Tuesday, January 26, 2010

Allah Ki Mohabat




1. jo shaks Allah ki mohabat ka maza chakh leta hay phir use duniya hasal karne ki mohlat nahi milti aur use insanon se ghabrahat or weshat hoti hay.
2. main gawahi deta hun ke Khuda ek hai,is ka koi shareek nahi,is ke alawa koi ebadat ke layekh nahi,Allah to hamesha se hay or hamesha rehega,is jesa koi dosra nahi,woh apne sab kammo ka dehyan rakhta hai aur nafarmanon ko saaza deta hay.
3. agar tum Khuda ki rehmat ke umeedwar ho to is ki makhluk par rehem karo.
4. jahan tak mumkin ho,apne tamam kamo main khaw woh zahir hon ya chupey hon,insan Khuda se darta rahey.
5. jo khuda ke kamo main masroof ho jaye,to Khuda us ke kamon main masroof ho jata hai.
6. jis ke pas jitna ilim ho ga woh Allah se itna hi dare ga aur jitna jahil ho ga utna hi bekhoof ho ga.
7. jo shaks jahanam ke saaye se bachna aur Khuda ke saye main aana chahata hay is ko chahiye ke sakhti ke bajaye raham kare.
8. Allah tumhara madadgar hai,is ke siwa kisi main koi quvat nahi.
9. is dastoor zindagi par amal karo jo tumhare Nabi tumhare liye laaye hain or is raste par chalo jo nabi ne dekhaya hai.
10. is baat ko yaad rakho ke Allah in logon ki zaroor madad karta hai jo is ke Nabi ke liye qurbani dete hain.
11. taalib-e-deen'amal main zyaadati karta hai aur talib-e-dunyia ilm main.
12. agar koi dil se musalman nahi ho ga to us ka hisab Khuda ke hath main hai.
13. jo musalman paanch waqt ki namaz ada karta hai Khuda us ka mohafiz hota hay aur Allah ki hifazat main aa gya use koi nahi maar sakta .
14. agar kisi se koi gunah sarzad ho jaye to wazo kar ke do rakat namaz padhey aur Khuda se maafi mange,is ke gunah baksh diye jayeinge.
15. Allah ke waday kabi ghalat nahi ho saktey aur na in main kisi kisam ke shuba ka ehtamal ho sakta hay.
16.nafas se jahad karna sab se bada jahad hai.
17. kar-e-khair ko shauq se anjam dene wale ko Khuda ajar azim ata karta hai.
18. fakir ke samne ajzi or adab ke sath sadqa pesh karna chahiye,kyun ke khush dilli se sadqa dena qabuliat ka nishan hai.
19. Allah insano ke wohi amal khabul karta hai jo sirf achi niyat se kiye gye hun,jis admi ki jo niyat hoti hay us ko usi ka ajar milta hay.
20. ilm ke baghair amal bekaar hai aur ilm baghair amal bekar hai.
21. har roz balke har ghari naik amal karne ki koshish karo.
22. achey burey amal ki jaza Allah ke hath main hai.
23. jo shaks Khuda ke wastey koi masjid banaye Khuda us ke liye jannat banaye ga.
24. ya Allah meri akhari umar achi kar,naik amal par mera khatma farma or apni mulakhat ka din sab dino se behtar kar.
25. har shaks qyamat ke din apne bure aamal ka jawab de raha ho ga.
26. tum ko apne padosi se larna jhagarna nahi chahiye,is liye ke woh to apni jagah par hi rahey ga logon main tumhara charcha hota rahey ga.
26. jhooti batein banaane wala jannat main dakhal na ho ga.
27. tumhein chaye ke apni haalat durust rakho,taakey tumhein dekh kar dusrey log bhi apni halat durust rakein.
28. ameer ka takabur to bura hay hi lekin gareeb ka takabur us se bhi bura hai.
29. chori or khyanat se bacho ye baatein fikkar or aflas se peda hoti hain.
30. zuban ko shikwa se rok khushi ki zindagi ata ho gi.
31. agar koi naiki kisi waja se reh jaye to use hasal karne ki kosish karo or ise agar paa lo to agey barne ki koshish karo.
32. Khuda makluk se kabi koi moseebat nahi hatata jab take maklok ibadat ki taraf na jhuk jaaye.
33. dunyia jin ka sarmaya hai un ke deen ka nukhsan zuban bayan karne se ajiz hai.
34. gunah se tobah karna wajib hay,lekin gunah se bachna wajibtar hay.
35. bad-bakht hai woh shaks jo khud to mar jaaye lekin us ka gunah nahi martey .
36. woh log behtar hain jo dunyia ko akhrat ke liye tark kar dete hain.
37. jo bhi raaye kisi ko do us may Khuda ka khauf zaror shaamil hona chahiye.
38. agar koi mashwara talab kare to mukhlasana or sacha mashwara do..
39. jis par nasehat asar na kare usey samaj lena chahiye ke is ka dil imaan se khali hai.
40. jis cheze ke karne main Allah ne apni rehmat ka wada farmaya hai us ke karne main jaldi karo.

