Aaj ka ye daur jadeed pareshanian lekar
haazir hua hai…jiddat insaan ke bartau may
hai..insaan ka khameer ek hi khaasiyet rakhta hai…usey apni haqeeqat say rushanaas karaane waali
nazar darkaar hai…jub bhi mai ne in fikr-o-halaath ka mushahida kiya aur is
besakuni ki wajah tatoli bas ek hi jawaab haath aaya…raahen rahbar ke baghair
ujaala nahi paa sakteen..bhatke huye ko manzil ka patta wahi nazar desakti hai
jisne haqeeqat paali ho…aur ye haq parast
wahi saalihain hain jinka tazkara khuda vand qudus ne Sura-e-fatiha may
kiya…unki misaal ko bande ki dua ka darja diya…phir "bande ko aur konsa gawah
chahiye jub ke khud khuda unka gawah hai"…Lihaza “ Hazrath khwaja Moinuddin Chishti Ajmeri Rahamatulaahi Alaiha ke baatini ishaare per likhi gaii kitaab “
Mirat-ul-Israar” nay aise hi taalibaan-e-haq ki tarbiyet ka beda
uthaaya aur aaj tak ye silsila jaari hai…so aap sab ki nazar wahi khidmat pesh
hai jo khidmatguzaron ko Sultaan bana deti hai…
Tamaam sadion ke Awlia Akram ka maslak-o-mashrab
bayeena wahi tha jo Anhazrath salla Allahu wa alahi wassalam, Sahaba Akram.
Aima Ahal-e-Bayet , Tabayeen-o-taba tabayeen ka tha, yaani ibadaath, riyazaath-o-mujahidaath
aur tawajah Sheikh ney taalibaan-e-haq ka tazkiya nafs kar ke unki ruhaani
taaqat may izaafa karna aur quwat-e-perwaaz ke zariye qurb visaal-e-Haq haasil
karna. Bad qismati say yehi vo cheez hai jisey
ulumaa-e-zwaher ne kho kar islaam ke sirf zaahiri dhaanche per iktefa
kar liya hai aur jis say islaam ko vo zoaf-o-zawaal laahaq hua ke jiska hum aaj
mushahida kar rahe hain…
Ismey shak nahi ke uluma-e-zwaher ne badi kaawish
aur shadh-o-madh say islaam ki zaahiri taalimaat ko tarveej di hai aur Aswa-e-Husna
per kaafi had tak amal paira hone ke liye jad-o-jahad ki hai, laikin unhon ne
bad qismati say Aswa-e-Husna ke zaaheri
pehlu ko mad-e-nazar rakha hai laikin baatini pehlu ko bilkul nazar andaz kar
diya hai, vo ye bhul gaye ke itba-e-nabawi ki bhi do qismen hain, ek
itba-e-manawi ya itba-e-baatini, dusra itba-e-suri ya itba-e-zaaheri. Itba
zaaheri may Anhazrath Salla Allahu wa
Alahi Wassalam ki tarha zindagi basar karna , ibadat karna , jahad-e-nafs karna
, gharz ye key tamaam afaal-o-aqwaal may aapki pairwi shaamil hai. Laikin
itba-e-manawi ya baatini ka matlab ye hai ke Anhazrath Salla Allahu wa Alahi
wassalam ko Haq Taala ke saath jo ishq-o-mohabbat , zauq-o-shauq,
qurb-o-marifat, huzuri aur visaal haasil tha usey hasb-e-istaadaad haasil karne
ki koshish karni chahiye kyon ke yehi gharz-o-ghaayet-e-islaam hai aur
Quran-o-Hadees ki taalimaat ka mudua-o-maqsad hai aur Awliya-o-Akraam
khaasaan-e-Baargah ki vo jamaath hai jinhon ne nihaayet shadh-o-madh say
itba-e-zaaheri aur itba-e-baatini dono per amal kar ke apni qalbi aur zeheni istedaad ke mutabiq qurb-o-visaal-e-Haq ki
mokhtalif manaazil-o-moqamaath tak rasaai haasil ki, daulat-e-kashaf-o-karamaat
say nawaaze gaye aur zaat-o-sifaat Baari may fana-o-baqa haasil kar ke
khilafat-e-ilaahiya ka taaj unke saron per rakha gaya aur islaami duniya ke
mokhtalif ilaaqon may hidaayet-e-qalq ke liye maamoor mun Allah huye…
Aaj tak ye silsila-e-qidmat-e-Haq jaari
hai..khuda ke bandon tak khuda ka paighaam pahunchana kaar-e-azeem hai..Aur ye
azmat un azeem-ul-martaba Awliya Akraam ke perukaaron ke hisse may aai hai
jinke zimme duniya ko azsar-e-nau noor-e-imaan say munawar karne ka kaam sonpa gaya..imaan
tou insaan ki ghutti may pada hua hai…usko roshan karne waali mashaal un babarkat Awliya Akraam ki khankaahon ke dum
say taqayamat roshan rahegi…