Hazrath Allama Iqbal ke kalaam ne faham o adrak ki raahon per zeefaham zehenon ko dawat di hai..Hazrath rumi se unka Ishq o aqeedat is baat ki gawah hai…ke khuda ka qurb aksar yon bhi mila karta hai..dil arzu khahishon ki rahguzar se ho kar khudi ka patta chala karta hai..
Ghalath nigar hai teri chashm-e-neem baaz ab tak
Tera wajud tere waastey hai raaz ab tak
Tera niyaz nahi ashna-e-naaz ab tak
Ke hai qayam se khali teri namaz ab tak
Gustaar hai teri khudi ka raaz ab tak
Ke tu hai naghma-e-rumi say be-niyaz ab tak
________________________
Na utha phir koi rumi ajam ke laala zaaron say
Wahi aab-e-gil-e-iraan, wahi tabrez hai baaqi
--------------------------------------------------------------
Insan ki zindagi, arzu per buniyad,aur asaas rakhti hai. Apne aap ko apni pakiza tamannavon aur aala arzuvon ke hawaley say pehchano.
Momin aur banda-e-haq ki ummid aur tamanna Allah ki Raza, khushnudi aur uske deen ki sar bulandi , duniya ki kamrani aur akhirat ki falah hai..iske liye Allah ka batlaya hua raasta ekhtiyar karna hi matlub-o-maqsood hai..
Insan ki ankhen,kaan,hosh-o-hawas, arzu se hi mutahrik aur zinda rahte hain.ye musht-e-khaak, aulad-e-adam ,arzu se hi laala kheez ban jaati hai..aisi mitti jis may gul-laala ugtey aur nashonuma paatey hain..
Jis insan ne arzuvon aur tamannavon ke beej apne dil ki kheti may na boye, vo patharon aur eenton ki tarha dusron ki paamaali ka shikar aur sabab banta hai..
Neik tamannayein buland iraadey aur maqsad-e-zindagi ke hawaley say khush-aaind arzuyein , her badsha aur sardar ka sarmaya-e-hayaath hain..
Arzu her faqeer ke liye jaam-e-jahaan been ki haisiyet rakhti hai..
Insan jo aab-o-Gul ka mujasima hai , usko arzu hi insan banati hai..arzu hum ko apni pehchan aur shanakht bata deti hai..
Arzu aag ki chingari ki tarha hamare jism say buland hoti hai aur ek khaak k zarrey ku asmaani wussat aur pinhaii se humkinaar kar deti hai...
Aazar ki aulad ne ek kaaba tameer kiya..ek nigah-e-khuda shanas-o-khudabeen nay khaak ko akseer bana diya..aye bani nu ,tum bhi apne badan may khudi paida karo aur apni musht-e-khaak ko akseer banao.