agar yon hi ye dil satata rahega
to ek din mera ji jaata rahega
Main Jaata Hoon Dil Ko Tere Paas Chhode
Meri Yaad Tujhko Dilata Rahega
Khwaja meer dard ne dil-e beqarar ka muddua mausar andaz may bayan fermaya ke dil ko be ekhtiyar aapka dar yaad aaya...jahan se rooh ka safar shuru hua tha,aur dil ko dhadakne ( tadapne) ki khairaat mili thi..nazaare rang badal badal kar milte rahe...aur khird per khudbeeni ke nashter chalte rahe...nafs se roz mulaqat rahi..roz hum jeete rahe marte rahe...
Agahi ka dar jub wa hone lagta hai to jaan lena chahiye ke Rab-e-kareem meherban hogaya hai..Usne apne mehbub ko aaina saaz bana rakha hai..jisne bhi nazar milaii apne aap ko paa gaya..barson ki behissi ko jaise hosh aagaya...agar us hosh ko muhasin ki sohabbaton ka surur mil jaaye phir tou phir bekhudi saare marahel taye kara deti hai......dil ki huzuri mil jaati hai...aur banda ghayeb hojata hai..
jahan khudi faramosh hojaaye wahin haqaayeqon ka bazar lagne lagta hai...ab ye kharidar per munhaser hai ke usey kya chahiye dil chahiye ke dildar chahiye...ishq chahiye ke takraar chahiye...
Gharz dilon ka bhed paa jaana juu-e-sher laane se kum nahi...aur ye sirf aur sirf sher-e-khuda ki nasal ka pesha hai..jinke haathon ummat-e-wasta ki nigehbani hai...salaar-e-carvaan haiin ye...inhi ke nazar-e-karam se khudavand qudus ki rahmat rawaan hoti hai..inhi ke dar per ashiqan-e-Rasul ki mohabbat jawan hoti hai...
Adna ku aala karne ka hunar inhi ke paas hai..jise inki raah mil gaii samjhiye unki manzil bhi khaas hai..