Sunday, January 24, 2010

Sunehere Qaul


Jab tum kisi ko dost banao to apne dil mein aik qabristan bana lo jahan tum uski buraiiyan aur raaz dafna sako
Prophet Muhammad PBUH ---

Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye ussey mana lena chahiyeh kyun ke tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein chun liye jatey hein
Hazrat Ali (AS) ---

Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein to dil anjaam say andha ho jata hai
Hazrat Ali (AS)---

Ikhtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin balkey be-naqaab ho jatey hein
Hazrat Ali (AS)---

Din ki roshni mein rizq talash karo aur Raat ki tareeqi mein usse talash karo jo tumhein rizq deta hai
Hazrat Ali (AS)---

Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra
day,Yeh uski badnaseebi hai. Koi tumhein na chahey aur tum usse zaberdasti apna banana chaho, ye tumhare nafs ki zillat hai
Hazrat Ali (AS)---

Insaan dukh nahin deta, insaanoun say wabasta umeedein dukh deti hein
Hazrat Ali (AS)---

Agar kisi ka banna chahtey ho to poori haqeeqat say ban jao warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kar lo ke koi haqeeqat mein tumhara ban jaye
Hazrat Ali (AS)---

Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to Uss waqt 5 jumley kehta hai

1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di
2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya
3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha
ab mein teri hifazat karoun ga
4. Main haqeet tha tu nay mujhe azeem bana diya
5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun
Prophet Muhammad PBUH---

Logoun ki zarooraton ka tum say wabasta hona tum par Allah ki inayat hai
Hazrat Imam Hussain (AS)---

Jab gunahon ke bawajood Rab-ul-Izzat ki naimatein musalsal tumhein milti rahein to hoshiyar ho jana
ke tumhara hisaab qareeb aur sakht tareen hai
Hazrat Ali (AS)---

Mujhe jannat say zyada masjid mein bethna acha lagta hai kyun ke jannat mein mera nafs khush hoga,
jab ke masjid mein mera rabb khush hoga
Hazrat Ali (AS)---

Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho, Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho
Hazrat Ali (AS)---

Barish ka qatra seep aur saanp dono ke munh mein girta hai.. seep ussey moti bana deta hai, saanp ussey zehr bana deta hai.. jiska jaisa zarf waisi uski takhleeq
Hazrat Ali (AS)---

One
thing that is better not expressed even if it is true, is a man's praise for himself
Hazrat Ali (AS)---

3 kaam kisi ke dil mein aapki izzat barhatey hein

1. Salaam karna
2. Kisi ko jagah dena
3. Asal naam se pukarna
Hazrat Ali (AS)---

Koshish karo ke tum dunya mein raho dunya tum mein na rahey kyun ke kashti jab tak paani mein rehti hai khoob terti hai lekin jab paani kashti mein ajaye to woh doob jati hai
Hazrat Ali (AS)---

Apni zubaan ki taizi uss maa par mat aazmao jis ne tumhein bolna sikhaya
Hazrat Ali (AS)---

Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai.. tu waisa he hai jaisa mein chahta hun.. bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai
Hazrat Ali (AS)---

5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo
1... mehfil mein zubaan ki
2. bazaar mein aankh ki
3. namaz mein dil ki
4. dastarkhwan mein pait ki
5. nigah mein haya ki


Hazrat Ali (AS)---


3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein
1. apne aamaal ko zyada samajhna
2. apne gunhaoun ko bhool jana
3. apne aapko sab se behtar samajhna

Hazrat Ali (AS) ---

6 cheezein amal ko zaya karti hein
1. logon ke aaib talash karna
2. Dil ki sakhti
3. Dunya ki mohabbat
4. Haya ki kammi
5. Lambi umeed.
6.. Zulm

