Mujhey Aapne bulaya, ye karam nahi tou kya hai..meri mushkilon ka hul aap ke siwa koi nahi...meri azmaishon ka phal aap ke siwa kuch bhi nahi...ke meri aah ney jo jalwey dikhaaye wahaan aapki mohabbat ka hi jalwa hai..aapne is adna ki deewangi ko rutba bakhsha hai..aapki mohabbat kamaal hai mere Aaqa...mujhey ab meri maujudgi ki koi khabar nahi...khudparasti ki hadon say nikal kar kabhi dekho zara....ek apne siwa sab haq hoga ...ek apni hasti khwab ka dhundlka...baqi sab waazah nazara...mujhe khwab say jaga diya..jub mujh may khud ko mila diya...mai khayaal.yaad,zikr, faryaad...sab bhul gaii....haan ehsaas kehta hai gar aap nahi mai kuch bhi nahi....so mere karamferma, apna dast-e-karam sada mere sar per rakhna....mere dil per jis tarha nazar rakhi,mere emaan ka muhafiz ban kar,mere aagey aagey diya ban kar,meri hasti ka zaa-am ko bhasam kar kar.....apni be-niyaaz ulfat say ta-qayamat apni rifaqat ka tohfa bakhsha....
mujhe bas aapki aarzu hai....mujhe bas aapki justaju hai....mujhe aapka yaqeen hai...aapke siwa mera konu nahi hai....