Monday, December 28, 2009

Sadqa


Jo sadqa ferz ho usko alaaaniya dena afzal hai. aur jo sadqa ferz ke maasiwa ho,uska akhfa zyada behter hai.

Nawafil ko chupa kar karna awla hai. yaane chupa kar nekiyaan karne se admi ke nafs_o-akhlakh ki musalsal islaah hoti chali jaati hai. uske ausaaf_e_hameeda khoob nashonuma paate hain.uski buri sifaath rafta rafta hut jaati hain aur yehi cheez usko Allah Taala ke haan itna maqbul bana deti hai ke jo thode bahut gunaah uske naama_e_aamaal may hote hain unhen uski khubiyon per nazar karte huye Allah Taala muaf ferma deta hai.

Ahal_e_ imaan ki akhlakhi-o-ruhaani tarbiyet ke zariye khalkh-e-khuda ko faham ki raahen sujhaii gayeen.

Akhlakhi-o-roohani haisiyet se dekhiye tou ye baat bilkul wazah hai ke sood darasal khudgharzi, bakhal, tangdili aur sangdili jaisi siffat ka natija hai aur vo unhi siffat ko insaan may nashonuma bhi deta hai. unke bar-aks sadqaath natija hain faiyaazi, humderdi, ferakhdili aur aalazarfi jaisi siffath ka aur sadqaath per amal karte rehne se yehi siffath insaan ke andar parwarish paati hain.

Allah ki sunnat yehi rahi hai ke jisne bhi haq-o-sadaaqat ki pairwi ka azam kiya hai usey sakht azmaishon aur fitnon se do chaar hona pada hai aur jub azmaishen pesh aayen tou moin ka kaam yehi hai ke poorey istaqlaal se unka moqabla kare.laikin baharhaal momin ko Allah se yehi dua karni chahiye ke vo uske liye haqparasti ki raah ko asaan kare.

Is duniya mayinsaan ki ki azmaish sari is baat ki hai ke vo haqeeqat ko dekhe baghair manta hai ya nahi.aur maanne ke baad itni akhlakhi taaqat hai ya nahi ke nafermaani ka ekhtiyaar rakhne ke bawajud fermabardari ekhtiyar kare.

Imaan lane aur ita-at may sar jhuka dene ki saari qadr-o-qeemat usi waqt tak hai jub tak haqeeqat tumhaare hawaas se poshida hai aur tum mahaz dalil se usey tasleem karke apni danishmandi ka aur mahaz fahmaish se uski pairwi-o-itaa-at karke apni akhlaki taaqat ka sabut dete ho.

Hosakta hai ek cheez tumhen nagawar ho aur wahi tumhaare liye behter ho, hosakta hai ek cheez tumhen pasand ho aur wahi tumhare liye buri ho. Allah jaanta hai tum nahi jaante.