Hazrat ALi (AS)---

A
friend cannot be considered a friend
unless he is
tested on three occasions
1. At the time of need
2. Behind your back
Jab tum kisi ko dost banao to apne dil mein aik qabristan bana lo jahan tum uski buraiiyan aur raaz dafna sako
Prophet Muhammad PBUH ---

Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye ussey mana lena chahiyeh kyun ke tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein chun liye jatey hein
Hazrat Ali (AS) ---

Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein to dil anjaam say andha ho jata hai
Hazrat Ali (AS)---

Ikhtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin balkey be-naqaab ho jatey hein
Hazrat Ali (AS)---

Din ki roshni mein rizq talash karo aur Raat ki tareeqi mein usse talash karo jo tumhein rizq deta hai
Hazrat Ali (AS)---

Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra
day,Yeh uski badnaseebi hai. Koi tumhein na chahey aur tum usse zaberdasti apna banana chaho, ye tumhare nafs ki zillat hai
Hazrat Ali (AS)---

Insaan dukh nahin deta, insaanoun say wabasta umeedein dukh deti hein
Hazrat Ali (AS)---

Agar kisi ka banna chahtey ho to poori haqeeqat say ban jao warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kar lo ke koi haqeeqat mein tumhara ban jaye
Hazrat Ali (AS)---

Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to Uss waqt 5 jumley kehta hai

1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di
2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya
3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha
ab mein teri hifazat karoun ga
4. Main haqeet tha tu nay mujhe azeem bana diya
5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun
Prophet Muhammad PBUH---

Logoun ki zarooraton ka tum say wabasta hona tum par Allah ki inayat hai
Hazrat Imam Hussain (AS)---

Jab gunahon ke bawajood Rab-ul-Izzat ki naimatein musalsal tumhein milti rahein to hoshiyar ho jana
ke tumhara hisaab qareeb aur sakht tareen hai
Hazrat Ali (AS)---

Mujhe jannat say zyada masjid mein bethna acha lagta hai kyun ke jannat mein mera nafs khush hoga,
jab ke masjid mein mera rabb khush hoga
Hazrat Ali (AS)---

Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho, Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho
Hazrat Ali (AS)---

Barish ka qatra seep aur saanp dono ke munh mein girta hai.. seep ussey moti bana deta hai, saanp ussey zehr bana deta hai.. jiska jaisa zarf waisi uski takhleeq
Hazrat Ali (AS)---

One
thing that is better not expressed even if it is true, is a man's praise for himself
Hazrat Ali (AS)---

3 kaam kisi ke dil mein aapki izzat barhatey hein

1. Salaam karna
2. Kisi ko jagah dena
3. Asal naam se pukarna
Hazrat Ali (AS)---

Koshish karo ke tum dunya mein raho dunya tum mein na rahey kyun ke kashti jab tak paani mein rehti hai khoob terti hai lekin jab paani kashti mein ajaye to woh doob jati hai
Hazrat Ali (AS)---

Apni zubaan ki taizi uss maa par mat aazmao jis ne tumhein bolna sikhaya
Hazrat Ali (AS)---

Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai.. tu waisa he hai jaisa mein chahta hun.. bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai
Hazrat Ali (AS)---

5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo
1... mehfil mein zubaan ki
2. bazaar mein aankh ki
3. namaz mein dil ki
4. dastarkhwan mein pait ki
5. nigah mein haya ki


Hazrat Ali (AS)---


3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein
1. apne aamaal ko zyada samajhna
2. apne gunhaoun ko bhool jana
3. apne aapko sab se behtar samajhna

Hazrat Ali (AS) ---

6 cheezein amal ko zaya karti hein
1. logon ke aaib talash karna
2. Dil ki sakhti
3. Dunya ki mohabbat
4. Haya ki kammi
5. Lambi umeed.
6.. Zulm

Hazrat ALi (AS)---

A
friend cannot be considered a friend
unless he is
tested on three occasions
1. At the time of need
2. Behind your back
3. After your death

Hazrat ALi (AS)---

Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do..
woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega
aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga
Hazrat ALi (AS)---

3. After your death

Hazrat ALi (AS)---

Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do..
woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega
aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga
Hazrat ALi (AS)---

