Monday, March 15, 2010

Mere Ghareeb Nawaz



Mere Ghareeb Nawaz

maine sab ganwaya tab aapko paaya. ye duniya kya jaane mere daman may ab ke kya aaya..vo gauhar nadaar ,vo yaqeen payedar,wahi ishq ka karobaar. ye sauda bila shert hota hai..jahaan banda apne liye nahi dusron ke liye maangta hai..paata hai.aur khushaal hojaata hai.

mai kya misaal dun aapke karam ki..mujhe her qadam aapki dua saaya-fagan mili.meri aah se bhi pehle mere sukun ki dua mili..mere saath chalte rahe aapke namabar. meri khamoshi ko zubaan dene waale wahi tou hain rahbar.

meri her kasmakash ko jawab milte rahe..mujhe uljhanon se bachate rahe aapke faisle...faaslon ke maayne badal gaye...rag-e-jaan se bhi qareeb hogaye ye khuda ke silsile..mai aapke zer-e-saaya barkaton ka zikr kaise karun..meri zubaan-o-dil ko itni taab kahaan Aaqa-e-rang-o-jamaal..

Aap ki nisbaten sarshaari-roh ka samaan hain.aapke naam-leva azmat-e-imaan hain..aapke dar se jo jude vo mohabbaton ka nishaan hain.