Tuesday, December 15, 2009

Tauba


"Tauba "ke asli maani ruju karne aur palatne ke hain. Bande ki taraf se tauba ke ye maani hain ke vo sarkashi se baaz agaya,tareeqa-e-bandgi ki taraf palat aaya aur khuda ki taraf se tauba qabul karne ke ye maani hain ke vo apne shermsaar ghulaam ki taraf rahmath ke saath mutawajah hogaya, phir se nazar-e-inaayet uski taraf maayel hogaii..
Allah ka fazal aur uski rahmath,uski hikmat ke saath humrishta hai. vo saza us qusur per deta hai jo baghiyaana jasarath ke saath kiya jaaye aur jiske peeche shermsaari ki bajaaye mazeed ertekaab-e-jurm ki khahish maujud ho.
Zameen Adam ke liye darulazab nahi thi aur vo yehan saza ke liye nahi utaare gaye. Bulke unhen zameen ki khilafat ke liye hi paida kiya gaya tha. Junnat unki asli jaaye moqam nahi thi. Wahaan se niklne ka hukum unki saza na thi. Asal tajveez tou zameen per utaarne kit hi. Albatta us se pehle unko imtihaan ki gharz se junnat may rakha gaya tha.
Zameen yaane apni jaa-e taqarur per khalifa ki haisiyet se bheje jaane se pehle Adam aur Hava ko imtihaan ki gharz se junnat may rakha gaya tha take unke rehjanaath ki azmaaish hojaaye . us azmaish ke liye ek darakht ko chun liya gaya aur hukum diya gaya ke uske paas bhi na phatakna aur uska anjaam bhi bata diya gaya ke aisa karoge tou hamaari nigaah may zaalim qaraar paaoge. Ye is baat ki azmaish thi ke ye shaitaan ki targhibaath ke muqable may kis had tak hukum ki pairwi per qaayem rehte hain. Is maqsad ke liye kisi ek cheez ka muntakhab karlena kaafi tha.
Is imtihaan ke liye junnat ka moqam sab se zyada mauzun tha. Darasal usey imtihaan-gaah banana ka maqsad ye haqeeqat insaan ke zehan-nasheen karna tha ke tumhaare liye tumhaare martaba-e-insaaniyet ke lihaaz se junnat hi laayeq-o-munasib moqam hai, laikin shaitaani targhibaath ke moqable may agar tum Allah ki fermanberdaari ke raaste se munhareef hojaaoge tou jis tarha intida may junnat se mahroom kiye gaye they usi tarha aakhir may bhi mehroom hi rahoge. Apne us moqaam-e-laayq ki, apni us firdos-e-gumgashta ki bazyaft tum sirf is tarha karsakte ho ke apne us dushman ka kamyaabi se moqabla karo,jo tumhen fermanbardari ke raaste se hataane ki koshish karta hai.
Adam ko jub apne qusur ka ehsaas hua aur unhon ne nafermaani se phir fermanbardari ki taraf ruju karna chaha aur unke dil may ye khahish paida hui ke apne rab se apni khata maaf karaayen tou unhen vo alfaaz nahi milte they jinke saath vo khata-bakhshi ke liye dua karsakte. Allah ne unke haal per raham fermaya aur vo alfaaz unko bataa diye.

Farishton Ke Faraayez



Zameen aur is se talluq rakhne waale tabqa-e-kaainaath may jis qadar farishte maamur hain un sab ko insaan ke liye mutee-o-masakhar hojaane ka hukum diya gaya. Chunke is ilaaqe may Allah ke hukum se insaan ko Khalifa banaya jaraha tha, isliye fermaan jari hua ke “ sahi ya ghalath jis kaam may bhi insaan apne ekhtiyarath ko, jo hum usey atta kar rahe hain, estemaal karna chahe ar hum apni masheyet ke tahat usey aisa kar lene ka mauqa den tou ye tumhara ferz hai ke tum may se jis jis ke daayere-e-amal se vo kaam mutalaq ho ,vo apne daayere ki had tak us ka saath de. Vo chori karna chahe,ya Namaaz padhne ka irada kare, neki karna chahe ya badi ke ertekaab ke liye jaaye, dono suraton may jub tak hum usey uski pasand ke mutabiq amal karne ka azan de rahe hain ,tumhen uski saazgaari karni hogi”.
Misaal ke taur per isko yon samjhiye ke ek fermanrawa jub kisi shakhs ko apne mulk ke kisi subey ya zille ka haakim muqarar karta hai tou us ilaakhe may hukumat ke jis qadar kaarinde hote hain un sab ka ferz hota hai ke uski etaa-at Karen aur jub tak fermanrawa ka mansha ye hai ke usey apne ekhtiyaaraath ke istemaal ka mauqa de, us waqt tak uska saath dete rahen..qata nazar iske ke vo sahi kaam may in ekhtiyaraath ko istemaal kar raha hai ya ghalath kaam may..Albatta jis kaam ke baare may fermanrawa ke ishaara hojaaye ke usey na karne diya jaaye ,tou wahin un haakim saaheb ka eqtedar khatam hojaata hai aur unhen mehsus hone lagta hai ke saare ilaaqe ke ahalkaaron ne goya hadtaal kardi hai. Hatta ke jis waqt fermanrawa ki taraf se un haakim saaheb ki mazuli aur giraftaari ka hukum hota hai, tou wahi mattehath-o-khuddam jo kal tak unke ishaaron per herkat kar rahe they,unke haathon may hathkadiyan daal kar unhen kashan kashaan “darul-fasqeen “ ki taraf le jaate hain.

