Insan ko ghaur-o-fikir ki janib isliye raghib kiya gaya ke vo apni haqeeqat paa sake...jahan khuda ki haqeeqat poshida hai...vo khuda ko paa sake aur vo khud ke rubaru hosake...
Insaan ko mitti se banane may khudavand qudus ki yehi maslihath thi ke vo ajz-o-inkisari ka murakab bane...aur ghurur jaise ansar se beniyaz ho...iblis aur bashar ke darmyan yehi ek sifat hai jo in dono may sharf ka imtiyaz kara sakti hai....insan ka mitti hona mitti ki daryadili ka sabut hai...so ye fayazi bhi insan ki fitrat may shaamil hogaii...basharte ke insan uska ehsaas kar sake aur amal tou agla qadam hai...mitti may tawazoh koot koot kar bhari huii hai...mitti ki wassat to lamehdud hai...gharz ghaur karne waali baat ye hai ke insan ko ye ehsaas dilaane ka sabab kya hai ke vo mitti se banaya gaya hai....tou mere azeez insaano, musalman to vo hain jo khuda ki maslihaton aur hikmaton ko aur uski raza ko apni mataa-e-zindagi samjhein...isliye kul kaainaat ke bashindo.....ye aap sab ki sochne waali baat hai....ke aapka mitti se hona aur mitti hojaana isi baat ki dalil hai jaise ke hazarath ibn-e-Arabi ne kaha hai " hum sab usi se wajud may aaye hain aur usi may jazb hojaayenge ".
Rabulizzat ne apni takhliq ko muktalif zawiyon say parkha, unhein azmaaya hai....apni raza ke raaston per bulaana isi baat ka sabut hai ke jo sabaq awal bashar ko mila tha uska imtihan maqsood tha..ek tou adam ka mitti se banna, dusre apne khaliq ki siffaton ko khud may munawar karna....in haqayeq ki roshni may apni zaat ka maqsad khojna.....insan ki fitarat ko khuda ne ahsan tareeqe se wazeh kiya hai...insan ki khahishon ka silsila bada taveel ter hai....jiski dore khuda ne apne saath bandh rakhi hai....mohabbat ka mole behter aur khoobter tehraya gaya.....nafraton ko iblis ki aag kaha gaya....mohabbat ka her qadam junnat ka raasta....nafrat say sirf dozakh arasta..
Baat samajhne ki hai Dosto...farayezon ko pesh karne may insan ki insaniyet ko ujagar karna hi maqsood hai.. kalma namaz roza zakaat aur hujj....inmay aapke liye ek saaf suthri zindagi ke behtreen sabaq maujud hain....aapka yaqeen aapka amal chahta hai...aapka amal aapki sifat ki tabligh hai...aur ye sab sirf aur sirf haq ki mohabbat ka natija ho...na ke aane waale kal may khud ke liye mazeed khahishon ki lambi fihrist....maana ke ye duniya aur yehan ki her shaye khuda ne insan ke liye hi banaii...so ye koi najayez khahish bhi nahi...jub tak hadood may simti rahi...aur hadon ka tayeen insan ki berah rawi ko rokne ke liye hi kiya gaya...gharz mazhab aur uski taleem ka wahed maqsad insan ki falah aur islah hi hai...
Agar aisa na hota tou uske liye kahin bhi koi kya kami thi....usey adam aur unki nasal ki zarurat hi nahi thi...usne Huzur ko mehbub-e-dojahan bana kar mohabbat ko insan ke khamir may shaamil kar diya...agar koi is sifat se arasta hogaya tou usey haqeeqatan khuda ka rasta mil gaya...baghair is buniyazi juz ke baat nahi banne waali Dosto....loag apni mushkilon ko aram nahi dete....ek asan si mohabbat ka dum kyon nahi bharte....tamaam zindagi auron se ladtey rahtey hain khud say kyon nahi ladtey...khud ko bakhsha hua behtreen wasf istemal nahi karte....nasamjhi may umar guzar dete hain...khaali haath aate hain khaali haath chale jaate hain....
Mohabbat may jo pehel karle vo apni zindagi ko sahal karle...mohabbat may dilon ki taskhri aam hai...dilon ka jhukna jaana khaas....jub dil ki bisat per sar ki baazi lagti hai tou phir tera kya aur mera kya.....hamara hi wahed naara ho...ek mai aur ek tu ka hum hona hi aham hai...is tu tu mai ki kahani nirali nahi hai...is se bahar nikal aana hi insan hone ki nishani hai...
Ghurur insani fitrat may shaamil nahi hai...kyonki insan ko tou khuda ki siffatein bakhshi gayeen...aur ye bairuni ansar hai jo insan ki kota andeshiyon ki wajah se usper hawi hone lagta hai....aise insan asan shikaar hote hain...khuda ne jisey choot de rakhi hai uski shaadmaani ki wajah bante hain...muddaton say ye kheil jaari hai....kabhi uski tou kabhi iski baari hai...baat sirf yaad dahani ki hai khud ko mitti ka samajhna aur mitti sa hona hi insan ke azmat ki nishaani hai....
mitti say bane hain mitti may mil jaayenge
junnat na bhi mili behel jaayenge
humein apni mehek do apne gulab do