Tuesday, October 25, 2011

Mohabbat-Haqeeqat-Shareeyat




zarrey may dasht qatre may darya chupi rahe
daala meri nigaah ne perda kahaan kahaan

Kisi cheez ki taabeer ka ke liye kisi aisi cheez ka zikr karna padta hai jo awal-uz-zikr say nazuk-tar ho.tou phir mohabbat ki taabir kyon kar ki jaa sakti hai jis say badh kar koi naazuk cheez hai hi nahi.aur matlab uska ye hai ke ibarath izhaar-e-mohabbat ki mutmahal ho hi nahi sakti is liye ke ibarat ko ibarat nigar ki siffat haasil hai,jub ke "mohabat mehbub ki siffat hai ".

Aur alfaaz ke zariye mohabbat ki haqeeqat ka shaoor haasil nahi kiya jaa sakta, kyon ke isey tou mehsus kiya jaa sakta hai, bayaan nahi kiya jaa sakta, aur asal haqeeqat tou srf Allah hi jaanta hai.Ya Allah.

jub hum kehtey hain ke la ilaaha illaallahu' tou ye haqeeqat hai " Allah ke siwa koii mabud hai hi nahi".phir jub ye kehte hain ke " Mohammed RasulAllah" yaane Mohammad sallam Allah ke Rasul hain  tou ye shariyeth hai.

Haqeeqat shariyath ki asal hai aur shareeyath haqeeqat ki fara hai. jaise ke maarifath khud is haqeeqat say aagahi ka naam hai aur amar maaruf ko qabul kar ke is per amal paira hona shariyeth hai.

Tauheed khaalis aisi cheez hai jiski badaulat kamaalaath-e-nafsaaniya-o-badniya-o-maaliya paida hojaate hain.

Rasul vo hai jo mukhatibain ko shariyet-e-jadeeda pahuncha de, Aur Nabi vo hai jo Saaheb-e-wahi ho, khwah shariyet-e-jadeeda ki tableegh kare ya shareet-e-qadeema ki.

Banda kaii manzilen taaye kar ke harm-e-kaaba may is khayaal say pahunchna chahta hai ke wahaan usey Allah Taala ke nabiyon ke aasar dikhaii dete hain. Aakhir vo apne nafs ke sehra aur hiris-o-laaluch ke darya ko abur kyon nahi kar leta taake vo apne dil tak rasaii haasil karle,ke us may khud Allah Taala ke aasaar usey mil jaayenge.

Yaane zyaada buzargawar tou dil hai jo Allah taala ki maarifat ka mahal hai. ba nisbat kaaba ke jo mahaz ek simt ki nishaan dahi karta hai yaani sirf ibaadat-e-ilaahi ki jahat hai. kaaba tou vo moqaam hai ke jis per bande ki nazar hamesha jami rehti hai aur dil vo moqaam hai jis per khud nazar-e-haq hamesha padhti rehti hai.

"Pas jahaan jahaan mera dil hai wahin mera Dost hai". Aur jahaan us Dost ka hukum hai wahin meri muraad hai aur jahaan Anbiya ke aasaar hain wahaan mere Doston ka Kaaba hai.

("Mohammad bin Fazal-ul-Balkhi razi Allahu anahu").

mujh may rahe vo par na mai samjha kahaan rahe
qaalib may reh ke rooh ki surat nihaan rahe

Friday, October 7, 2011

Ek sada hai dil ki...



Chain mere dil ka Ajmer gaya hai
Nind meri lekar mera peer gaya hai

Ghareeb nawaaz ke dar say kitne taalib, ilm paa kar nikle hain...kitne jaahil aalim ban baithe hain..kitne sangdil dil paa gaye hain..unke kashaane say ulfat ke jharne bahte hain...unke aastaane may mohabbat ke phul khilte hain...ekbaar koi unke daman say lipat gaya,phir kabhi unsay apna daman chuda na saka...ye unki meher-o-wafa ki misaal hai..ke adna ho ke aala sab per eksaan saaya-fagan hain unki rehmaten..vo kahaan kisi ki mukamaal hasti dekhte hain...vo tou bas ek harkat dil ki maangte hain...vo dil jo sirf khud ki khaatir roya vo khud ko hi khoya....unke rozey may khamosh sadaayen kehti hain..unke darbaar  may bas inaayet hoti hai...

Bas unke dar pe mohabbat hoti hai...maine ek lamhe may sadion ki pyaas bujhaai hai...un ke dar per anmol mohabbat paai hai...bahut khoja tha khud ko...bahut tatola tha khud ko....khaali khaali us khaaki say bas ek sada hi aai hai...koi lamha rehmat ka milne waala hai ...bas roshan hoye charagh dil ke ...ab hersu ujiyaara hai...ye andaaz khwaaja ka bada hi pyaara hai...wahi tou haajatmandon ka sahaara hai....

Thursday, October 6, 2011

Iltija Ya Ghareeb Nawaaz



Aaj phir aan padi hai mushkil...phir aapki mohabbat darkaar hai mere Sarkaar...aapke daman say bandha hai jub say daman...her lamha yaqeen-e-rehmat...phir ek karam hojaaye...ab ke bhi door ye ghum hojaaye...bas rakhiyo mere yaqeen ki laaj....Aye haajat-mandaon ke sartaaj....

ek raah bhataka raahi aapke dar say raah apni paa kar kisi ko gumraah hotey kaise dekhe..phir koi shikaar hai lamhon ka...phir koi be-perwa hai jazbon say..phir kaii dil uske panje may...phir kitnon ki neenden uske qabze may....

Ek karam phir hojaaye...phir koii gumraah raah paa jaaye...kitne dilon ko araam aajaaye...bas hojaaye meher Aaqa....Ameen...