Yun to Sayed bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho batao to “sahi” Musalman bhi ho
(Allama Iqbal)
Aaj duniya ka her Kalma go khud ko musalman hone ka dam bhar raha
hai.Hatta ke is zaam-e -baatila ke sabut ki khatir khugeri par aamada ho chuka hai.
Is libas-e-musalmani ke hubba w qubba me aise la taadad eimaan khor shiyateen w
munafiqeen w mushreqeen poshida hain.Jinhe khuli aankh se dekh kar bhi
Momin w munafiq ka pata nahi chalta. Maslan kisi bartan me rakhe hue paani ko
dekh kar koi bata nahi sakta hai ke ye paani meetha hai ya khara? Hargiz nahi bata
sakta jab tak is pani ko chakh na le. Theek usi tarha se lafz-e-musalman me afraq w
imtiyaz maujood hai. Is me momin w munafiq posheeda w makhfi hain.
Hazrat Khwaja Banda Nawaz Gesu daraz R.A farmate hain.
Mun se kahen shakar to zuban ko nahi maza
Jis ne chakha zuban par lizzat wahi liya
Paani ki pahchan chakhne se hogi aur momin ki pahchan taheqeeq e kalma se
hogi.Halan ke Quran majeed ne furqaan-e-hameed ki roshni mey un munafiqeen ke is
khayal-e -baatila ki nafi ki balke unhen qalbi taur par mareez hone ki sanad bhi di.
(Surah BaqraAayat ‐ 8,9)
Tarjuma: Aur kuch log kahte hain ke hum Allah aur pichle din par eimaan laaye
aur wo eimaan wale nahi fareb dena chahte hain Allah aur eimaan waalo ko aur
haqeeqat may fareb nahi dete magar apni jaano ko ,unhe is ka shaoor nahi.In ke dilo
me beemari hai.
Ab sawal ye hai ke hum momin w muslim w munafiq kis ko kahen to
Fiqa-e -islam ne is masle ko do khususiyat me darj farmaya.
Awwal iqrar-e -bissani.Duwwam tasdeeqe bilqalb.Jaisa ke Imam Aazam
Abu Hanifa R.A ka qaul hai." Eimaan dil ki tasdeeq aur zuban ke iqrar ka naam hai
aur aaza ke aamal nafs-e- eimaan se khaarij hai, haan wo eimaan me kamaal badhate
hain aur husn paida karte hain.Jo bhi kalma tayyeb ke in do mutaalbaat ko acchi
tarha pura karta hai hum in ko bila shubaa azru-e- islam momin w muslim kah sakte
hain. Halanke momin mey bhi zameen w aasman ka farq maujood hai.Jaisa ke Surah
ahzaab aayat 35 mey musalman mard aur musalman aurat,momin mard aur
momin aurat ka alag alag zikr kar ke dono me farq wazah kiya gaya ke eimaan ka
darja islam se badh kar hai. jaisa ke quran w hadees ke deegar dalail bhi is par
dalalat karte hain bahar haal meri tahreek ka maqsad “Dawat‐e‐Fikr” hai.
Mai un logo ko dawat-e -firk de kar bedaar karna chahta hun jo mahaz zubaani jama kharch ko eimaan samajh kar jannat w huron ke khwab mey mubtila
hain. Main un logo ko Daawat‐e‐fikr deta hun’ jo apni laa shaoori ke baas qalbi
amraaz me giraftar hain. Mai un logo ko dawat‐e‐fikr deta hun’ jo jahgadalu
maulwiyo ke dam-e- fareb,mey nazar band ho kar in ke naqsh-e- paa ko zary-e -nijaat samajh kar kolo ke bail ke manind chal rahe hain. Khair aamad barsar-e-matlab’
kalma tayyeb padh kar samajhne aur samajh kar padhne ke liye pesh kiya gaya ,jis
ne bhi ek martaba kalma tayyeb samajh kar padha us ke liye kalma tayyeb aane
waahid me “Kaleed-e -Maarefat” ban kar darwazae nijaat khol deta hai.Jaise
Hadees-e- paak me Hazrat Abu Bakar SIddique R.A se murawwi hai ke mai ne
Rasool Allah S.Ase pucha ke .
Tarjuma : ‐Is deen may nijaat ka khas nukta kya hai ?
To Aap (S.W.A.) ne Farmaya jisne Mera laya hua Kalma mer iDawat per Qabul kar
liya – jo maine apne chacha per pesh kiya tha yahi kalma asal nukta‐e‐nijat hai.
