Mere Meherbaan sada rahna tum Meherbaan
Tumhi say hai ashiqon ka dil ashiqon ki jaan
Hai ye ghilaf apka phaile in damanon ka aasra
Tumhi ho khwaja in jhuke huye saron ki shaan
Muafi mere muhasin...waqi log waseele bhul jaate hain...unhen ye duniya jitna uljhaati hai vo us se bhi zyada khud ko uljhaate hain...ke unke aage do raaste jo hote hain...ek farar ka dusra qaraar ka....farar tou asaan hai qarar tou iqrar may hai..ke sahi aur ghalath ki guthi ab kon suljhaaye...ek ore nazar daalen tou dusri ore nazar jaaye....ek raah tou apni taskin ki hai aur dusri raah nibah ki hai....ye nibah un rishton se hai jo mukhlis they..jinke dil sona they jinki ulfat heera thi...jinki chah apni zindgi ka sawera thi...ab aise dilon ko tod kar koi sukun paaye bhi tou kaise...Aap behter jaante hain mere Muhasin....ye dil jo gosht post ka bana hai isey kuredne waale nakhun bhi apne hi tou hain...inse rista hua lahu unka hi tou hai...
Bas itni iltija hai ke ab ke vo sabar haath aaye jo shikayet ka mohtaj ho...karam muskurahat hojaaye aur waqt humdam....jub insaan ki samajh andheron may khud ko khojti phire tab ujalon ki ummid bhi tareeikyon may doobne lagti hai...Nahi aisa ho na paaye....aapki ulfat ke sadqe vo hausla mil jaaye jo in andheron se nikalne ki quwat atta karde...vo jo daana-e-waqt hain vo bas nafs-e-ammaara ke ghulaam hain aur apna chod dusron ke nafs ke saath khilwad ki tafreeh karte hain...Kaash waqt rahte unke dil herkat may aayen aur apna ujaala paayen...Aur is kasmakash may dube huye dilon ko najaath mil jaaye...ek tashanj taari hai, aakhir ab kis sitam ki tayaari hai...ke zindgi akhiri dum tak azmaish hamaari hai...
Nahi mere Maula, hum bhi insaan hain, hum wahi insaan hain jiski qismat may ghaflath bhi tu ne hi likhi, aur hidaayet bhi....ye tera hi chalan hai de kar azmaane ka....ye teri hi hikmat hai chaabi haath may thama kar khazanchi ku daryaburd karne ki....ab aise may mere maula phir ek baar aur tera karam chahiye....vo nazar vo sanam chahiye jo butkadon ko laang kar haram may daakhil karde...aur is deewane dil ka bharam rakh le....vo saraapa dastbasta rahmathon ka talabgaar hai....usey aaj bhi usi shafeeq muskurahat ka intizar hai....jo her derd ki dawa karde....is beqarar ki ye iltija maqbul karde....Amin.