"Allah taala apne bande may is se bhi zyada poshida hai jitna ke raat ki tareeki may siyaah pathar per chiyunti rengti hai...."
loag dhundte hain dasht-o-sehra may, jo bande ki zaat may hi shaamil hai...uski fitrat ka ujaala wahi tou hai...jisney apne nafs ki kaali chaadar odhli ho vo kahan dekh paata hai..bas dhundta reh jaata hai...khuda ko paana ho tou khud ko tatolna hoga...khud may chupi uski siffaton ko ujaagar karna hoga....phir tou dil ki roshni may waazah manzar dikhaaaii dega..talab asmaanon ki usey kyon ho jo zameen ka khalifa hai...khudaii may simat jaana hi qalq ka saleeqa hai...
"Allah taala ne duniya hi may firdose-o-jahanum ka namuna pesh kar diya hai kyonki asaaish junnat hai aur taklif jahanum...aur junnat ka haqdar wahi hai jo apne tamaam amoor Allah taala ko soanp day aur dozakh us ka moqadar hai jo apne amoor sarkash nafs ke hawaale kardey..."
"Allah taala jis ko chahe apni rahmath say khaas kar leta hai..tamaam asbaab-o-wassayel khatam kar diye jaate hain taake ye baat waazah hojaaye ke atta-e-ilaahi bila waasta hai na ke bil-waasta...."
Allah taala ki meher amuman uski mehbubiyet ke zariye azmaaye jaane ke baad hi nasib hoti hai..pehle duniya pesh hoti hai...duniya may mubtila ho kar bhi jisne paas-e-khuda rakha vo khusnasib hota hai ...vo banda khuda ko pasand hai jisne huma waqt apne dil per nazar rakhi ho, mubada madhoshiyon may dono jahaan se hi na chala jaaye...(aur duniya ki asaaishein ek nasha hi tou hain...aur insan ki talab kabhi khatam nahi hoti)...ye bhi khuda ki taraf se hi inaayet hoti hai ke mughaliton may bhi bande ku khuda ka hi paas hota hai kyon ke huma waqt khuda hi paas hota hai..aur ye karam ka silsila khuda se hi shuru hai aur us tak pahunch kar hi tamaam hua karta hai....darmyaani marhala uske khaas-ul-khaas salihain ke zariye manzilein taye karta hai....aur ye bhi bahukum-e-ilaahi hota hai...ishaara bhi uska, nazar bhi uski, karam bhi uska, mohabbat bhi uski, rahmat bhi uski, faizaan-e-aalam wahi ism-e-aazam...
"Paanch logon ki sohbat se ejtenaab chahiye, awal jhoote saykyonki is ki mayeet fareib may mubtila kar deti hai, duam bewaqoof say kyonki jis qadar vo tumhari munafath chahega usi qadar nuqsaan pahunchayega , suam kanjoos say kyonki uski sohbat say behetereen waqt rayegaan ho jaata hai , chaharam buzdil say kyon ki waqt padne per vo saath chod deta hai , panjam fasiq say kyonki ek niwale ki tamaa may kinara-kash ho kar musibat may mubtila kar deta hai...."
"Nek bakhti ki alamat ye bhi hai ke aqalmand dushman say waasta pad jaaye..."
Laakhon salaam aye Jafer Sadiq aye imaaam....lafzon may kahaan samaa sakta hai aap ka moqaam...