(Hadees‐e‐Paak :‐ Masnad imam ahmed)
Zubaa se kah bhi diya Laa Ilaaha to kya haasil
Dil‐o‐nigah musalmaan nahi to kuch bhi nahi
(Allama Iqbal)
Hadees‐e‐paak:
Tarjuma:(Jis ne kalma tayyeb ko baghair tahqeeq hazaar bar kaha wo kaafir hai)
Bila Tahqeeq tasdeeq bilqalb mumkin nahi aur biltasdeeq zubani iqrar siwaye
darogh goi ke kuch bhi nahi.Hazrat Peer Aadil Bijapuri R.Afarmate hain.
“Tahqeeq kar tasdeeq kar kalma go ban jaye ga.”
Maslan agar kisi jaga koi hadsa dar pesh ho jaye to police wale aakar
pahlemaamle ki tehqeeq karte hain phir hadse ki tasdeeq karte hain phir thane
mey ja kar is hadse ki gawahi dete hain.
"Tahqeeq-e- kalma mey bareek nukta nafi w asbaat hai.Jisme do kufr char
shirk char tauheed ke darje posheeda hain."
Huzoor Akram S.A.W Hazrat Umer nfarooque R.D.A se farmate hain momin wo
nahi jo masjid me jama hote hain aur zubani taur par Laa Ilaaha Illallah kahte
hain. Aye Umer R.D.A aise kalma go haqeeqat se be bahra aur be khabar hain. Ye
momin nahi hain balke munafiq hain kyun ke zuban se to Kalma Laa Ilaaha Illallah ka
iqrar karte hain lekin kalme ka asal maana se naa waqif hain.Unhe khaak bhi nahi
pata hai ke kalme se asal maqsood kya hai. Yaani Laa Ilaaha Illallah to kah lete
hain lekin in ko kya khabar ke nest se kya murad hai aur hest se kya? Aisa shakki
taur par kalma kahna shirk hai aur shirk ain kufr hai aise kalma go kaafir kahlate
hain kyuke unhe ye nahi maalum ke kalme mey kis ki nafi murad hai aur kis ka
asbaat.
(Az‐ganjul asrar KhwajaGharibNawaz R.A)
Isliye kalma tayyeba rushdo hidayat ke waste peer-e- kaamil ki ashad
zarurat hai. Taake wo apne ilm‐o‐amal se taalib ke Shak‐o‐shubhat ki nafi karke
baatni quwwat se kalma ke uruj‐o‐nuzul taye kara ke is ko mujassam kalma bana
de.Khayal rahe tauheed ke bilmuqabil shirk dastak de raha hai har gunah qaabile
ufu hai siwaaye shirk ke –
(SurahNisa ‐ Aayat ‐ 116)
Tarjuma: Yaqeenan Allah nahi bakhshe ga shirk ko aur bakhsh de ga is ke ilaawa
gunaah jiske chahe ga.
Anjaam-e -safar socha hi nahi manzil pe chiraghan kya hoga
Taheqeeq nahi tasdeeq nahi phir kaamil-e-eimaan kya hoga
(Hazrat PeerAadil)
Sultanul aarefeen hazrat Sultan Baahu R.A farmate hain. Aye taalib mai
tujh ko kalma tayyeb ki taarif batlata hum,janna chahiye ke kalma tayyeb ki
tah wisal hai aur intihaa kalma tayyeb ki mushahida ilaahi hai. Pas is se maalum
hua ke rasm ke mutaabiq kalma padhne wale go kalme ko nahi jante.Go wo
zuban se kalma padhte hain. Magar wo kalma in halaq ke andar se neeche nahi
utarta hai. Balke kalma zubani aur hai aur tasdeeq aur hai. Pas jis kisi ko kalme ki
maarefat haasil ho gai wo sahi bemaarefate illahi hai aur us ki ruh zinda aur us ka
nafs faani hai. Pas jo Isshaq hain. Wahi is kalme ki taarif ko jaan sakte hain. Aur is
ke sath waasile haq hote hain.
Hum zamane ko haqeeqat ki ziya dete hain
Qalb-e-kafir ko musalman bana dete hain
(Hazrat Peer Aadil R.A)
Peer-e- kaamil ahl-e-dil hota hai aur dil wala hi dil ki haqeeqat se aagahi
bakhsh sakta hai.Jis se tasdeeq bilqalb ki daulat naseeb hoti hai. Wazah ho qalb
ke maana ulatne aur badalne ke hain dil ko bhi qalb isliye kahte hain ke wo
baayen pahlu mey ulta latka hua hai.Jo markaz‐e‐hayat hai. Khun ko tamaam jism
me pohchana is ke zimme hota hai jism mey sab se pahle jo shaye harkat karti hai
wo dil hai aur aakhir me jo uzu ghair mutahrik hota hai wo dil hai.
