Ek din Anhazrath Sallallahu Alihi Wa Alihi Wasalim maghmum baithey they ke her shaks mujh say ahkam-e-shariyet ke mutaliq daryaft karta hai aur israar-e-baatin ke mutaliq koi nahi poochta. Shayed ye raaz hamare saath chala jaayega. yaani is say koi mustafeez na hoga . Laikin bamasdaq jub Allah Taala kisi cheez ka irada karta hai, is ke liye asbaab paida kar deta hai. usi waqt Hazrath Ali ibn-e-Abi taalib Razi Allahu Anhu ke dil may khayal paida hua ke Anhazrath Sallalahu Alahi Wasalam ki zaahiri mutabayat tou karli hai laikin unhon ne apne ahawaal-e-Baatin ke baare may koi taalim nahi di.. taa kay mutabayat-e-baatini say bahrawar hota. Pas kamaal sadaq-o-akhlas ke saath Anhazrath Sallam ki khidmat may jaa kar sawal kiya. Anhazrath Salla Allahu Alahi Wassalam bahut khush huye ke mujhe isi tarah ka hukum tha ke baghair talab-e-saadiq ye raaz kisi ko taalim na kiya jaaye. Alhamdulillah ke Allah Taala ne tujko ye raaz haasil karne ki hidaayet fermaii hai. Rasul-e-Khuda ne Hazrath Ali Razi Allahu Anha say fermaya ke " Aye Ali tu meri maanind hai meri wilayet may ke ye wilayet muaaina-e-haq hai. Pas vo raaz Hazrath Ali Karam Allah Wajaha say firqa-e-Sufiya tak pahuncha. Alali Amarurasatul Anbiya-o-Alam waris Anbiya hain.isi sabab say kaha gaya hai . Chnunanche Hazrath Khwaja Nasiruddin Mehmood Charagh dehli ne apni kitab ' khairul majalis" may is ajmaal ki tafseel bayaan fermaii hai.
Hazrath Ali ka ye martaba ke tamaam Awliya Akram unhi ke silsila-e-karam say aa mile hain unhi ki talab-e-haq aur Anhazhrath sallam ki ramooz-e-baatini ki taalim ka faiz hai.ke haq ko gar samajhna ho to jo ilm rakhta ho uske amal say ilm haasil kare..ke wahi izhaar-e-haq hai..ke wahi israar-e-haq hai..Anhazrath zaahir aur baatin say haq taala ki jalwa numaii aur sifaat ka muraqa rahe..unki her ada khuda ka paighaam thi..unhen peer-e-kaamil bana kar is jahaan may bheja gaya aur jahaan waalon ke liye haq ki darasgaah banaya gaya...Aur khuda ne Hazrath Ali ki beloos mohabbat ka ajar unhen Huzur Sallam say bakhsha...Jo rehti duniya tak taalibon ko inaayet kiya jaata rahega...Sirf jaan lena kaafi nahi hai...jaanne waale ka ain ferz hota hai khud may is israr ko jalwagar karde..taaki qareeb aane waalon ke dil roshan hosaken..Aur ye taalim seena ba seena muntaqal hoti rahe...
ke mumkin nahi hai raah-e-shauq ka charagh na bujhey
asaan nahi hai tu mukhalif hawaon ko chalne say rok le
laikin koshish rahe teri nigah unke qadmon say na hatey
phir kya majaal kisi tufaan ki ke tujhe is safar say rok le
Saalek ko sadq-e-dil say jaanna chahiye ke Sufiya Akraam ki mutabayet suratan aur maanan Ain mutabayet Risaalat panah alaihi salat wassalam hai.Pas taalib-e-raah-e-haq ko laazim hai ke sufiya karaam ke ahwal-o-aqwal-o-aqaayed ko kama haqa samjhe aur un ke qadam ba qadam siraat-e-mustaqeem per suluk tamaam kare. Siraat-e-mustaqeem ko Hazrath Sheikh Muhiyudin Ibn-e-Arabi ne apni tasneef "fatuhaat-e-maki " may muffasil bayan kiya hai .
Maulana jaami ne kaha hai" Haq Aftab hai aur saara jahaan uska saaya hai".