Thursday, November 19, 2015

Hajj-e-Akbar



tark-e-lazzat bhi nahi lazzat say kum
kuch maza iska bhi chakhna chahiye

Tamaam jumla faraayez ka gar ghaur se tajziya kiya jaaye to khuda ke ahkaam ki haqeeqat samajh may aajaayegi..basharte ke banda khud se azad ho...khud se azaadi ka matlab nafs ka qaidi na hona...apni tamaam tar mushkilon ka wahed sabab khud vo hai is ka jaan lena..."Mai " ki giraft se azad hona...mai uski marzi ke baghair kuch bhi nahi ye jaan lena....meri her ek herkat uski junbish pe munhasar hai ye pehchan lena....loag apne hone per ghurur karne lagte hai...aur mushahida-e-haq se mehroom hojaate hain...isi liye kaha gaya hai,"ek saa-at ki soch saikadon baras ki ibadat se behter hai."

Haj ki adayegi jumla farayez may sab se afzal is liye hai ke bande ko khudavand-e-kaaba ka mushahida haasil ho aur uski tazeem may sar khum ho....aur vo shaks jis ke liye tamaam kaainaat qurb-e-haq ke waade ka moqam nahi, aur jo saarey aalam ko khilwat-gah-e-mohabbat nahi samajhta ( yaani khuda ko kisi makhsus moqam tak mehdud samajhta hai) vo yaqeenan dosti ke mafhum se bhi abhi ashna na ho saka.
usey kya khabar ke" jisey mushahida-e-haq haasil hojaaye, uske liye saari duniya , yaane duniya ka her moqam, harm hi hai".

agar ek pathar ki ziyarat jis per saal may ek baar nazar padhti hai, farz hai to dil jis per rozana 360 baar nazar padhti hai , uski ziyarath to aur bhi laazmi aur zaruri hai.haan ye zarur hai ke ahal-e-tahqeeq ke liye raah-e-makke may uthaaya hua ek ek qadam ek nishaan-e-khaas aur dalil-e-khususi ki haisiyet rakhta hai. aur jub vo harm kaaba may daakhil hote hain to un may say her nishaan ke badle unhein ek khaas inaam se nawaza jaata hai...

Hazrath abu yazeed rahmatullahi alaihi fermaate hain " Mai ne pehli martaba hujj kiya to siwaye khaaana-e-kaaba ke mujhe kuch aur na dikhaii diya, dusri martaba hujj kiya to ghar bhi dekha aur ghar waala bhi dekha, aur teesri martaba sirf ghar waale ko dekha, uske siwa kuch dikhaii hi na diya , yehaan tak ke ghar ka wajud bhi nazar na aaya ".

Pas qeemat hai to mushahida-o-raza-e-haq ki hai.Deedar-e-kaaba to rasaii ka waseela ya sabab hai jo Allah taala ne bana diya hai, warna asal qadar-o-qeemat kaaba ki nahi khudavand-e-kaaba ke moqam ki hai. chunanche sabab ke saath jo taalluq hai vo musabab ki khaatir hona chahiye, yaani musabab ke liye sabab se is liye taalluq qaayem kiya jaata hai ke ye maalum hota rahe ke inaayet-e-ilaahi kon si kameen-gaah se ronuma hoti hai aur kon say moqam se zahur may aati hai. aur taalib ki muraad ka husul aakhir kahan jalwa gar hota hai...

Mohammed bin fazal rahmatullahi alihe kehte hain, mujhe to is baat per taajub hota hai ke loag duniya may uske ghar yaani khaane kaaba ke talabgaar raha karte hain, aakhir kya baat hai ke dil ke andar us mushahide ke talabgar nahi hote jo hazrath ibrahim alahisalam ki khaas baat thi, haalanke duniawi ghar ka kya hai, mile mile, na mile mile,laikin mushahida-e-haq to bahar haal muyasar aajane waali cheez hai sirf talab shert hai.

Jo shaks haazir bahaq ho, vo agar apne ghar may bhi ho to bhi aise hi hai goya makke may khaan-e-kaaba ke andar haazir hai.kyon ki darbaar-e-ilaahi ki haaziri may jagah ki koi takhsees nahi hoti. ek haazri jo makke may haasil hai, vo us dusri haazri se behter nahi jo apne ghar may haasil hojaaye. pas hujj ek mujahida hai, jo kashf-e-mushahida ki khatir kiya jaata hai. pas mukhtasar ye ke hujj se maqsud ye nahi hota ke bas khaana-e-kaaba ka deedaar kar liya jaaye, bulki asal maqsud to ye hota hai ke mushahida-e-haq ka kashaf hojaaye.

Aaj farayez ki adayegi ko bhi naam-o-namud may shumaar kar liya gaya hai...loag basad-e-shauq hujj ki tayaari to karte hain per dil ki tayaari bhul jaate hain...apne zehen-o-dil ko duniya se khaali karna bhul jaate hain...aur khud per nazar-e-saani karna bhul jaate hain...khuda se mulaqat ka ehtmaam karna bhul jaate hain. aur raza-e-khudavand, khushnudi-e-rab ki jo sunnatein humein haasil huii theen unka itbaa bhul jaate hain...mohabbat ka dum bharne waale mehbub ki raah bhul jaate hain..."hujj abad aur ahad ki ek jaai ki ama jagah hai."..jahan mohabbat khud muhib ka tawaf karti hai...awal wahi aakhir wahi, uske siwa apna na koi....her lamha usi ko haazir naazir jaan kar saluk ki raahen taye karna khuda ki sohbat ke mutradif hai...aur yehi paighaam-e-hujj hai ke dekho mere mehbub bandon ke zariye maine jo paighaam bheja hai vo her aane waali nasal ko uski haqeeqat se milata rahega, basharte ke ain-ul-haq ka mushahide ke liye apne dil ko tayaar kar liya jaaye...duniyavi kasafaton se mubara kar ke.....apne dil ko uska ghar kar liya jaaye....ye lamha ek mauqa hai...phir kyon na is mauqe ko sanwar liya jaaye...

apni haqeeqat jisne bisraii, usne kabhi haq ki raah na paai.........................