Friday, December 11, 2009

Maruuf


"Maruuf" ka lafz Quran may ba-kasrath estemaal hua hai. is se murad vo sahi tareekh-e kar hai jis se bil-amum insaan waqif hote hain. jiske mutaluq her vo shaks jiska koii zaati mufad kisi khaas pehlu se wabasta na ho, bol uthey ke be-shak haq aur insaaf yehi hai. aur yehi munasib tareeq-e-amal hai. riwaj-e-aam ( common law ) ko bhi islaami istlaah may "urf" aur " maruuf " se taabir kiya jaata hai aur vo aise tamaam mamlaath may motabar hai jinke baare may shariyat ne koii khaa qayeda moqarar na kiya ho.

Arabi zuban may " deen " ke maani ita-at ( bandgi ) ke hain aur istalahan is se murad vo nizaam-e-zindgi hai jo kisi ko bala-tar maan kar uske ahkaam-o-qwaneen ki pairwi may ekhtiyaar kiye jaayen.

Is duniya may insaan ki azmaish saari sirf is baat ki hai ke vo haqeeqat ko dekhe baghair maanta hai ya nahi. aur manne ke baad itni akhlakhi taaqat hai ya nahi ke nafermaani ka ekhtiyaar rakhne ke bawajud fermanbardari ekhtiyaar kare.

Imaan laane aur itaa-at qabul karne ki muhallat bas us waqt tak hai ke jub tak perda khushaii ki vo saa-at nahi aati. jub vo saa-at ( ghadi )aagai tou phir na muhalat hai na azmaish, bulke vo faisley ka waqt hai.

Ho sakta hai ek cheez tumhen nagawar ho aur wahi tumhaare liye behter ho, hosakta hai ek cheez tumhen pasand ho aur wahi tumharey liye buri ho, Allah jaanta hai tum nahi jaante.

Wednesday, December 9, 2009

Hikmat-e-Rumi


Hikmat-e-Rumi

Jis shaks ko Noor-e-Haq haasil hogaya, budhapa uske liye nuqsande nahi hai.

Haq-e-Taala ki atta ke liye qabiliyet zaruri nahi hai.kyonki jub atta hoti hai ,tou qabiliyet khud bakhud paida hojaati hai.

Insaan rizaq ka utna aashiq nahi hai jitna rizaq insaan ka ashiq hai.

Bazahar duniya may insaan bahut nazar aate hain, laikin darhaqeeqat insaan bahut kamyaab ( kum dastyaab) hain.

Maulana Rumi

Wednesday, December 2, 2009

Haqeeqat-e-Raza


Haqeeqat-e-Raza

Tasleem ki nazar se karismhe raza ke dekh

Begangi-e-dost ko duniya bana ke dekh

Raza do tarha per hoti hai.

1) Allah ka bande se raazi hona

2) bande ka Allah se raazi hona

Raza-e-khudavandi ka matlab ye hai ke Allah jal shana’ bande ki sawab.niyamat aur karamat atta fermaane ka irada karle.aur raza-e-bande ki haqeeqat ye hai ke vo ahkaam-e-khudavandi per qayam rahe aur uske fermaan baja lane ke liye sar tasleem karne ka khugar hojaaye.pas raza-e-khudavandi ko raza-e-bande per taqadam haasil hai.

Yaane jub tak uski tayeed-o-taufiq haasil na ho banda uske hukum ki taamil nahin kar sakta aur uski fermabardari per mustad nahi ho sakta. Kyonke raza-e-banda laazmi taur per raza-e-ilahi se wabasta hai.