Friday, January 22, 2010

Ummat-e-Wast- Sarfarazi



Mohammad Salla Allahu walahi wassallam ki pairwi karne waale tarraqi karte karte is martabe par pahunche ke “ Ummat-e-wast"qaraar diye gaye. Tahavil-e-qibla ko jo nadaan mahaz ek simt se dusri simt ki taraf pherna samajh rahe hain ,halaanke darasal Baitul muqadas se Kaabey ki taraf simt-e-qibla ka phirna ye maani rakhta hai ke ke Allah ne Bani Israil ko Duniya ki peshwaii ke mansab se baa-zaabita maazul kiya aur Ummat-e-Mohammadiya ko us per faayez kar diya…
“Ummat-e-wast” ka lafz is qadar wasee maanuiyet rakhta hai apne andar ke kisi dusrey lafz se uske tarjume ka haq ada nahi kiya jaasakta. Is se muraad ek aisa aala aur ashraf groh hai jo adal-o-insaaf aur tawassat ki rawish per qaayem ho, jo Duniya ki qaumon ke darmyaan sadar ki haisiyeth rakhta ho, jiska talluq sab ke saath eksaan haq aur raasti ka ho aur nahaq aur narawa talluq kisi se na ho.
Phir ye fermaaya ke tumhen “ Ummat-e-wast isliye banaya gaya ke “ tum logon per gawaah ho”.is se muraad ye hai ke aakhirath may jub puri nu-e-insaani ka ikhata hisaab liya jaayega, us waqt hamaare Rasul hamaare zimmedar numayende ki haisiyeth se tum per gawahi denge, kyonke sahi aur amal-e-saaliha aur nizaam-e-adal ki jo taalim humne unhen di di thivo usne tum ko be-kam-o-kaast pahuncha di. Aur amalan uske mutabiq kaam kar ke dikha diya.uske baad Rasul ke qaayem moqaam hone ki haisiyeth se tum ko tamaam insaanon per gawah ki haisiyeth se uthna hoga aur ye shadath deni hogi ke Rasul ne jo kuch tumhen pahunchaaya vo tumne unhen pahunchaane may aur jo kuch Rasul ne tumhen dikhaaya tha tumne unhen dikhaane may apni had tak koii kotaahi nahi ki..
Is tarha kisi groh ka is Duniya may khuda ki taraf se gawahi ke mansab per maamoor hona darhaqeeqat uska imaamat aur peshwaii ke moqam per sarfaraz kiya jaana hai. isme jahaan fazilath aur sarfarazi hai wahin zimmedaari ka bahut bada baar bhi hai. iske maani ye hain ke jis tarha Rasul Allah Salla Allahu Walahi Wassalam is Ummat ke liye khuda-tarsi, raast-rawi sadaqat aur haq-parasti ki zinda shahadath baney usi tarha is Ummat ko bhi tamaam Duniya ke liye zinda shahadath banna chahiye..hatta ke iske qaul aura mal aur bartau her cheez ko dekh kar ye maalum ho ke khuda-tarsi isi ka naam hai. Raast-rawi ye hai,sadaqat isko kehte hain aur haq-parasti aisi hoti hai.
Duniya may ek Ummat ki rast-rawi ka ye intihaii samra hai ke vo Allah kea mar tasdiqi se aqwaam-e-aalam ki rahnuma aur peshwa banaii jaaye. Aur nu-e-insaani ko khuda parasti aur neki ke raastey per chalaane ki qidmat iske suprud ki jaaye.. ye mansab jis Ummat ko diya gaya dar-haqeeqat us per Allah ke fazal-o-inaam ki takmil hogaii..

Haqeeqat


Naawaqif log jub apne qayaas-o-gumaan ki buniyaad per " Mazhab " ki taarikh murratab karte hain tou kehte hain ke insaan ne apni zindgi ki ibtida shirk ki taarikiyon se ki phir tadreeji irteqa ( step by step aage badhna) ke saath saath ye taariki chat-ti gaii aur roshni badhti gaii..yehaan tak ke Admi tauheed ke moqaam per aa pahuncha.

Quraan iske bar-aks bataata hai ke Duniya may insaan ka aagahaz puri roshni may hua hai. Allah Taala ne sab se pehle jis insaan ko paida kiya tha usko ye bhi bata diya tha ke haqeeqat kya hai aur tere liye sahi rasta kaunsa hai..uske baad ek muddat tak nasl-e-Adam raah-e-raast per qaayem rahi aur ek ummat bani rahi. phir logon ne naye naye raastey nikaale aur mukhtalif tareeqe ejaad karliye..is wajah se nahi ke unko haqeeqat bataaii nahi gaii thi, bulke is wajah se ke haq ko jaanne ke bawajud baaz log apne jaayez haq se badh kar imtiyaazaath, fawaayed aur munaafa haasil karna chahtey they aur aapas may ek dusrey per zulm, sarkashi aur zyadati karne ke khahis-mand they.