Huzur Akram S.A.W farmate hain har cheez ke do pahlu hote hain. Ek
zaahiri dusra baatini. Aur quran kareem ke bhi maana ke do pahlu hain. Ek zaahiri
maana dusra baatini maana. Is lehaaz se qalb ke bhi do pahlu hain ek Qalb-e-
zaahiri jo gosht ka lothda hai jise qalb-e-majaazi se taabeer kiya gaya.Dusra qalb-e-
baatini jo Lateefay-e- Rabbani Johar-e- Laasani hai jise Qalb-e-Haqeeqi ke naam se
mausuf kiya gaya hai.Jo insaan ke sath mehfooz hai.Jis ki waja se insaan tamaam
makhluq mey afzal hua.Jis tarha gosht ke lothde yaani majazi qalb ke sath jaan
qaayam hai usi tarha Lateefay-e- rabbani yaani Qalb-e- haqeeqi ke sath eimaan
qayam hai.
Lihaza qalb-e- haqeeqi ke aitbaar se bhi teen tarha ke qalb hote hain.
Awwal Qalb-e-Momin: Momin ka qalb jo sifaatullah isme momin ka mazhar
hota hai.
Huzur Akram S.A.W ka irshade paak hai. Allah taa lamomin ke qalb ki
taraf har roz teen sau sath martaba nazr-e- lutf-o- karam farmata hai.Har nazar mey
ibteda aur estaada farmata hai .Nigah-e lutfo karam se murad zikr-e- qalbi La Ilahaa
Illallahu Mohammedur rasul lullahe ki taufeeq ataa karna hai.Jis ke sabab
banda-e-momin ka qalb zinda w javed rahta hai.
Baghair zikr-e-khuda dil na hi zinda rahta
Dil-e-murdar ko har ja pe pareshan dekha
(Hazrat PeerAadil R.A)
Huzur Akram S.A.W farmate hain, Momin ka qalb rahman ki do ungliyo ke
darmiyan hai.Do ungliyo ke mane jalaal w Jamaal hain kalma-e- tayyeba ke do juz
hain.Pahla juz tauheed La Ilaaha Illallahu jo jalaal hai dusra juz Risalat
Mohammedur rasul lullahe jo Jamaal hai qalb-e-momin jalaal w Jamaal ke
darmiyan rahne ke baas isme waswase shaitaani ka ghulba kam hatta ke naa ke
barabar aur ilhaam-e -rahmaani yaani paakizah khayalaat ki kasrat zyada hoti hai.
Dusra qalb-e-muslim: Muslim ka qalb tasdeeq-e-eimaan ki niyamat se mehroom
hota hai.
(SurahHujrat –Aayat ‐14)
Tarjuma: Aap kah dijiye ke dar-haqeeqat tum imaan nahi laye lekin tum yun
kaho ke hum islam laye halanke abhi tak tumhare dilon me eimaan dakhil hi nahi
hua.
Chunke baghair tasdeeq muslim ka qalb ghaflat ka mahal ban jata hai is
mey aahista aahista munafiqat ka andhera badhne lagta hai jis ke baas in ke qalb
mey do waswase shaitaani ka ghulba zyada w paakizah khayalat kam ho jate hain.
dil me yacche khayalat ka aana hi band ho jata hai aur kabhi yaha tak taraqqi ho jati hai ke bure kaamo ko accha aur acche kaamo ko bura samajhne lagta hai aur badkaaro ko azeez rakhne aur nekon kaaro se nafrat karne lagta hai. Isi ko dil ki maut kaha jata hai. Bahr-e -kaif’ ye zaroor hai ke muslim ko eimaan ki puri daulat se musharraf hona aasan hai kyun ke is ne eimaan ki pahli dusri shart tasdeeq bilqalb jo eimaan ki jad w asal hai paana aasan hai behter hai ke is niyamat ko kisi rahbar-e-kaamil se paaye .
Hech mard khud ba khud shekhe nushad
Hech aahan khud ba khud teghe nashad
By (Maulana Roomi R.A)
Tarjuma:Na koi loha khud ba khud talwar ban sakta hai na koi aadmi khud ba
khud darja-e- kamala ko pahoch sakta hai. (Maulana Rumi)
Teesra qalb-e-kaafir: Qalb-e-kaafir bhi do tarha ke hote hain. Ek wo jo nek aamal
karta hai magar eimaan w islaam ki daulat se mahrum hai.Quran majeed inhe
kaafiron ko daawate eimaan deta hai.Dusra kaafir wo Qalb- e- kaafir hai jo eimaan
w islaam ki niyamat se mehrum bhi hai aur bad aamaliyo me bhi puri tarha ghira hua
hai.Us ka marz chahuthe darje tak pahonch chukka hai jis ka ilaaj namumkin hai. Is
ka qalb puri tarha se murdar ho chukka hai. In ke dilo par Allah ki mohar lag chuki
hai.
