Bismillahirahamanirahim
—------------------------------
Assalam walalaikum haazireen,
Ye ahal-e-dil ki hai majlis yehan pe dil waale
Aseer-e-derd-e-mohabbat banaaye jaate hain
Allah taala ka talluq agar asani se mil jaata tou log duniya ke iwaz bik jaate..isi liye Allah taala fermaate hain jo log hamari raah may mushaqat uthaate hain hum unko apni bargah tak rasaii ke liye beshumaar drewaze khol dete hain..jo niyamat mushaqat se milti hai uski qadar hoti hai,,laikin mushaqat ka inaam bhi milta hai..
Allah apne chahne waalon ko apna raabita atta kar deta hai..jub hidayet may taraqi hoti hai phir “va rabatna ala khulu bihim “ ka moqam atta hota hai..yaane raabita-e-khaas atta hota hai..
Hum tum bas agah hain is rabt-e-khafi se
Malum kisi aur ko ye raaz nahi hai
Hum sa koi humdum koi dumsaz nahi hai
Baatein tou hain her dum magar awaz nahi hai
Qalb may ye awaz aati rahti hai ke ye karo ye na karo..ke khuda ka karam-e-khaas hota hai ke tasawur-e-zaat-e-haq may doob jaane ki salahiyet haasil hojaati hai..aur dil ki zulmat zaayel hojaati hai..zikir-e-ilahi ka noor zaakir ko gher leta hai..
Allah gawah hai ke na-ashna-e-derd yehaan
nigah-e-ishq se bismil banaye jaate hain..
Ye vo chaman hai jahan taayeraan-be-parr-o-baal
Suu-e-arsh beik dum udaaye jaate hain
Ye ahal-e-dil ki hai majlis yehan pe dil waale
Aseer-e-derd-e-mohabbat banaaye jaate hain
Ye daulat yon hi muft nahi milti…pehle nafs ko mitana padhta hai phir dil, dil banta hai..
Aaina banta hai ragde jub laakh “khaata” hai dil
Kuch na poocho dil bahut mushkil se ban paata hai dil
Banda hergiz mayus na ho, khata hojaaye rona aur gidgidana chahiye….Allah taala ke siwa kon muaf karega..lihaza umarbhar ye koshish jaari rahe..
Jo Allah ki baargah hai wahan ansu nahi hain isliye wahaan hamaare ansuon ki qadar hai..kyon ke ansu tou gunahgaar bandon ke nikalte hain..
Farishte tou rona nahi jaante kyon ke unke paas nadamat tou hai nahi..unko qurb-o-ibadat haasil hai.qurb-e-nadamat tou hum gunahgaron ko haasil hai..
Insan se jo gunah hote hain ue per chaar gawah hain..
1..ek gawah zameen hai jis per gunah hote hain.
2..dusra gawah aaza hain jin se gunah serzad hote hain.
3..teessra gawah sahifa-e-aamal hai.
4..chahuta gawa farishte hain.
Yaqeenan hum per nigehban izzat waale farishte moqarar hain jo kuch hum karte ho vo jaante hain..
Jub banda tauba kar leta hai tou Allah taala uske gunah malayeka { kiraman katibain} ko bhi bhula deta hai..uske aaza se bhi bhula deta hai us zameen se bhi mita deta hai jahan gunah serzad huye they..
Yehan tak ke vo shaks qayamat ke din Allah taala se is haal may milega ke us ke gunah per koi gawahi dene waala na hoga…
Basharte ke bande ko ehsaas hojaaye..tauba ka lamha mil jaaye…ye bhi karam-e-khaas hai..
Tauba ka kamaal ye hai ke agar saari zameen gunahon se bhar jaaye tou tauba sab ko mita deti hai..
Farishton se bhi bhula dene may ye hikmat thi ke zamin ki niyabat-o-khilafat paane waali makhulkh farishton ke aage sherminda na ho…
Khuda ki azmat-o-rahmat ki is se aala misaal kya hogi…raah bhi wahi sujha raha hai manzil se bhi wahi mila raha hai..khuda hum sab ko amal ki taufiq atta fermaaye Amin…
Jo tu mera tou sab mera falak mera zameen meri
Agar ek tu nahi mera tou koi shaye nahi meri