Sunday, January 23, 2011

Nawaazishen Nawaaz ki

Buzargaan-e-Deen ki sohbat khuda ki qurbaat ka samaan hai...vo sarapa aaina-e-haq hote hain..jinmay musaaheb khuda ka dedar kar lete hain...ye jalwa Awliya Akraam ki zindgi ke mushaidey say haasil hota hai..unki zaat ilm ka ek aisa sarchasma hai jis say irfaan-e-ishq-e-ilaahi nasib hojaata hai..Huzur purnor Ghareeb Nawaaz ke qaul tabaruk hain haq ke mutlaashi dilon ke liye....


Khwaja Gharib Nawaz"Zarurato k mutabik zindagi jiyo, Khwahisho k mutabik nahi. Q Ki zarurate fakeer ki bhi puri ho jati hain aur khwahishe to badshaho ki bhi adhuri rah jati hain.."


Khwaja Gharib Nawaz“ Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti ,Jab Tak Tum Khud Sy Na Haar Jao ”


Khwaja Gharib Nawaz "Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to Uss waqt 5 jumley kehta hai,


1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di
2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya
3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha
ab mein teri hifazat karoun ga
4. Main haqeer tha tu nay mujhe azeem bana diya
5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun..!


Khwaja Gharib Nawaz ".Aik Aurat Tandoor Pe Rotian Paka Rahi Thi,Uska Bacha Baar Baar Aag Kay Paas Jata Tha,Woh Bachay Ko Aag Say Door Bitha Deti. Nabi S.A.W Nay Yeh Farmaya Yeh Aisa Kyoun Karti Hay.Sahaaba:Ta’kay Bacha Aag Se Bach Jaey.
Aap S.A.W.Ne Farmaya. Maa Se Bhi 70 Guna Ziada Muhabbat Karnay Wala Allah Hai.
Kyoun Kay Maan Bachay Ko Aag.Say Bachati Hay,Aur Allah Apni Makhlooq Ko Baar Baar Baahaknay Say Bachate Hai.


Khwaja Gharib Nawaz "

Ho k sharminda gunahon se kabhi sir jhuka to sahi,
Wo karega maaf tujhe do ashk baha to sahi
Rahegi chandni qabr me bhi sath tere
Tu uski yad ko dilse zara laga to sahi
Na rahega tu mohtaaj kabhi kisi ka
Aray nadan apne hath utha k daaman phaila to sahi....!


Khwaja Gharib Nawaz"Karabala ko karabla ke Shansha per Naaz hai ,Us Nawase pe Mohammad Mustafa(S.A.W) ko Naaz hai
Yun to Lakhon ne Sajde kiye per,Hussain as ne woh Sajda kiya jis pe Khuda ko Naaz hai…


Khwaja Gharib Nawaz

"ALLAH"Wo hai jo qatrey ko faiz-e-aam kare
"NABI"Wo hai jo khudai ka intzam kare
"KAABA"Wo hai jis ki simt sajda har khas-o-aam kare
"ALI"Wo hai jisay kaba khud salam kare
"FATIMA"Wo hai jis ka Nabi khade ho kar Ehtram kare
"HASAN"Wo hai ke Allah jannat jis ke naam kare
"HUSAIN"Wo hai jo sar kata kar bhi naize par kalam kare
"ABBAS"Wo hai jisay wafa khud salam kare
"MOMIN"Wo hai jo is Zikr Ko Aam kare .........


Khwaja Gharib Nawaz "Wo bakhshta hay gunah e azeem bi lekin,humari choti si neki sanbhal rakhta hay,

hum usay bhool jatey hain roshni me,wo tareeki mein bhi khyal rakhta hay,

jo kabhi dair se lotun to meri maa ki tarah,wo meray rizq ka hissa nikaal rakhta hay,

gharo me jin k diya bhi nhi un k lie,fiza me chaand sitary uchal rakhta hay,

mohabat apne bandon se kamal rakhta hay,Sohna RUB hay humara sohni shaan rakhta hai.