(Surah Baqra –Aayat ‐ 6, 7)Tarjuma: Beshak wo jin ki kismat mey kufr hai inhe barabar hai chahe tum unhe darao ya na darao wo eimaan lane ke nahi Allah ne in ke dilo par mohar kardi.
Haasil-e-kalam: Dil ka fazl hai jo ke har insaan ko hidayat par rahne aur rab ko
pahchanne ke liye ataa kiya gaya jo zauq-o- shauk aur Kashf ka sar chashma hai aur
eimaan ke rahne ki jaga aur is ka bartan hai jab is par hi kufr ki mohar lag gai aur
kufr se wo is qadr bhar gaya ke isme eimaan ki jaga hi na rahi to ab in ke eimaan
ki kya ummid. Yaad Rakho’jin ke dilo par mohr-e -nabuwwat LAI laaha Illallhu
Mohammedur rasul lullahe sabt nahi hai unhi ke dilo par Khatmullahe ala
qulu bahum rakam kar di jaati hai.
Jin ke qalb pe mohre nabuwwat sabt hai MAROOF
Ye wo sikke hain jo har daur me darkar hote hain
Lihaza qaabil-e -aitbaar qalb.Qalb-e-momin hi hai jise arshu‐llah’ Baitu‐llah
ke khitab se nawaza gaya hai.Qalb-e -saleem,Qalb-e -Shaheed,Qalb-e- Muneeb,
Qalb-e -momin ki hi-sifaat ka naam-hai
Tarjuma: Meri gunjaish na to meri zameen rakhti hai aur na mera aasman.Haan
meri gunjaish mere banda -e-momin ka qalb rakhta hai.(Is hadees ko imam ghazali
ne ahyaa ul ulum me zikr kiya hai. Aur mohaddis welmi ne ise musnadul firdous
me ba riwayat Anas Bin Maalik R.D.A zikr kiya hai.Haafiz sayoti ne AlDarar ul
Muntashra me is hadees ki tarjeeh ki hai. MaktubaatImaam RabbaniJild
Suwwam maktubaat 287me is ko naql kiya hai.)
Zahe qismat ke apni dhadkano ki zubaa samjhe!
Haqeeqat me wo momin hai jo kalme ka bayaa samjhe!
(Hazrat PeerAadil R.A)
Qalb momin ke ausaaf w halaat isliye pesh kiye gaye taake apna apna
muaayena w mohaasiba ka rsako.
‘Yaad rakho’ Beej phal deta hai jo acchi zameen mey sahi halat aur sahi
waqt par bo diya jaye phir ise munsib hawa aur paani milta rahe aur phir zameeni
w aasmani aafaaq se mehfooz rahe barsaat mey chhat aur deewaro me baaz daane
ug jaate hain. Magar wo phal nahi de sakte kyu ke in ki zameen durust nahi. Isi
tarha kalma tayyeba jab hi phal dega jab dil ki zameen me boya jaye. Mohabbat-e-
ilaahi ka paani paye rahmat-e- ilaahi ki hawayen lagi mukhalifat-e -anbiya w auliya ki
aafaat se mehfooz rahe. Bani Israil ki tukhmei maan sirf zubaan par ugaa jis ka
ulta nateeja nikla jisse wo aur zyada mardud ho gaye. Agar kalma tayyeba ki sahi
kaasht ho jaye to aisa phal deta hai. Ke ‘Subhan Allah’ ek aan me mardud ko
maqbul bana deta hai. Khataaon ko mita deta hai.Rab ki ataayen dilaata hai.
Irshad-e- khuda wanda hai.
Tarjuma: Kya tumne na dekha Allah ne kaisi misaal bayan farmayi kalma tayyeba
ki jaise paakizah darakht jis ki jad qaayam yaani tahtussara me aurs haakhen
aasmanome har waqt apna phal deta hai apne rab ke hukum se.
(Surah Ibrahim ‐ Aayat ‐ 24 25)
Kalma Tayyeba ki jad momin ke dil me hai aur shaakhen aasmano me.
Zindagi w maut,Qabr o hashr, harjaga phal deta hai. Is darakht ke saye me aalam
aaram karta hai.Makhluk is bartar darakht se phal khaati hai yaani faiz paati hai.