Wednesday, October 17, 2012

Nafs






 " Tassawuf ki siffat, sahi shanakhth-e-haq, marifat aur zikr ke baarey may Quran-o-Hadees ke muafiq nafs khabis aur shaitaan layeen ke dafa karne ke liye likhe gaye jo sarasar taufeeq hain.."

Zikr yaad ku kehte hain aur yaad ektaaye fillah hone ke liye hoti hai. yaad aur zikr nafsani aur shaitani khasaayel ke dafiya ke liye hoti hain.

Allah tala ka irshaad hai " ya ayuhalazina amanutaqullaha wabtaghu ilahil waseelat "
"Tarjuma, " aye emaan waalo Allah say daro aur uski jaanib waseela dhundo ".

Kaamil murshad  nazar say hi talqeen karte hain.nazar say hi ek martabe aur moqam per pahuncha dete hain. nazar hi say marifat aur tauheed-e-ilaahi tak pahuncha dete hain aur nazar hi say taalib ko gunahon say mahfuz rakhte hain. so kaamil murshad tajrubekar hote hain aur wahi " nafs ko shaitan ki qaid say chudaate hain ." basharte ke taalib bilyaqeen ho.

jisne apne nafs ku pehchan liya  usne apne rab ku pehchan liya. jisne nafs ku faani samjha  usne apne rab ku baaqi samjha.

" Wajud may nafs ki misaal aisi hai jaise ghaar may saanp. agar bil ke muh per maar peet ki jaaye tou saanp per kuch asar na hoga. is tarha jub tak nafs ku taklif na ho tab tak baironi taklif aur riyazath ka us per kuch asar nahi hota. us ko sirf ism Allah zaat ka tassawur, murshad kaamil ki tawajah, arif billah aur wali Allah ki nigah hi durust kar sakti hai..agar bil ke muh per ya ghaar ke muh per aag jaalai jaaye tou saanp ghaar ke andar hi mar jaata hai.