Khwaja Gharib Nawaz ‎"The word "shams" (sun) is feminine, and "qamar" (moon) is masculine. The sun burns itself out to give light and life to everything around, and the moon is muneer, meaning it reflects the light. Within itself it has no light; it radiates the brilliance of the sun. So when we shine as mens, the implication is that we are reflecting the glorious light of our womens. May Allah Subhanahu wa Ta'ala be pleased with them."


Thursday, January 20, 2011

Asfahan


Jub mai New jersey may thi ek din News Paper ke Travel section may ek islamic Article per nazar padi...usmey Asfehaan ka zikr tha..na jaane kyon vo sheher mujhe maqnaates ki tarha khinchne laga...us sheher ko jaanne ki khahish shadeed hoti gai...ek apne-pan ka ehsaas horaha tha..us waqt is ehsaas ka matlab sahi tarha say samajh nahi paai..magar itna zarur yaqeen tha ho na ho koii baat us sheher ki aisi thi jo mujhe apni mohabbat may giraftar kiye jaarahi thi..us sheher say milne ko dil bechain ho utha tha...maine Irfan say kaha bhi,zindgi may gar mauqa mila tou mai Asfehaan jaana chahungi....jaane konsi kadi thi jo dil say mil rahi thi....rooh ko apni ore khinche jaa rahi thi....ye raaz tou rab hi jaanta hai....

Aaj jub maine dekha ke Khorasan ,Asfehaan ( Gharib Nawab ki jaye paidaaish ) ka hi dusra naam hai ,tou phir is mohabbat ki wajah samaj may aane lagi hai...ye ek aise rishte ka sabut thi jo bandh kar kabhi na tutey....ye ek shohra-e-Afaq faiz ki daastaan ka ek aise baab ka shahid hai jo apni misal aap hai...Mai hamesha unke faiz-o-karam ki shahid rahi hun....unke dar say mujhe mila hua nayaab tohfa hai..jo aakhiri saanson tak,aur taa-qayaamat mujh say juda rahega......

Insaan ka baatin uske ache aur bure karamon ka gawaah hota hai, bilkul usi tarha apne her us ehsaas say bhi aagaah hota hai jo uski pehchaan ki raahen faraham karta hai....bilkul yehi hua ....aur mera adhura safar takmil ki raahon per apne raahbar ke saath badhne laga...Aaj bhi jaari hai....

ghum-e-duniya bhi ghum-e-yaar may shaamil kardo
nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon say milen

Tuesday, January 11, 2011

iltija


Be-saharon ka tum ek hi ho sahaara
tumhaare siwa kon khwaja hamaara
ghadi mushkilon ki raah tak rahi hai
kub hoga khwaja paar beda hamaara

Ab ye be-basi duaon ki taaseer ki muntazar hai mere khwaja..tadap keh rahi hai kub milega ishaara..

mujhe ek jism say insaan bana kar.....
mujhe khaakhi ko noor ka matlab sujha kar.....
mujhe manzil ki raah haqeeqi dikha kar.....
mujhe apne dar per bula kar,mujhe duniya say begana bana kar.....
mujhe arfaa ka damaan dikha kar....
mujhe zaat aala ka aashiq bana kar....
kyon chup ho Daata kuch tou batao aakhir....
kub hogi mushkil asaan meri aapke karam ko paakar....

Khuda ne kaha hai mujhe maangne waala pasand hai...mai kub say sila mehbub ka maangti hun...mai tumhaare waseela tumhaari dua ki mutmani hun....ab apne mehbub ka hi sadqa samajh kar, meri duaon per karam ki nazar ho...mere is yaqeen ko haasil uska bharam ho....ke mujhe khuda chahta hai... mai khuda say yehi chahti hun..mere mehbub ki duaon may vo asar ho.....her chahne waala ho kaamil,khwah vo khud say bekhabar ho....

Muradon ki manzil kahaan chahati hun
mohabbat teri ho bas vo dil chahti hun