Isi kharabi ko door karne ke liye Allah Taala ne Anbia-e-Akraam ko maabuus karna shuru kiya. ye Anbiya isliye nahi bheje gaye they ke ek naye mazhab ki bina daalen aur apni ek naii ummat bana daalen. bulke unke bheje jaane ki gharz ye thi ke logon ke saamne us khoii huii raah-e-haq ko waazah karke unhen phir se ek ummat banaa den.

Kufar


"Kufar" ke asal maani chupaane ke hain..is se inkaar ka mafhum paida hua aur ye lafz eman ke muqabley may bola jaane laga..Emaan ke maani hain manna, qabul karna, tasleem kar lena. iske bar-aks kufar ke maani hain na manna, radd kar dena, inkaar karna..

Quraan ki ruu se kufar ke rawaiye ki mukhtalif suraten hain.

Ek ye ke insaan sarey se khuda hi ko na maane,ya uske eqtedaar-e-Aala ko tasleem na kare aur usko apna aur saari kaainaath ka Maalik aur Maabud maanne seinkaar karde.ya usey Wahed Maalik aur Maabud na maane.

Dusrey ye ke Allah ko tou maaney magar uske ahkaam aur uski hidaayaath ko wahed munba-e-ilm-o-qaanun tasleem karne se inkaar karde..

Teesrey ye ke usulan is baat ko bhi tasleem karle ke ke usey Allah hi ki hidaayaath par chalna chahiye, magar Allah apni hidaayaath aur apne ahkaam pahunchaane ke liye jin paighambaron ko wasta banaata hai, unhen tasleem na kare.

Chauthey ye ke paighambaron ke darmyaan tafreeq kare aur apni pasand ya taasubaath ki bina par unme se kisi ko maane aur kisi ko na maane...

Paanchven ye ke paighambaron ne khuda ki taraf se aqaayed, akhlakh aur qawaneen-e-hayaath ke mutallaq jo taalimaat bayaan ki hain unko ya unme se kisi cheez ko qabul na karey..

Chettey ye ke nazriyey ke taur per tou in sab cheezon ko maan le magar amalan ahkaam-e-ilaahi ki daanesta nafermaani kare..aur is nafermaani per israar karta rahe aur dunyawi zindgi may apne rawaiyey ki bina itaa-at per nahi bulke nafermaani per rakhe..

Ye sab mukhtalif tarz-e-fikr-o-amal Allah ke muqabley may baaghiyaana hain aur inme se her ek rawaiye ko Quraan " kufar" se taabir karta hai.

Tuesday, January 19, 2010

Raah-e-Wafa



Ibrahim bin ahamdulkhwas raziallahu anhu fermatey hain “ ilm saare ka saara do kalmon may jamaa hai.
1. ek tou ye ke jis baat ka andesha Allah taala ne terey dil se door kar diya hai,uske baarey may taradud na kar.
2. Dusrey ye ke jo cheez karney ki hai aur tujh per ferz kardi gaii hai, usey zaaya honey na de.
Muraad is se ye hai ke qismat ke baarey may taraddud-o-pareshaani ki zarurat nahi hoti. Kyonke tera takalluf-o-taradud naushta-e-taqdeer ko badal nahi sakta. Aur amar-e-maaruf ki baja-awari may taqseer nahi honi chahiye. Kyonke tark-e-hukum tujhey azaab may mubtila kardega.
Ek martaba logon ne un se poocha “ ajaayebaath may se aap ne kya dekha ? “
Aap ne kaha “ Ajaayebaath tou behtere dekhe laikin is se badh kar ajeeb baat na dekhi jo khud mujh se sarzad huii thi. Yaane khizar Alahisaalam ne mujhe apni sohbath may rehne ki dawat di aur maine vo qabul nahi ki”.
Logon ne kaha” Aapne aisa kyon kiya? “
Aapne kaha,” isliye nahi ke mujhe unse behter rafeeq ki talaash thi bulke ye khayaal ghaalib tha ke us surat may Allah Taala ke ilawa goya un per bhi etmaad karna padega aur yon tou phir unki sohbat mere sarmaaya tawakal ke zyaan ka baayes hoti.” Aur ye tou aise hi hai jaise koii nawafil ke badley ferz ko tark karde.

Her haal may hai pesh-e-nazar bas wahi surat
Maine kabhi roo-e-shab-e-hijraan nahi dekha