Raza bande ko ghumon se chutkara dilaati hai maur ghaflath ke chungal se uski rihaii ka baayes hoti hai.

Ghair ka khayaal dil se nikaal deti hai aur musibaton ki qaid se usey azaad kara deti hai. kyonke raza ki siffat hi rihai dilaana hai..

“Jub banda qaza-e-haq per raazi hojata hai tou ye azkhud is baat ki alamat hoti hai ke Allah taala us bande se raazi hai.” kyonke bande ko raazi ba raza hone ki taufiq khud Allah taala deta hai aur jisey vo taufiq de tou saaf zaher hai ke vo raazi hai tabhi usey taufiq atta fermaii. Razi-ba-qaza hone waale ki mazeed koii tamanna nahi hoti.

hamaare dil se mitega na daagh-e-shauq-e-sajud
jabeen rahe na rahe, astaan rahe na rahe

Friday, November 13, 2009

Subhan Allah


ALLAH ko Ye Na Batao Ke Meri Pareshani Kitni Bari hai,
Balke Pareshani Ko Batao ke Mera ALLAH sab se Bara hai. { Hazrat ALI (R.A) }

Jis ka rabita khuda kay saath hoo woh nakaam nahin hota,

Nakaam woh hota hai jis ke umedain duniya say wabasta hoon. { Hazrat ALI (R.A) }

Jo shakhs tumhari nigahon say tumhari zaroorat ko samaj nahin sakta,

Us say kuch mang kar khod ko sharminda na karo. { Hazrat ALI (R.A) }

jo baat tumhain shakk main dalay usay chor do...
(Hazrat Muhammad S.A.W)

Ameer taqab'bur karain to bura hai, Lekin Gareeb karain to bohat bura hay...
(Hazrat Abu Bakar)

Insaan zabaan k parday main chupa hai....
(Hazrat Ali)

Hamesha sach bolo ta'kay tumhain qasam khanay ki zarurat na paray...

(Hazrat Ali)

Moat ko hamesha yaad rakho, magar moat ki aarzoo kabhi na karo...
(Hazrat Ali)

Ziada khana bhi aik bimari hai...
(Hazrat Usman)

Khamoshi gussay ka behtreen ilaaj hai...
(Hazrat Usman)

Aisay shaks ko dost rakho jo naiki kar kay bhool jaye...
(Hazrat Junaid Baghdadi)

Mard ki seerat dekho uski soorat par na jao...
(Hazrat Junaid Baghdadi)

Khod ko mazloom ki badd-dua se bachao
Is lie ke woh Khuda se sirf apna haq mangta hai
Aur
Khuda haq-daar ko apna haq mangney se nahi rokta
(yani ose oska haq zaror deta hai)


~:(Hazrat Mohammad S.A.W):~

Behtar Wo Hai Ke Deer Me Khafa Ho
Aur
Jaldi Maan Jae
Badtar Wo Hai Jo Ghussa Ho
Aur
Deer Me Razi Ho

~:(Hazrat Mohammad S.A.W):~

Jo Shakhs talash e ilam me nikla wo apni wapsi tak
Gu-yaa Allah Taala ki raah me chalta raha

~:(Hazrat Mohammad S.A.W):~

Jis par naseehat aser na kre
Who Jaane k mera dil emaan se khali hai

~:(Hazrat Abu Bakar Sadeeq R.A):~

Sab se behtar woh shaks hai jo aisay logon se acha sulok karay jin se us se koi UMEED na ho
SUBHAN ALLAH


~:(Hazarat Imam Hussain (A.S) ):~

Bol Anmol



Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k wo apni khubiyon me izafa kre 'Hazrat Ali (R.A)


1
-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye".
( Hazrat ALI R.A )
-----------

2
-
Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:
"Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'
-----------


3
-Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do
Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga
or kam zaraf hoa to khud ko Aala Zarf sumjhey ga
( Hazrat ALI R.A )
----------


