas karaane ke hi saare marhale hain...khuda se khuda tak ke hi ye saare silsile hain.

Sunday, January 21, 2024

istadlal...استدلال ( poshida daleel pesh karna, sabut dena )

 


Khudavanda qudus ki taleem-o-tarbiyet ke tarjuman ki zimmedari hai ke apni faham-o-frasat ki buniyadi maang per nazar saani karen, kahein vo jo khuda ki hikmat hai..likhein vo jisme faham ki firasat hai..

Na ke un buzurgan-e-deen ki talimaat per ungli uthayein , jinka shewa ummat-e-mohamadiya ko bhatakne se bachana hai...unki zindagi ki guthiyon ko suljha kar khuda ki raahon per laana hai...

Ye bande aur khuda ka maamla hai dosto,ke khuda uski mohabbat ko kis rang may rangta hai..aur uska konsa rang khuda ko bhaata hai..aur is kashmakash ke gerdab se ubharne waale ko apna haath thama deta hai..

Quran shareef ki geheraiyon may uterne waale , khuda   ki mohabbat ko apni manzil banane waale, Nabi sallam ki raahon per khud ko chalaane waale yehi alambardar khasaan-e-khuda hain, jo rahti duniya tak amal paira rahenge...insha Allah...

lihaza tafseer k tarjuma aur us per nazar saani karne waalon ko ye baat zehen may rakhni chahiye ke khud ko haq per rakhne ki koshish may kahin haqeeqat ko nazar andaz na kardein..aur khuda ki mehbub hastiyon ke haq may ghalth bayani ka sabab na ban jaayein...


Mushkilon may ghire huye log apne dil-o-dimagh ki kofton se majbur apna sakun inhi khaak nasheenon ki sangaton may talaash karte hain..khuda ka jalwa in khankhah nasheenon ki mohabbaton se jhalka karta hai..aur derd ke maaron ko sairab kiya karta hai...

Is baat se ye hergiz na samjha jaaye ke ye buzurgaan-e-deen is baat ki taleem de gaye hain ...nawazishein rahmatein saari rab ki taraf se hi hoti hain...aur mohabbatein buzurgaan-e-deen ka khaasa hain...inhi mohabbaton ka haasil hai in zayereen-e-haq ka yaqeen..ye buzrugaan-e-deen apni tamam umar ki riyazaton aur ibadaton say mazlumon ki duaon ko maqbul karte hain..

Karodon ki dilbastagi-o-sakun ka samaan hain khuda ke bakhshe huye waseele...khuda inki mohabbaton se jub inkaari nahi hai tou kisi ko is baat ka etraaz kyon ho... 

Tafseer likhne waalon ko is baat ko zer-e-nazar rakhna chahiye ke quran ka nazul bandon ki falah ki khatir hua hai...aur barah-e-meherbani khalkh-e-khuda ki beqarariyon ko buzurgan-e-deen ki shaksiyet-kashi per sarf  na karein..

jahan derd baante jaate hon vo jaaye-manzil-e-maqsud ke siwa kya hosakti hai..khuda ki kareemi ki aala misaal hai ye ke usne apne noor ko hi bashar kar diya...apni mohabbat ko hi inke daron per jalwa gar kar diya,,,

"waqi ghaur-o-fikir karne waalon ke liye hi ye nishaniyan hain.."

Hazrath , kuch maamle khuda per bhi chod diya karein,

khuda ki sochi samjhi scheme per hi duniya chal rahi hai, bandon ki falah-o-bahbudi ki khatir usne apne mehbub bandon ko rahbari bakhshi...

Buzurgaan e deen ko jo moqam haasil hai khuda ki rahmaton aur mohabbaton ki wajah se haasil hua hai..vo apni zindagi ko huzur sallam ki mohabbat ka nishaan banaate hain aur bhule bhatkon ko thaam kar unki raahon ko asan kar dete hain..

Ye bhi khuda ki hakeemi hai ke vo apne bandon ko waseele bakhshta hai aur apni qurb ki raahein sujhata hai...Alhamdulillah..

Ungli agar uthe shadat-e-haq ke liye uthey..na k khuda ke mehbub bandon ke khilaf uthey...khuda se behter bandon ke dilon ka haal kise patta hai..ilhaam her kisi ki taqdeer may nahi...so khuda se guftagu ka haasil bas yehi rahe..ke banda jub bhi kahe haq ki kahe...haq pe rahe...