khwaja-e-khwajgaan aye bahar-e-rahmat-e-bekaraan
taalib ke waaste her baar aapne liya rang-e-rahbaran
Assalam-o-Alaikum haaziraan-e-mehefil, Ashiqaan-e-khwaja-e-khwajgaan...
Is saal ka Urus-e-Ghareeb Nawaz bhi gulabon may mehkta hua karodon dilon ko apni be-intiha rahmaton ke saaye may leta hua pursakun kar gaya...Her saal ki tarha...vo raat aai bhi guzar gaii...Ye purnoor subah kitne dilon ko munawar kar gaii...jisne nazaara paa liya vo noor hogaya...jisne dooriyon may bandh ankhon may jalwe samet liye vo makhmoor hogaya....Khuda ne inhi khankhahon ko apna gawah banaya...Yehi khankha nasheen uske mehbub ke ishq may ishq-e-khuda ko paa gaye aur khuda Dost hogaye....ye dosti hi to hai jo kitne ghumzada dilon ko Dost kar leti hai...unke ghumon se unhein azad kar deti hai...unke ghumon ko apna bana leti hai....ye jo jhund ke jhund umadey chale arahe hain isi baat ke gawah hain...
Aaj is mubarak mauqe per mai aap sab se Khwaja qutub-ul-islam Hazrath Bakhtiyar kaaki rahmatullahi alaih ne daleel-ul-arifeen may Khwaja buzarg ke malfuzaat jama kiye hain..un may say chund kalmaat tabarukan darj kiye jarahe hain...
Khwaja buzarg fermaate hain ke " ashiq ka dil mohabbat ka atish kada hai jo kuch uske andar jaata hai jal kar raakh ho jaata hai aur kuch baaqi nahi rehta..Aap fermaate hain ke juu-e-Aab ko dekho kis josh-o-khrosh se pahadon se hoti hui aati hai ,laikin jub samandar may daakhil hoti hai khamosh hojaati hai. ( yaane jub saalek hijr may hota hai tou zauq-o-shauq may be-chain hota hai, laikin jub zaat-e-haq ke samandar be-payaan may fana hota hai tou uska saara josh-o-khrosh jaata rehta hai.."
Neiz fermaaya ke haq taala ke vo Dost hain ke ek lamha bhi us se mehjub rahein ( perde hojaaye ) tou nest-o-nabud hojaayein..
Fermaya jis shaks may ye teen khaslatein hoti hain yaqeen jaano Allah taala usey Dost rakhte hain. "Awal , sakhawat yaani darya ki tarha sakhi ho, duam , shafaqat yaani aftaab ki tarha shafeeq ho, suwam, tawaza yaani zameen ki tarha mutawaza ho...Fermaaya admi us waqt faqar ka mustahaq hota hai jub is alam-e-faani may say us ke liye kuch baaqi nahi rahta..
Fermaaya "mohabbat ki alamat ye hai ke tu Dost ka mutee hojaaye,,aur hamesha is baat se darta rahe ke randa-e-dargah na hojaaye. Fermaaya ke arif jo irada karta hai vo fauran hojaata hai.aur jis se baat karta hai us se jawab fauran sunta hai.( yaane jis cheez ko vo mukhatib karta hai vo us se humkalam hojaati hai khwah vo bejaan kyon na ho.) "
Fermaaya " ahal-e-mohabbat vo loag hain jo haq taala se barah-e-raast kalam sunte hain, faazil tareen waqt vo hai ke dil ke wasawas band hojaayein."
Fermaaya"ilm behar-e- muheet hai aur marifat is behar say ek nadi hai..bahar-e-muheet se murad haq hai aur marifat se murad banda "
Fermaaya " haq taala ke nazdeek behtreen ibadat mazlumon ki faryad rasi aur bhukon ko khana khilana hai.."
Fermaaya" jub mai post-o-chilke se bahar aaya tou ashiq, mashooq aur ishq ko ek dekha, yaane alam-e-tauheed may sab ek hain.."
Neiz fermaaya " haaji loag jism ke saath khana-e-kaaba ka tawaf karte hain aur bihisht ke taalib hote hain, laikin areefain qalb ke saath arsh-o-hijab-e-azmat ka tawaf karte hain aur Allah ke deedar ke taalib hote hain.."
Fermaya" Areefain aftab ki maannd hain jo duniya per chamakte hain aur saara jahan unke noor se munawar hojaata hai...
Khuda hum sab ko khwaja saheb ke zareen aqwal ko samajhne ki taufeeq atta fermaaye aur koshish-e-amal ki janib raghib kare...Amin..