4
-Hazrat ALI R.A Ka Frman Hay:-
"Bura Dost Aag Ki Manind Hay"
"Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega"
"Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kar Dega"
-----------


5
-Aazmaye Hue Ko Azmana
Bewakufi Hai.
( Hazrat ALI R.A )
---------------



6
-Logon Ki
Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
ALLAH Ki
Enyat Hai.
(Imam Hussain R.A)
---------------------



7
-Hazrat ALI R.A Says
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay.
----------


8
-sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho
( Hazrat ALI R.A )
-----------



9
-Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
[HAZRAT ALI (R.A)
-----------



10
-Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn
k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn
k ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat ALI R.A )
-----------

11
-Ikhtiyar, Taqat aur Daulat
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin Bay-naqab hotay hain( Hazrat ALI R.A )
----------

12
-Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum usey door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho
( Hazrat ALI R.A )
-----------

13
-Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban hai.
(Hazrat Ali R.A)
------------

14
-Mujhe Jannat se ziada
Masjid mein bethna Acha Lagta hai
kyunke
Jannat mein mera Nafs khush ho ga
jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
Fermaan Hazrat ALI R.A
----------

15
- Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,
Q: Qarib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Uterna
Q: Or Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna
-----------

16
-Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya ( Hazrat ALI R.A )
----------

17
-"Sub se Ziyada Kamzor Aadmi wo he Jo Dost ko Haasil karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aaye howey DOST ko ganwa de"( Hazrat ALI R.A )
-----------

18
- "2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( Hazrat ALI R.A )
----------

19
-Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
Jab kisi Cheez se Darta Hay to Us se Dour Bhagta Hay.
Jab ALLAH Say Darta Hay to Us k aur Qreeb Ho Jata Hay.
( Hazrat ALI R.A )
-----------

20
-Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge aur agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat ALI R.A )
----------

21
- Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!( Hazrat ALI a.s )
-----------

22
- "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta.."
( Hazrat ALI R.A )
-----------

23
-4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
3.) Dunya K Liye Itna Amal Karo Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tumhain Wahan Rehna Hai....!!!
( Hazrat ALI R.A )
--------------------
24-Buaree main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti hay.( Hazrat ALI R.A )
------------
25
-kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.( Hazrat ALI R.A )
------------

26
-"Golden Words"
"Her INSAN ki izat aur uss say mohabat karo,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zaror mojood hoti hai"
( Hazrat ALI R.A )
------------
27-"Ebadat aysi karo jis se tumhari Rooh ko maza aaey Q k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi"... .( Hazrat ALI R.A )
-----------

28
-Barish ka Qatra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bana deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
( Hazrat ALI R.A )
------------

29
-Jahan Sadaqat aur Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( Hazrat ALI R.A)
---------

30-
Bay shak dunya aur akhrat ki misal
asay hai jasay 1 shaks ki 2 bivian
hon 1 ko razi karta ha to dosri rooth
jati ha
HAZRAT ALI(R.A)
------------------------

31
-naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se parhaiz karo badi se door ho jao gai.(Hazrat Ali R.A)
------------

32
-"3 kaam kisi k dil main aap ki izat barhatay hain:
1- Salam karna.
2-
Kisi ko jagah dena.
3- Asal naam se pukarna."
(HAZRAT ALI R.A)
------------36-
33-
Achi zindagi guzar ny k 2 tareeky hain.
¤ Jo pasand hai usay hasil kar lo
ya Phir
Jo hasil hai usay pasand kar lo.
(HAZRAT ALI R.A)
------------

34
-3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge
1.Ghusay wala Durust faisly se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kamyabi se.
(Hazrat Ali R.A)
------------


35-
Agr Tum Usy Na Pa Sako Jise Tum Chahte Ho,Tu Usy Zror Pa Lena Jo Tumhen Chahta Hay
QK Chahne Se, Chahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hay.
HAZRAT ALI (R.A)